Question: Ayatollah Sistani k nazdeek Watan ki kya Tareef hai. Tafseel k saath bataye? Or Kya Biwi ka Apna Ghar (Maika) watan me shumaar hota hai?
Answer: Ayatollah Sistani ky nazdeek watan ki 3 qismen hen 1-Jahan insaan peda hawa ho(barth place). 2-Jahan wo rehta ho or hamesh rehny ka irada kia ho. 3- Jahan insaan aik muddat k liay rehnay ka irada karay. Biwi ka maika in qismon main say agar kisi qism main dakhil ho to wo watan ki haisiyat rakhy ga or namaz poori hogi or rozay rakhny parhen gay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Masael e muntakhaba, maslah #146). Update on dated 16-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam alikum Mera sawal Ye he k qasar namaz me sunnat parhi jati he Ya nahi
Answer: safar ke doran chaar rakati wajib namazon ki nawafil saqit hain aur unhen nahi baja lana chahiye chunacheh zuhur , asar aur isha ke nawafil saqit hain aur nafilah e shab , nafilah e subah aur nafilah e maghrib ko baja laya ja sakta hai. (Mafhoom) (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, https://www.sistani.org/urdu/book/61/3639/) [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اگر مساÙر Ú©Ûیں نماز Ú©Û’ لیے رکے اور قصر نماز Ù¾Ú‘Ú¾ رÛا ÛÙˆ تو باقی آنے والے اÙراد اس Ú©Û’ پیچھے قصر نماز پڑھیں Ú¯Û’ یا پوری
Answer: Har shaks apne apne fareezay k mutaabiq amal karay ga. Yani jo musafir hain wo qasr parhain gaey or jo musafir nahi hain wo mukammal parhain gaey. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1343). [Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kasar ki nawaz ketne fasle par wajib hoti he
Answer: Agar koe musafir apni rehaish gha se 44 kilometer ya is se ziyada safar kare to is ki namaz zahor , asar aur aisha qasar (2 rakat ) perhe jaay ghi . musaferat ka aghaz aksar aokaat shehar (city) k aakhiri gharo se kiya jaay gha. albata bare (big) shehro ka hokum is se muktalif hai jahan aik mahalle se dosare mahalle ki taraf muntakil hona safar shumaar hota hai. (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 71 , pg # 70, eidition 5) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I came to Islamabad to my brothers house for a month .will i pray kaser.if yes how many days?
Answer: Musafir kisi jigha 10 din ya is sai ziada din rehnay ka irada na rakhta ho to namaz qasr ho gi aur agar 10 din kisi jigha par rahay to zaroori hai namaz puri perhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 207) [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam u Alikum. Maine Lahore se Abu Dhabi Travel kia aur idher Government ne Airport se mujhy 14 din k liye qurantine kar dia. kya namaz qasar ho ge ya Pori parni hai? Please advice
Answer: Jis jagah ko insan nay apni mustaqil sakonat or bood o baash k liay muntakhab kia ho, wo oska watan hay chahay wo wahaan paida hoa ho or wo os ka aabae watan ho ya os nay khud os jagah ko zindagi basar kerne k liay ikhtiyaar kia ho.(Ref: .( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1315) [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: zuhar namaz kasar ka distance kya hai
Answer: Musafir ka safar 44 kilo meter se kam nah ho or degar sahrait bhi maujood hoon tu 4 rakati namaz ko qasar kar k perha ajey ga. (Ref: (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1259). [Updated on 29-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa mujhe ye puchna tha out of country se saal bad apny ghar pak ana ho toh safar ki namaz ka kia tariqa ha or kitny din stay k bad ap par safr ki namaz wajib nai rehti?
Answer: Apney watan jub wapis aayen gay tou namaz poori hi parhni hogi lekin agar aap ka darmiyaan mai kisi or jagah 10 din sai kum qayaam hota hai tou us soorat mai zohar, asr or isha ki namaz qasr yaaney 2 rakaat parhi jaayen gi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 page no 207). [Updated on 23-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Musafir ko maghrib ki kitni rakatein pahrna chaahiye
Answer: Zaroori hay ke musafir zuhar, asr or isha ki namaz 8 sharait ki maujoodgi main qasr baja laye, (yaani 2 rakat parhay). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, before maslah #1259). (Note: Qasr namaz parhne ka hukum sirf 4 rakati namazon ke bare men hai jese zuhar, asar aur isha namaz hai. lekin jo namazain 4 rakat se kam hain jese maghrib aur fajar ki namaz to in ke bare men ye hukum nahin hai. lehaza maghrib 3 rakat hi parhi jaye gi aur fajar 2 rakat hi parhi jaye gi ). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 12 din kay leyiay mulk say bahar ja raha hoon rozay kay kia ehkam hain
Answer: Aap ko Namaz pori parni hogi aur rozay bhi rakhne hon gay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1323,1685). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]