Question: Namaz e shab se kiya muraad he? or Kitni rakat parhni chaiye?
Answer: 1)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) 2)Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay.8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rakat namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Tahajjud ki namaz 11 rakat 2 2 rakat karke padhni chahye
Answer: Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay.8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rak’at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: namaz-e-shab kaise padhy aur kya padhy us namaz me..... puri tafselaat ke sath samjh dejea plz... thank u so much..may god bless u ...
Answer: Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay.8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rak’at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir nemaz e shab kese pdte hain
Answer: Namaaz e shab ki 11 rakatain hain, in main se 8 rakat do do kar ke namaaz e nafila e shab ki niyat se, 2 namaaz e shifa ki niyat se, 1 namaaz witr ki niyat se pharna zarori hai, or is ka waqt raat ki ibtida se shuro hota hai or subha ki aazaan tak baqi rehta hai, or behtar ye hai ke subha ki aazaan ke qareeb phari jaae. Or is ka mukammal tareqa duwa ki kitaboon main likha howa hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 753 , , 761 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera naam shama hai mai 30 saal ki hu sir dheere dheere mere chehre ki khoobsurti kam hoti ja rahi hai apne namaz e shab k bare me bataya hai par namaze shab kaise aur kab padhi jati hai plz bataye
Answer: 2.2 rakat ker k 8 rakat namaz parhain, phir 2 rakat namaz-e-shafa ki neyat say parhain is k baad aik rakat namaz-e-witr ki neyat say parhain jis mai sura e alhamd aur 3 baar surae qul-huwallah parhnay k baad qunoot mai 40 zinda aur murda momineen k naam le kar bakshish ki dua mangain. (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#753). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir AOA! mjhe btayen k tahajud k liye sona zrori h?r 12 bje parh skty hn tahajud?
Answer: Wssalam o alykum, G nahi sona zarori nahi,isko 12 b parh askte hen(Albatta fajar se qreeb qareeb parhne k both fawaid rawayat men makoor hen) (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 761 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Salam Sir kia hm Namaz e shab kI Qaza parh sakty hyn agr meri namaz e shab choot jay to??
Answer: Wssalam o alykum,G han qaza ki niyat se pharye. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal #57 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: tahjood ki namaz kitne rakaat hoti hai aur knyu padhte hai
Answer: Namaz e Shab 11 rakat hai or is k parhne k rawayat men boht sare fazaail or fawaaid btaye gaye hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 735). In main se ik ye hai jo Imaam Zeen u Abedeen (a.s) se marvi Hadees o Quraani Ayat ka mafhoom hai, ke Namaaz e Tahajjud Allah Taala se tanhai main mulaqaat ka naam hai, jis mulaqaat ke ewaz Allah Taala us ko marifat ata karta hai, jis ki roshni main wo gumraah logo ke dermiyaan chalta hai. (Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 9 , topic # namaaz e tahajjud , pg # 51) , (Ref : Quraan e Majeed , Sura # sura e al-anaam - sura no 6 - , ayat # 122 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Salam muje plz zara namaz e Shab mein last 2 aur witr k 1 rikat k bare me bataye shafa k 2 rikat mein kia parte hy aur last one mein kia
Answer: Wssalam o alykum, Namaaz e Shifa ki pehli rakat main Suar e Al-Hamd ke baad Sura e Al-Naas (sura no 114) or dosri rakat main Sura e Al-Hamd ke baad Sura e Al-Falaq (sura 113) pharain. Namaz e tahajjud 11 rak,aat hay.8 rak,aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rak,at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak,at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak,at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay namaz shab me faqd 1 rakhat witar per iqtefa karsakte hai (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104, (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 498, eidition 1435 ) Namaz e tahajjud ki rakato me surah al hamd per iqtefa kar sakte hai aur dosere surah perhna wajib nahe hai. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4,ques # 78, pg # 47) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya tahajjud ki namaj ka jkar quran me hai, agar hai to kahan hai, aur iski kya fajilat hai
Answer: 1)Quran me parah#15 ki surah e bani israael ki ayat#79 me namaaz tahajjud ka zikar hai.(Ref: Al-Quran) 2) Namaz e tahajjud ki fazilat k liay is link per click karain.(Ref: http://www.ahl-ul-bayt.org/ur.php/page,19008Unit53460.html?PHPSESSID=9ddbb48d5e3568ede0339affea65211b) Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).