Question: Assalam o Alaikum Aghr kisi shakhs ky 2 ghr hon or unke darmayan mn 35 kilometer ka fasla ho or wo agr aik ghr sy dusaray ki taraf safar kry to rastay mn woh kia namaz pori phray ga
Answer: Agar wapis bhi ana ho tu phir namaz ko qasar parhna hoga. Q keh safar ki musfat 44km meter ho tu namaz qasr pargna lazim hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Chapter musafir ki Namaz, shart #7 Maslah #1306). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Musafir par namaz Farz hai
Answer: 1)g han albatta usay namaz qasar kar k perni hoti hay. 2)Insaan ki namaz qasr us waqt hoti jb uska anay aur janay ka total safar 8 sharai farsakh ho(yani taqreeban 44 km) ho. Safar ka hisab us jaga say kerna zarori hai jahan say guzar janay k baad admi musafir shumaar hota hai aur omoman wo jagah shehr ka aakhri hissa yani ending hoti hai laikin baaz barhay cities mai mumkin hai k wo city ka akhri muhalla ho jo ending shumaar hota ho. 2-3-Musafir kisi jaga agr 10 din ya os say ziada rehnay ka irada rakhta ho tu namaz puri parhay or agar 10 din se kam rehna ho tu namaz qasr perhni wajib hogi. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1267,1279) . [Updated on 25-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar safar wapsi main ho to ghar pohanch ney sey kitney pehley qasar parh saktey hain
Answer: Agar wapis bhi ana ho tu phir namaz ko qasar parhna hoga. Q keh Musafir agar apne watan wapis aa raha ho jab tak wo apne watan na punhche zaroori ke qasar namaz parhe. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1306). [Updated on 10-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Muharram ya Safar k Mahinay (month) mai kisi aziz ki shadi mai shirkat ki garz say safer (travel ) kr saktai hain. jb k shadi 12 rabi ul awal ko hain. Bara i karam detail mai batyai.
Answer: wsalam. jee safar kia jaa sakta hai koi harj nahi hai.Ref:(https://www.sistani.org/arabic/qa/02170/). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mera yeh sawal hai k mai apny shar (city say dosry city) ja rha hun 9 days k liey or mery pas pori namaz parhny ka b waqt ho. To kia mai tab b qasar namaz parhun 2 rakat kar k ya pori namaz parhun??
Answer: Agar aap ka 10 din rehne ka irada nahin hai to aap ko namaz qasr namaz hi parhni hogi. Q ke zaroori hai ke musafir zuhar, asr or isha ki namaz 8 sharait ki maujoodgi main qasr baja laye, (yaani 2 rakat parhay). in me se aik shart ye hai ke agar kisi jagh 10 din rehne ka irada na ho to namaz qasr parhna zaroori hai. (Note: Qasr namaz parhne ka hukum sirf 4 rakati namazon ke bare men hai jese zuhar, asar aur isha ki namaz hai. lekin jo namazain 4 rakat se kam hain jese maghrib aur fajar ki namaz to in ke bare men ye hukum nahin hai. lehaza maghrib 3 rakat hi parhi jaye gi aur fajar 2 rakat hi parhi jaye gi). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, before maslah #1259 and 1321). [Updated on 30-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal hay k safar mai qasar nimaz imam k peechay pad skty mtlb baajamat pad skty ya ni agr pad skty to rules kia hn pehli saaf m khara hoskty k ni?
Answer: 1: Jee parh sakte hain, magar jo musafir zuhar, asr aur isha ki namazain qasar kar ke parhta ho us ke liye makrooh hai ke in namazon me aise shakhs ki iqtida karay (yani peeche namaz parhe) jo musafir nahin hai. Aur jo shakhs khud musafir na ho us ke liye makrooh hai ke in namazon me kisi musafir ki iqtida karay. 2: Qasr namaz parhne wala musafir jab kisi aise paish imam ke peeche jamaat ke sath namaz parhe jo musafir nahin ho to namaz e jamaat ka tareeqa e kaar wohi hoga sirf aap ko do rakat parhni hongi, is tarah se ke jab aap imam ke sath pehli rakat se namaz shuru karen ge to imam dusri rakat ke dono sajdon ke bad tashahhud parhe ga aur aap ne bhi tashahhud parhna hai aur tashahhud parhne ke bad jab imam teesri rakat ke liye khara hoga to aap tashahhud parhne ke bad imam ke sath khare nah hon balke bethe rahen aur salam parh kar namaz ko tamam karen. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1471). [Updated on 18-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ایک فوجی بندہ 2 ہفتے کی چھٹی پے گھر آتا ہے تو گھر میں اس کو نماز پوری پڑھنی ہوگی یا قصر؟
Answer: Namaz poori parhni hogi, Q ke jo jagh ya sheher(city) insaan ka apna watan ho to wahan namaz poori parhna zaroori hai. Aur dusri baat ye ke insaan jis jagah 10 din rehne ka irada kare to zaroori hai ke wahan bhi poori namaz parhay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1315,1321). [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Aagha mera college mere ghar se 30 km dur h aane jane ka rasta 60 km hota hai or mujhe roz up down karna hota hai to aise me mujhe poora roza rakhna hoga
Answer: Aap ko poori namaz parhni hogi aur roza bhi rakhna hoga, Q ke Jo shahks mahine main kam az kam 10 din safar main rahe ya 10 din safar kare to aisa shaks kaseer-us-safar shumaar hoga. aur wo safar main bhi poori namaz parhe ga, isi tarah us ko roza bhi rakhna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1296,1685). [Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Koi student hostelized ho or 20 din k bad ghar sirf 2 ya 3 din k lie ghar aye kia wo qasar nmaz parhy ga ghar aa kr ?hostel dusry city mein ho jis ka distance 20km ho
Answer: Pehli baat to ye ke insaan apne ghar yani apne watan me aaya ho to chahe 1 ya 2 din ke liye aaya ho, us ko namaz poori parhni hoti hai. doosri baat ye ke 20km ye faasal (distance) kam hai jabke namaz ko qasar kar ke parhne ke liye faasla 22km chahiye. Lihaza dono soorton wo student namaz poori parhe ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1261,1315). [Updated on 23-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai apne husband k sath city me rehty hu husband k watan mujhe kbi kbi Jana padta h but mai proper unke watan abi tk ni rahi ..kya ramzan me 2 din k liye agr jau to roze ka kya hukm h ...Mera roza qasr hoga k ni
Answer: Agar wo aap ka watan nahin hai to agar wahan 10 din se kam rehne ka irada hai hai to wahan aap ki namaz qasar (yani 4rakhate namaz 2 rakhat )hogi aur aap ko roza bhi nahin rakhna lekin ramzan ke baad is rozay ka qaza karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1315,1317,1685). [Updated on 17-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]