Question: Kya namaz e janaza kisi unchi nechi ya stadium type ki jaga per parha jasakta hai? Jismae janaza nechy ho or public oper ya oper janaza ho nechy public?
Answer: Zaroori hai ke namaz parhne ki jagh mayyit ke maqam se unchi ya nichi na ho lekin mamooli pasti ya bulandi men koi harj nahin hai.(Ref: Tauzihul masail Ayatullah Sistani(d.b), edition # 39th, masla # 588) [Updated on 23-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asllam o Allykum mera swal hai k Kiya sahb e istkaat Ho Aur sab kuch ho Shadi k Laiq bhi ho to shadi na Kary larka ya larki Kiya uska namaz janaza jaiz he plz Tafseel se Aur puri dalil K sath jawab den shukriya.
Answer: wsalam. shadi ka namaz e janaza sai koi talluq nahi hai, chahay musalmaan shadi karay ya na karay us ki namaz e janaza parhan wajib hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 583). [Updated on 13-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia marad ki namaz e janaza masjid k andar ho sakti he
Answer: Mayyit chahe mard ki ho ya aurat ki, Namaz e janaza masjid k ander parhna makrooh hai, siwaye masjid-ul-haram mai wahan par namaz e janaza makrooh nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #602). [Updated on 23-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nimaz e janaza mein imam ne 4th takbeer bhool gay mayat dafan hogai ab kia kren ??
Answer: Agar mayyit ko dafan kar dene ke bad pata chale ke jo namaz is par parhi ja chuki hai wo batil hai to mayyit par namaz parhne ke liye us ki qabar ko kholna jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #597). [Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaze mayyat me wazu zaroori h ya nhi
Answer: Zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #586) [Updated on 08-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Janaze jama ho to kya namaz ek saath padh sakte hai
Answer: Agar chand Janazay jama ho jain to un sab janazoon kay liye aik namaz-e-mayyat parhna jaiz hay.(namaz Janaza me chutti taqbeer ke baad Jo Dua perhe jaate hay us me segho me tabdele ki jaay Yani agar do mardu ki maiyat hay tu tasniya ke jummle perhe jaay or agar 3 ya 3 se zaada maiyat hay tu Jame ke sighe perhe jaay . (Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala #.309.) [Updated on 17-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 1-Namaz janaza ki niyat kya hgi? Sahi tareeka btae hawale k sth ? 2-mard or aurat ki namaz me takbeere 5 hai ya km zada hai ?
Answer: 1: Niyat ke alfaaz dil se guzrna ya maslan zaban se ye kehna ke "is mayyit ki namaz e janaza parhta hon paanch ke sath" ye zaroori nahin hai balke faqat is ka iraada karna kaafi hai. 2: Mayyit chahe mard ki ho ya aurat ki us ki namaz mein paanch takbeerein hain aur agar namaaz parhne wala shakhs mandarjah zeil tariqay ke mutabiq tarteeb ke saath paanch takbeerin kahe to kafi hai. 3: Namaaz e mayyit ka tariqa: Niyyat karne aur pehli takbeer ke baad kahe: «أَشْهَدُ أَنْ لَّا إِلٰهَ إِلَّا اللّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّداً رَّسُولُ اللّهِ». Dusri takbeer ke bad kahe: «اللّهُمَّ صَلِّ عَلیٰ مُحَمَّدٍ وَآلِ مُحَمَّدٍ». Teesri takbeer ke bad kahe: «اللّهُمَّ اغْفِرْ لِلْمُؤْمِنیٖنَ وَالمُؤْمِناتِ». Chauthi takbeer ke bad agar mayyit mard ho to kahe: «اللّهُمَّ اغْفِرْ لِهٰذَا المَیِّتِ» Aur agar mayyit aurat ho to kahe: «اللّهُمَّ اغْفِرْ لِهٰذِهِ المَیِّتَةِ». Phir paanchween takbeer kahe aur namaz tamam ho jaye gi. yahan tak