Question: Kiya aik niyyat say mutaddid mayyatoon ki namaz-e-janaza ada ki jasakti hay?
Answer: Agar chand Janazay jama ho jain to un sab janazoon kay liye aik namaz-e-mayyat parhna jaiz hay.Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala No.309.
Question: janaza paak karny ki duwa
Answer: 1)miyat ko tarteeb se teen ghusl daina wajib hain pehla aisay pani se jis me bairi k pattey mile huay hoon doosra aisay pani se jis me kafoor mila hua ho aur teesra khaalis pani say. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 539). 2)ghusl dainay wale ko ghusl k waqt zikhr e ilahi me mushgool rehna mustahab he aur behtr he k bara bar ye kehta rahe “rabbi af’wak af’wak”) (ref : a. sistani(d.b),urwatul wusqa part#1,maslah # 896(9)).
Question: shia fiqa mai namaz-e-janaza ka kya tariqa hai tafsil say btain?
Answer: Namaz e mayyat me 5 takbeerain hein.Aur agar namaz parhnay wala shakhs nechay di gae tarteeb k saath 5 takbeerain kahay to kafi he. Niyat kernay aur 1st takbeer k bad kahay.( اشھد ان لا الہ الا اللہ و اشھد ان محمدا رسول اللہ ) (ASH,HADO AL LAA ILAA,HA IL,LALLAAHO WA ASH, HADO ANNA MUHAM,MA,DAN RASOO,LUL LAH) 2nd takbeer k bad dOrood parhay. (اللھم صل علی محمد وآل محمد) 3rd takbeer k bad kahay ( اللھم اغفرللمومنین و المومنات )(ALLAA HUM,MA IGH,FIR LIL,MOOMINEENA WAL MOO,MI,NAAT) 4th takbeer k bad agar mayyat mard ho to kahay (اللھم اغفرلھذا المیت) (ALLAAH HUM,MA IGH,FIR LI,HAA,ZAL MAYYAT) Aur agar miyit aurat ki ho to kahay (اللھم اغفرلھذہ المیت) (ALLAAH HUM,MA IGH,FIR LI,HAA,ZIHIL MAYYAT) Aus is k baad 5th takbeer kahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 598). Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain.(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/02.htm). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya namaz jinazah mai surah fatheh padhna hai 2
Answer: Namaz-e-mayyit me surah-e-fatiha nahi parhi jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #598 ) (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa Farmaye)
Question: Assalam-o-allikum mera sawal ye hai,ky kia namaz janaza buland awaz ky sath parhai ja sakti hai,aur ye ka as main suray fatiha bhi purah saktey hain kia.
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1- Namaz e janaza main mustahab hay k imam e jamaat takbeerain or duain buland awaaz se perhay or muqtadi(jamaat main shareek namazi) ahista perhain. 2- Jee nahi namaz e janaza main sorah e fatiha nahi perhi jaasakti balkeh is main 5 takbiraat hain jin k dermiyaan bataay gaay azkaar perhna hotay hain. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 598, 601) Note: in takbiraat or or in k dermiyaan perhay janay walay azkaar ki tafseel k liay aap is link par click karain.(Ref: http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/02.htm). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Suna hai jis shaks ki shadi na hoi ho uska janaza nahin hota agar koi shaks shadi na kare to kia saza or kitni gunjaish hai ehle toushia main shukria
Answer: Jee nahi aap ne bilkul ghalat suna hay.her musalman ki miyyat per or aisay bachay ki mayyit par jo islam k hokum main or poray 6 saal ka ho chukka ho namaz perhna wajib hay.or aik aisay bachay ki mayyait per jo jo 6 saal ka nah ho laikin namaz ki samajh bojh rakhta ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per namaz perna zarori hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 583). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: namaz e janaza agar na aati ho to namaz e janaza main kya parhna chahye
Answer: Namaz e janaza main takbirain kehna or duain parhna zarori hain chahay jama,at k saath hi namaz Q nah perhi jay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 600 ) Note: Aap imam e jama,at k alfaaz ko dohratey jaein ya aap dekh kar bhi parh saktey hain . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia gair muslim hamsae k janazay mai shirkat karna jaiz hai?
Answer: Agar marnay wala aur janazay k shurka islam aur musmanoo ki dushmni mai mashoor na hon to is k janazay mai shirkat krnay mai koi haraj nhi. Lekin behtr ye hai k janazay k pechay chalay agay agay na chalay. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 323, pg # 206) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Namaz e Janaza k bad jo Heela ki jata hai .. Ahle sunnat k han tu aus ki shari hasiat kia hai ?
Answer: Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawabat deya jata hai.
Question: YA ALI MADAD, janab mera sawal ye hai k kia Nimaz-e-Janaza (Funeral prayer) ma Quran ki koe b ayaat pari ja sakti hai ya nahe. waiting for your answer with references.
Answer: Namaz janaza me makhsoos duaain perhi jati hain.jis ka zikar tauzeehul masail me hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 598) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).