Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 384
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam ale kum! janab main ye janna chahta hoon ki namaze juma ke baad ya pehle ki sunnat namaz ki niyat kaise karoon?jitni jaldi ho sake mujhe jawab dijiye.khuda haafiz

Answer: w.s., zaroori he k insan namaz qurbat ki niyyat se yaani khuda wande aalam ki bargah me pasti aur khuzu k izhar ke liye padhe aur yeh zaroori nahi k niyyat ko dil se guzar ya maslan zaban se kahe k char rakaat namaze zohar padhta hoo qurbatan elalllah. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.930)

Id: 585
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jab koi farz namaz partey hain to niyat mein yeh kehna zaroori hota hai ke 'AAJ KI FALAH NAMAZ' ya phir itna keh lena kafi hota keh, main niyat karta hoon 4 rakat farz namaz-e-zuhar parni khaal allah tallah waste mou mera khana kaba sharif ki taraf ?

Answer: bismehi taala, zaroori he k insan namaz qurbat ki niyyat se yaani khuda wande aalam ki bargah me pasti aur khuzu k izhar ke liye padhe aur yeh zaroori nahi k niyyat ko dil se guzar ya maslan zaban se kahe k char rakaat namaze zohar padhta hoo qurbatan elalllah. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.930)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1215
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, Nikah kay 5 sal bad rukhsaty hue, dubar nikah parn cahye or nahi.

Answer: Nikah k baad jab bhi kabhi bhi rukhsati ho, dobara nikah ki zarorat nahi hoti.yaani is kaam ki wajah say(late rukhsati) nikah nahi toot ta.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2349-2508).

Id: 1830
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kza namaz ki niyat kya krty hn.....plz agr bta den to..

Answer: Ye zarori nahi ke niyat apnay dil say guzaray ya zabaan se kahay bus soch lena kafi hai ke me qaza namaaz parh raha ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #930) (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa Farmaye)

Id: 2003
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mulana sahib main ap se aik sawal krna chata hoon plz mujhe bara dain kya namaz main nayat krna zaroori hai yah dil ke nayat se namaz ho jate hai

Answer: Zarori he k insan namaz qurbat ki niyat se yani khuda ki baargah me pasti aur khoshoh k izhaar k liay parhay aur ye zarori nahi k niyat ko apnay dil se ghuzaray ya maslan zaban se kahay k 4 rakaat namaz e zuhar parhta hoon qarbatan ilallah. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 930) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2323
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: what is the niyat of performing 2 rakat namaaz for sunnah??

Answer: Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah.(Ref: seestani d.b, tauzeehul masa’il maslah # 930) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3272
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kaza namaz ni neyat kaise kare.jaise hm namaz parhte hai vaise he?

Answer: Qaza namaz main qaza ka qasd kerna lazim hay or ye qasd sabit hojata agar ye is iraday se namaz perhi jay k ye os namaz k badlay hay jo mujh se qaza ho gae thi. mukhtasar qasd o irada bhi kaafi hay.{ or yani zarori nahi hay k ye qasd tafseeli ho,maslan main jo namaz perh raha hoon wo namaz zuhar ki faalan tareekh k falaan saal ki qaza hay. }(Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#1, maslah#572). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3461
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya niyat k bagair namaz ho jati hy mukammal??

Answer: 1) Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah. 2)zaroori hai k insane shuru sai aakhir tk apni niyat par qaim rahay. Agar wo namaz mai is terha gafil ho jae k agar koi pouchay k wo kia kar reha hai to os ki samajh mai na aye k kia jawab dai to is ki namaz batil hai. .(Ref: seestani d.b, tauzeehul masail maslah # 930,932) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4029
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa mera question hai k kya namaz me khare hoty wakt niyat krna zroori hai zaban se kehna zroori hai?

Answer: Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 4 rakat namaz e zuhar perhta hon qurbatan illal laah.(Ref:.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #930 )

Id: 4088
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salaam. . I want to ask u. K agar hum extra nafal parta ha matlb jo kaha gae ha unsa b alaida to un k neyat ma kia kaha ga? Bqe namazo ma to hum kahta ha 4 farz isha. To es ma?or gusal ka tariqa bta da plz jwb da da plz

Answer: 1)Mustahab namazain bohat si hain jinhein nafal namazain bhi kahtein hein. Ye namazain roz e jumma k alawa 34 rakaat hein jin me se 8 rakaat zohar ki, 8 rakaat asar ki, 4 rakaat magrib ki, 2 rakaat isha ki, 11 rakaat namaz shab ki aur 2 rakaat subah ki hoti hein. Lakin jumma k din zohar aur asar ki 16 rakaat nafal per 4 rakaat ka izafa hota he. 2)Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 2 rakat namaz, fajr ki sunnat perhta hon qurbatan illal laah. 3)Zaroori hai k insan shuru sai aakhir tk apni niyat par qaim rahay. Agar wo namaz mai is terha gafil ho jae k agar koi pouchay k wo kia kar reha hai to os ki samajh mai na aye k kia jawab dai to is ki namaz batil hai. .(Ref: seestani d.b, tauzeehul masail maslah # 752, 930,932) 4)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Ghusl e Tartibi(sequence) ii) Ghusl e Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii) Ghusl e Irtimasi daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka right(seedah) hissa or baad main left (ulta) hissa.Ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohchana wajib hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360,389) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!