Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1223
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aik rozay ka hadiya kitna hota hai kiun kay meray miyaan bemari ki waja say rozay nai rakh saktay muje es kay bartay main kuch bata dien

Answer: Agar koi shakhs beemari ki wajah se ramzan k rozay na rakhay aur is ki beemari ainda ramzan tak lambi ho jay to jo rozay os ne na rakhay hoon in ki qaza is per wajib nahi he. Aur zurari he k har din k lie aik mud(takreeban 750 gram ) twam yani gundum ya joe ya roti wagira faqeer ko de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1674) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2556
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya shaval kay 6 rozay bharnay say pehlay ramzan kay chotay huai rozay bharna zaroori hai?

Answer: Jis shaks per qaza rozay hoon os k liay mustahab rozay rakhna jaiz nahi balkay Zarori hai ke wo Qaza Rozay ki Niyat Rakhay aur agar wo Qaza Rozaa rakh le to isay Mustahib rozay ka Sawab bhi (Inshallah) Milay ga(Ref : Mujtahid se pochay gaye Sawalaat part#Roza, Ques#90 pg#53)(Khuda aap ki Tawfiqaat Mein Izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3756
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Marhoom k rozon ki qaza kaisay ada ki ja sakti hai.

Answer: Baap k mernay k baad baray baitay k liay ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay k baap k rozo ki qaza isi terah baja laay jaisay k namaz k silsilay main {tauzeehul masail main}maslah # 1371 main tafseel say bataya gaya hay. wo ye bhi ker sakta hay k her din k badlay 750 gram khana kisi faqeer ko day day. chahay warisoo k razi honay ki sorat main mayyit k maal hi say day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1683). Note : agar baap nai apnay kuch rozay na rakhain hon aur un k qaza karnay par qadir ho to agar os nai khuda k hokum ki na-farmani kartay huay in ko tark na kia ho to ehtiyaat e wajib ki bina par wajib hai k baap k marnay k baad os k qaza rozay rakhain. 2) Agar kisi nai miyyat ka qaza roza rakha ho to behtr ye hai k zohar k baad roza na toray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1672 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3964
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslama alakum g me poochhna chahti hoon ki womens ke kuchh roze reh jate..hai...to kya unhe pura karna jaroori hota hai....jaroori hai to kabh rakh sakti hai rahe huye roze......plz batao.

Answer: Haiz or nifaas ki wajah se jo rozay qaza ho jaatay hain on ki qaza karna zarori hai or ehtiyaat e mustahab ki bina par aglay ramzan se phely in rozo ki qaza ker li jaay. Or agar aglay ramzan se pehlay qaza nahi bja lae gae tu har rozay k badlay ¾ kg khana fidya e takheeri k taur per daina hoga. (Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla # 1045,1047) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4166
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: qaza roza kab raksakt hai khi ramzan finsh honi ka baad raksakt hai shawwal ka month main

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Rozay ki qaza krnay mai jaldi krna wajib nhi hai agarchahe ehtiyat e mustahabb ye hai k ramzan k mahinay ki qaza doosray aanay walay ramzan sai takheer na karain. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 1047) Agar koi shakhs ramzan k rozay rakhnay mai kotahi karay to zaroori hai k rozay ki qaza bhi karay aur aur ehtiyat ki bina par har aik din k lie aik mudd toam(khana) faqeer ko day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1677)

Id: 4660
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sistani farz rozay kay maina 12din bemari ke waja say qaza kia hai ab kesay niyat karkay rakhu

Answer: Aap niyat karein k main ramzan k qaza rozy rakh rahi hoon. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1536 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5363
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere qaza rozay hain aur jin ki qaza mai ne next ramzan tak ada ni ki hai meri kia resposibility hai ab

Answer: Agar koe shaks ramzan k rozo ki qaza kerne main khuch . ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1680). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7586
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam Alaikum Mera sawal ye hay kay Ramzan main agar koi apni bv kay sath raat ko jimaa keray aur subha wazu ker kay sehri ker lay aur sooraj nikalnay kay baad ghusal keray tu us ka roza ho jaye ga jab kay us nay kuch nahi khaya piya ho

Answer: Wssalam o alykum,Agr azan subah tk ghusl na kiya jye to Us ke liye zarori hai ke is din mafi u zimmah ki niyat se roza rakhe (yani jo bhi Allah Taala ke nazdeek mere liye zimmedari hai us ko Allah Taala ke liye anjaam de raha hon), or phir ramzaan ke baad isi roze qaza kare lekin is main qaza ki niyat na kare balke mafi u zimmah hi ki niyat kare, or Azaan e Subha se pehle gusal e janabat na karne ki waja se kuffara bhi ada kare.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1591 , 1630 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8651
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main ye poochna chahti hn k agr kisi k bndy k 4 ya 5 saalon k rozy qza hn r usy sahi tadaad bhi maloom na ho to usy kia krna chahye please iska koi asan sa possible solution btaye Allah apko jazae khair dy

Answer: Sirif on ayaam k rozo ki qaza karna wajib hai jin k baare me yaqeen ho k roza nahi rakha thay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza , sawaal # 79,112,pg: 48 ,59). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9102
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar him rozy ka kaffara na dein to kiya hoga

Answer: Ramzaan k roze ko jaan boujh kar tourne ka kaffara k tour per zarori hai k 2 mahine roze rakhe ya har roze k badle 60 faqeero me se har aik faqeer ko 750 gm gandum waghaira daina wajib hay .Aur agar ye mumkin na ho to tauba o istigfaar kare aur ehteyaat e wajib ye hai k jis waqt kaffara dene k qabil ho jain kaffara de. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition:2015, maslah #1632,1633), (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat roza, ques # 112,113, pg # 59) Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!