Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14678
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz e shab vohi parh skta hai jo 5 wqt ka nmazi ho?

Answer: Namaz e shab ka parhna takeedi mustahb hai aur ye wo afrad bhi parh sakte hain jo 5 waqt namaz nahin parhte, Lekin jo wajib namazen qaza ho gayi hain un ki qaza baja lana alag se wajib hai. aur jan bhooj kar wajib namaz ka tark(na parhna) karna haram o gunah e kabira hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #753,1356). [Updated on 13-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15122
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it necessary to sleep before tahajjud ? Or if I stay late till night I can pray tahajjud ?

Answer: 1,2: Jee nahin sona zaroori nahin hai lekin behtar yehi hai k subah ki azan k qareeb parhi jaey agarcheh is ka waqt Raat ki ibtidaa(yani maghrib, isha ki azaan ke waqt) sai shuru ho jaata hai aur subah ki azaan tak baaqi rehta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #761). [Updated on 08-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15967
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya hum namaz e shab ke 8 rakat ke Jaga qaza namaz parh sakte or phr namaz e shifa or namaz e witr parh lein... Kiya yeh tareeqa durust ha ?

Answer: 1: Jee parh sakti hain, lekin is surat me phir jo qaza namaz parhi jaye gi, wo faqat qaza namaz shumar hogi, namaz e shab shumar nahin hogi. 2: Insaan aisa bhi kar sakta hai ke rozana ke baaz nawafil ko parhay aur baaz ko nah parhay, aur namaz shab mein aakhir ki teen(3) rakat parhnay par iktifa kar sakta hai yani namaz e shafa aur witr parhay, balkay sirf witar par iktifa kar sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #2063). [Updated on 09-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16279
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا نماز شب کے لیے سونا لازمی ہے؟

Answer: Jee nahin, sona zaroori nahin hai, namaz e shab ko aadhi se pehle bhi parh sakte hain, lekin behtar yehi hai ke subah ki azan ke qareeb parhi jaye agarche is ka waqt raat ki ibtidaa (yani maghrib, isha ki azaan ke waqt) se hi shuru ho jaata hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #761). [Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16634
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr namaz e shab ma 40 logo k name laina Bhool Jain to namaz ho jati Hy ? ..ya bhi bta dain Kon Kon c aham rukan hoty tahajad k

Answer: Namaz shab me agar 40 momineen ke naam na liye jayen tab bhi namaz sahi hai. Namaz shab ki 11 rakat hain, jin me 8 rakat do do kar ke namaz shab ki niyat se (bilkul fajr ki nafil namaz ki tarah) parhni hain. phir 2 rakat namaz e shafa ki niyat se parhni hain, aur is ki dusri rakat me qunoot nahin hai. is ke baad aik rakat namaz e witr ki niyat se parhni hai jis me behtar hai ke Al-hamd ke baad aik baar surah e falaq aur aik baar surah e naas aur 3 baar surah e tauheed parhi jaye aur is me qunoot parhna mustahab hai, aur qunoot me 40 momineen ke naam lena zaroori nahin hain balke aam taur par jo dua e qunoot parhi jati hai wo parh sakte hain. (Note: Is baat ka zikar karna munasib hai ke agar namazi, namaz shab mein sirf Al-hmd parhe aur koi surah nah parhay ya mukhtaser qunoot parhay ya qunoot bilkul nah parhay, tab bhi us ki namaz shab sahi hai). (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #2061,2062). [Updated on 30-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16749
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz e shab ma jo pehly 8 rakkat hoti h un ma qunoot par skty ha ya nhe

Answer: Tamam wajib aur mustahab namazon me dusri rakat ke ruku se pehlay qunoot parhna mustahab hai lekin namaz e shafa me qunoot parhna mustahab bhi nahin hai aur parhna chahen to zaroori hai ke raja e matlobiyat (hope of acceptance) ki niyat se parhen. aur namaz witr main bhi bawajood is ke keh aik rakat ki hoti hai, ruku se pehlay is me bhi qunoot parhna mustahab hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1104). [Updated on 15-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17431
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AslamOAlaikum mjh koi wazifa Bata den Din Be Din mer chehra Benoor Kala hota ja rha h acne Hoti h Nishbnat hojaty Hain meri age b 20 h or abhi s berang hogya h chehra

Answer: 1: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq(a.s) ka farman hai ke “Namaz e shab chehray ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati hai. Aur insan ko khushbo daar karti hai. Rizq ki ziyadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai, gham ko door karti aur aankhoo ko noor ata karti hai”. Aik aur irshad ka aik jumla hai ke namaz e shab chehray ko safaid aur khoobsurat karti hai. 2: Chehray (face) ki khubsurati ke liye: chehray ko rozana dhone ke baad din me kam az kam 2 martaba safaid phitkari ke tukre ko gheela kar ke chehray par malen. ya kheere, tamater, podina, tulsi ka ras chehray par malen. (Ref: Kitab payam e shifa, pg #147). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19809
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Namaaz e shab kon se namaaz ko khte hen

Answer:

Id: 21452
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Me arsa 3 saal namaz e tahajud parh rahi hun. ab kuch wajoohaat ki bina par me jari nahi kar sakti lekin jb mein chorti hun to bohat ziada mushkillat aa jati hen. ap koi aisa treeqa btaen ta k mein tahajud na b parhun aur mushkilaat b na hoon. jazak Allah.

Answer:

Id: 22130
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: a.o.a....tahajjud ki namaz kaise padhi jati h...aur kya is namaz ko padhne k lye esha k bad sona lajmi h???mai rat bhar padhai krta hu, aur takriban 2 ya 3 bje sota hu,kya mai sone se pahle tahajjud ki namaz ata kar sakta hu..ya esha k bad ek nind lena zaruri h???plzzz peply me...

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!