Question: Qasir ki qaza nmz Kaisy parhi jahy..?
Answer: 8 Sharait (jin ka zikr Touzih ul Masail me kia gya hai) k sath musafir namaz e Zuhar, Asar or Isha ki namaz 2 rakat prhe. (Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Musafir ki namaz, Masla No. 1259) [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamoalaikum qibla hum shaban me iran ziarat k lye jarahe the visa b achuka hai magar mosam k halat ki waja se last shaban me qafla jaraha hai jo wapsi ramzan me hogi.Aisi surat e haal me jasakte hai ziarat k lye or roze k lye kya hukum hai.
Answer: Ziyaraat pe jaa sakte hain aur jis soorat me aap musaafir shumar hon (malsan jis jagah qiyaam karen lekin 10 din qiyaam karne ka irada na ho) to namaz qasr ke parhni hogi aur isi tarah jab musaafir shumaar hon to safar ke dauran rozay bhi nahin rakh sakte. lekin ramazan ke baad un chorhe gaye rozon ki qaza baja lani hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1685). [Updated on 06-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 1-agr koi shakhs zohr ke baad safr kataqreeban 2 baje safar karta hai aor kisi dosre shahar me 5 baje sham ko pahoch jata hai to whah pachne ke baad oh qasr namaz padhega ya pori namaz padhega ,is lie ki jab oh nikla tha apne shahr se to zohar ka waqt ho choka tha. 2-agr koi shakhs kisi shahr se apne watan 5 baje pahoch ata hai aor jab oh kisi shr se chala tha to zohr ka wakt ho choka tha ab apne watn jab sham ko 5 baje pahoch gya to oh qasr padhe ga ya pori namaz padhega,is lie ki jab oh kis shar se chala tha to os ke opr namaz qasr the.
Answer:
Question: Molana Sahab, mai Iran-Iraq- Sham ki Ziarat Parhne ja rahahu Aup meri rehnumai Kare keh kis maqam per per puri Namaz parni chaiye aur kis maqam per Audhi Parni chaiye, Aur ye bhi batae keh agar mera stey kisi maqam per 10 din se ziada ho to muje namaz qasar parhni chaihe ya puri Namaz parni chaiey Jawab ka jald Muntazir hu Thanks
Answer:
Question: Mufti sahab mera swal namaz k bary main ha agar kahin kisi masjid main sirf ek musfar hi nmaz karva skta ho aur wo kahy k musafir hony ki waja se main sirf Aadi nmaz hi parun ga tu agar 4 rakat ki namaz ho gie tu wo kahy k main 2 rkat namz parun ga aur 2 rkat par k main salam phair dun ga aur ap loog mery salam phrny k bad apni apni namaz ki 2 raktn khud par lena phr wo Musafir 2 rkat par k salam phair data hai aur uss k pechy namz parny walay salam nah pharty wo khary ho jaty hien aur apni namz ki 2 rakt par kar phar slam pharty hien tu kia ye sai hai
Answer:
Question: Asslamualaikum Warahmatullah main ek student hu aur main paancho waqt ki namaz padhta hu Alhumdulillah.Mera sawal hai k college wale humein 3 din ke liye industrial tour par le ja rahe hai shehar se bahar to mujhe ab namaz qasar karni hai par mujhe iska sahi tariqa nahi maloom.To main puchna chahta hu k qasar namaz ko kaise ,kis jagah padhenge kyunki wo jagah mere liye anjaan hai aur mere saath mere sabhi classmate bhi honge to main ab kya karu aap mujhe iska sahi hal batayein.Aapke jawab ke intejar me rahunga aur ho sake to jaldi jawab dijiyega,Khuda hafiz.
Answer:
Question: Dear Sir Umeed haiy app Khariat saiy hoon gay mera aik sawaal haiy jo main phelaiy bhi urz kiya tha magar shayad app ki nazar say nahi guzraa dubra uraz ker raha hoon umeed haiy kaiy jawab zaroor milay gaa mera sawal haiy kaiy main Pakistani hoo or karachi main residence haiy magar main yahan Abudhabi main job kaiy silslalay main rehata hoon or sall main aik do dafa pakistan jana hoo ta haiy agar mera stay karachimain sirif aik week yaa 10 din kaa haiy to jub kaiy ajj kal meraiy rehsih uae main haiy to kiya pakistan aik week kaiy liya jaa ker main qasar namaz add karoon gaa yaa puri agar jawab miljaiy to bari mehr bani hoo gii
Answer:
Question: Salam, Main daharki Sindhi mein job karta hun Jo Karachi se takreeban 600 km dour hai aur main normally har 15 se 30 din mein Ghar (Khi) ata hun tou Ab agar main safar karta hun ramzan mein tou mjhe roza rakhna hoga ya ny. Mjhe teenon cases mein batayay ga agar mein zuhr se pehle safar shuru karon, zuhr ke baad shuru karon aur mera stay dus din se zyada ho ya dus din se kam
Answer:
Question: salam men chakwal,punjab,pakistan ka rehne wala hun aur sargodha men study kerta hun(jo k 135 km door ha mere muqam se)...aur mere mamoo (relative) lahore rehte hen(jo k sargodha se 170 km door ha)...aur men ziada ter chutaian mamoo k pass guzarta hun....lihaza aksaro bashter(mostly) men week end pe lahore jata hun...aur 2,3 din k bad wapse sargodha aa jaata hun... kia lahore men mere namaz qasar ha k nai.... kia un muqamaat per b namaz qasar ho jati ha jahan insan aksaro bashter jata ho.... kia mamoo(close relative) k ghar b namaz qasar ho jati ha jahan insan ko aksar aana jana perta ha.... jawab ja mutazir hun... shukria...
Answer:
Question: Assalam u Alaikum Wa Rehmatullah!!! Ya Ali a.s Madad. Mohtaram me Job k gharz se har monday to thursday ka irada kar k Nawabshah se Hyderabad jata hu jis ka ek taraf ka travel 120KM banta hai. Is doran me stay apni khala k ghar karta hu. mere lie Namaz or Roze ka kia hukum hoga?
Answer: