Question: namaz e janaza masjid ke ander q nhi hoti
Answer: Namaz e janaza masjid k ander parhna makrooh hai,siwaey masjid-ul-haram mai wahan par namaz e janaza makrooh nahi hai.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition, maslah #206) (khuda apki tofeeqat mai izafa farmaey).
Question: Kya Halatay Janabat me Namaz e Janaza per saktay hai?
Answer: Jee haan, jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #356). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Please tell me! kya Yeh such hai ke jinka (Nikah) nhi hota uska Janaza jaiz nhi agar han to kindly mjhe reference bhi dain is baat ka
Answer: Har musalman ki mayyat per namaz perhna wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #583). Update on dated 11-03-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya us bache ki janazah ki namaz parhayi ja sakti hai jo paida hote hi Kuch der bad maot ho jaye
Answer: Nahi, aise bache ki namaaz nahi parh sakte lekin baqi sub cheezen karna zaroori hai yani kafan ghusl,hunoot or dafan…(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 583). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya janaja namaz me koi wajib hey?
Answer: Namaz e janaza or ghusl waghaira in sub ki zimedaari us k wali par wajib hai lekin agar wali namaz ghusl waghaira say mana karay tu phir ye wajib e kifaayi hai yani tamaam mukalafeen par wajib hai yani agar tamaam logo mai sai koi aik shaks ye umoor anjaam dai dai tou wujoob sab sai saaqit ho jaata hai lekin agar koi bhi anjaam nah dai tou sub gunahgaar hoonge.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 531). [Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 5 hafty ka hamal zaya ho jae to usy dafnana zarori h kya.. agr hamal blood k sath toilet m nikaljae to koi kafara h kya?
Answer: Agar 4 month mukkamal ho chukay hoon to usay ghusl diya jaey hunoot kia jaey or kafan dia jaey laikin namaz nah perhi jaey laikin agar is se kam umar ka ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par is ko aik kaprhay main lapait ker dafan kia jaey laikin agar is ki khilqat mukammal ho tu is sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per is per 4 month wale ahkaam jaari hoon gay. (Ref: Minhajus sliheen, jild#1, maslah#330). [Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: namaz e janaza main wazoo kerna zarori h
Answer: zarori nahi hay, balkeh mustahab hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 601) [Updated on 13-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: janaze ki namaz me ruku or sajde hote hai ki nhi
Answer: jee nahi.faqat 5 takbeerien hoti hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 598). [Updated on 21-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: lrki ka nikkah na huwa to kia janaza jaiz nahi hota uska ???
Answer: Har musalman ki mayyit per namaz perhna wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #583). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alakium Mera sawal ye hai kiya koi bh momin mar jye oski namaz e janaza ho tw kia oski Namaz e janaza main ALI UL WALI ULLAH ki gawahi de sakhty hain
Answer: Jaiz hay. (Ref: istifta from A.sistani dated: 31-12-2011). [Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]