paanch takbeerain aur jo duain bayan ki gayei agar koi shakhs is tariqay se namaz e janaza parhay to ye kaafi aur sahi hoga. Lekin namaz e janaza ka tafseeli tariqa jo ke wajib nahin lekin behtar hai wo yeh hai keh niyyat karne aur pehli takbeer ke baad kahe: «أَشْهَدُ أَنْ لَّا إِلٰهَ إِلّا اللّهُ وَحْدَهُ لاشَریٖکَ لَهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّداً عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ، أَرْسَلَهُ بِالحَقِّ بَشیٖراً وَنَذیٖراً بَیْنَ یَدَیِ السّاعَةِ». Aur dusri takbeer ke bad kahe: «اللّهُمَّ صَلِّ عَلیٰ مُحَمَّدٍ وَآلِ مُحَمَّدٍ وَبارِکْ عَلیٰ مُحَمَّدٍ وَآلِ مُحَمَّدٍ وَارْحَمْ مُحَمَّداً وَآلَ مُحَمَّدٍ، کَأَفْضَلِ ما صَلَّیْتَ وَبارَکْتَ وَتَرَحَّمْتَ عَلیٰ إِبْراهیٖمَ وَآلِ إِبْراهیٖمَ إِنَّکَ حَمیٖدٌ مَجیٖدٌ، وَصَلِّ عَلیٰ جَمیٖعِ الأَنْبیٖاءِ وَالمُرْسَلیٖنَ وَالشُّهَدَاءِ وَالصِّدّیٖقیٖنَ وَجَمیٖعِ عِبٰادِ اللّهِ الصّٰالِحیٖنَ». Aur teesri takbeer ke bad kahe: «اللّهُمَّ اغْفِرْ لِلْمُؤْمِنیٖنَ وَالمُؤْمِناتِ وَالمُسْلِمیٖنَ وَالمُسْلِماتِ، الأَحْیاءِ مِنْهُمْ وَالأَمْواتِ، تٰابِعْ بَیْنَنٰا وَبَیْنَهُمْ بِالْخَیْراتِ، إنَّکَ مُجیٖبُ الدَّعَوٰاتِ، إِنَّکَ عَلیٰ کُلِّ شَیءٍ قَدیٖرٌ». Aur agar mayyit mard ho to chauthi takbeer ke bad kahe: «اللّهُمَّ إِنَّ هٰذا عَبْدُکَ وَابْنُ عَبْدِکَ وَابْنُ اَمَتِکَ نَزَلَ بِکَ وَأَنْتَ خَیْرُ مَنْزُولٍ بِهِ، اللّهُمَّ إِنّا لا نَعْلَمُ مِنْهُ إِلّا خَیْراً وَأَنْتَ أَعْلَمُ بِهِ مِنّا، اللّهُمَّ إِنْ کانَ مُحْسِناً فَزِدْ فی إِحْسانِهِ وَإِنْ کانَ مُسیٖئاً فَتَجاوَزْ عَنْهُ وَاغْفِرْ لَهُ، اللّهُمَّ اجْعَلْهُ عِنْدَکَ فی أَعْلیٰ عِلّیّیٖنَ وَاخْلُفْ عَلیٰ أَهْلِهِ فی الغابِریٖنَ، وَارْحَمْهُ بِرَحْمَتِکَ یا أَرْحَمَ الرّاحِمیٖنَ». is ke bad paanchween takbeer kahe. Lekin agar mayyit aurat ho to chauthi takbeer ke bad kahe: «اللّهُمَّ إِنَّ هٰذِهِ اَمَتُکَ وَابَنَةُ عَبْدِکَ وَابْنَةُ اَمَتِکَ نَزَلَتْ بِکَ وَاَنْتَ خَیْرُ مَنْزُولٍ بِهِ، اللّهُمَّ إِنّا لانَعْلَمُ مِنْها إلّا خَیْراً وَأَنْتَ أَعْلَمُ بِها مِنّا، اللّهُمَّ إنْ کانَتْ مُحْسِنَةً فَزِدْ فی إحْسانِها وَاِنْ کانَتْ مُسیٖئَةً فَتَجاوَزْ عَنْها وَاغْفِرْ لَها، اللّهُمَّ اجْعَلْها عِنْدَکَ فی أَعْلیٰ عِلّیّیٖنَ و اخْلُفْ عَلیٰ أَهْلِها فِی الْغٰابِرینَ، وَارْحَمْها بِرَحْمَتِکَ یا أَرْحَمَ الرّاحِمیٖنَ». is ke bad paanchween takbeer kahe. Is baat ka zikr karna munaasib hai ke chauthi takbeer ke bad jo dua bayan ki gayei hai wo baaligh afraad ke liye makhsoos hai aur na-baaligh bachon ke liye chauthi takbeer ke bad kaha jaye: «اللَّهُمَّ اجْعَلْهُ لِأَبَوَیْهِ وَلَنا سَلَفاً وَفَرَطاً وَأَجْراً». (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #598,930. + Tauzeeh ul masail Jaame, part #1, edition #1443, maslah #804). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Plz Ghaibana Namaz e Janazah jaiz hey in Fiqh Jafria?
Answer:
Question: asslamolikom. namz e janaza mey jand bato key mutalq batae,1- keya wazo karna lazme ha? 2- keya paon sey jotey otarney cheyn ? 3- kasi gair shia key leyey dua e magferat parni chaey?4/ marney waley key gar jaa kar 3 den ka kahna kana chaey? hamid madina Gujrat
Answer:
Question: Assalam O Alaikum.... 1. Agar Mayat kisi suni ya wahabi ya deo-band ki hai aur namaz-e janaza k lieyeimamat un ka yaani suni ya wahabi karwa raha hai to kia us k peechy namaz perhna jaiz hay. es halat main keh aap ko namaz-e janaza nahin aati 2. Agar Namaz-e Janaza yaad hai to kia us imam k paichy niyat kr k parhni chahyey ya khud se apni (SHIA) kia namaz-e janaza parhni chahyey????
Answer: