Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10228
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz e Shab k liye Sona zarori hai

Answer: Jee nahi sona zaroori nahi hai lekin behtar yehi hai k subah ki azan k qareeb parhi jaey agarcheh is ka waqt raat ki ibteda se hi shuru ho jaata hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#761). [Updated on 25-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10396
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam kia namaz e shab isha ki namaz k baad foran parh skty hain aur kia is waqt namaz e shab parhny ki whe fazilat hogi jo akhir shab mai hai? Kia Allah ki nazar mai utni hi qadr o manzilat rakhygi?

Answer: Namaz e sahb ka awal waqt mash,hoor qoul ki bina per aadhi raat hay. Ye agarcheh ahwat o behtar hay laikin baeed nahi hay k os waqt raat ki ibteda se shuru ho or subh tak baqi rahe or behtar ye hay keh subah ki azan k qareeb perhi jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #761). Update on dated 15-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11177
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam. Mera question hai kai kya namaz e shab puri 11 rakat hi parhni chahye ya mai end ki sirf 3 rakat bhi parh sakti hun khali namaz e shifa or namaz e witr?

Answer: Namaz e Shab 3 rakaat end (Namaz e shafa aur Namaz e Witr) ki bhi parh sakte hain or faqat namaz e witr per bhi iktifa kia jasakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #752) [Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11178
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam. Mera question hai kai kya namaz e shab puri 11 rakat hi parhni chahye ya mai end ki sirf 3 rakat bhi parh sakti hun khali namaz e shifa or namaz e witr?

Answer: Namaz e Shab 3 rakaat (Namaz e shafa aur Namaz e Witr) ki bhi parh sakte hain or faqat witr bhi perhi ja sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #752) [Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11825
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asw..namaze shab padhne ke bad konsi dua pdhi jaaye??

Answer: Aap is link per namaz e shab ka tariqa or namaz k baad ki dua ko daikh sakhte hain. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D9%86%D9%85%D8%A7%D8%B2_%D8%B4%D8%A8) [Updated on 27-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12081
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Tahajjud ka waqt kabse kabtak rahera hai

Answer: Namaz e sahb ka awal waqt mash,hoor qoul ki bina per aadhi raat hay. Ye agarcheh ahwat o behtar hay laikin baeed nahi hay k os waqt raat ki ibteda se shuru ho or subh tak baqi rahe or behtar ye hay keh subah ki azan k qareeb perhi jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #761). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12256
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam Sarkar. . Mara Question yeh hai k namaz-e-shab 3 rakat me padh sakte hai.. 2 rakat shafa or 1 rakat Vitr ??

Answer: Namaz e Shab 3 rakaat (yani 2 rakat Namaz e shafa aur 1 rakat Namaz e Witr) ki bhi parh sakte hain or faqat namaz e witr bhi perhi ja sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #752) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12298
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Tahajud ki nimaz parhna chor dina gunash hai

Answer: Namaz e Tahajjud nafil namaz hai aur nafil parhna laazim nahi hai wo mustahab hai lehaaza tark kia jaa sakta hai aur is ke tark karne se koi gunah bh nahin milta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 752) [Updated on 20-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13840
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اسلام علیکم۔۔ میرا سوال ہے کے کیا نماز شب کی تمام 11 رکعات ہم بیٹھ کر پڑھ سکتے ہیں؟ مہربانی فرما کر تفصیل سے جواب دیں۔ شکریہ

Answer: Jee han, Nafl namazain halat e ekhtiar mai bhi beth kar parhi ja sakti hain aur ye bhi zaroori nahi hai k 2 rakaton ko aik rakat samjha jae albetta behtr hai k inhain kharay rah kar parhay. Aur zaroori hai k namaz e isha k nawafil ehtiyat e wajib ki bina par beth kar parhain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #754) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14017
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam ! Namaz e shab main jo 40 momineen k liye dua krte hain woh namaz main hee krte hain ya namaz k baad???

Answer: Namaz k doran, namaz e witr k qunoot ma dua karte haini. mukammal tareeqa janne k liye is link par click karein. (Ref:https://ur.wikishia.net/view/%D9%86%D9%85%D8%A7%D8%B2_%D8%B4%D8%A8). [Updated on 01-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!