Question: Assalam o Alaikm jin rozon ka kaffara hona hai un me har ek rozy ka alag kaffara hoga ya sab ko mila k ek he bar kaffara hojyga ... Or duari bat ye k mje na kaffary waly rozon ki tadad maloom hai na tory hwe rozon ki to me iss k lye kia karum
Answer: 1: Har aik rozay ka alag alaag kaffara dena hoga maslan agar 5 rozay ka jaan bhooj kar chorhe the to har aik rozat ke kaffare ke taur par 2 mahine rozay rozay rakhne hon gay yani 5 rozay ke kaffare ke taur par 10 mahine rozay rakhne hon gay. aur is ke alawa wo 5 rozon ki qaza alag se karni hogi. aur agar kaffare ke taur par 60 faqeeron ko khana khilana ho to us ka bhi yahi hukum hai. 2: Aap ko jitne rozon ki tadaad ke bare main yaqeen ho keh aap ne nahin rakhe utni miqdaar main rozon qaza rakhna wajib hain aur isi tarah jitne rozon ki tadaad ke bare main yaqeen ho keh aap ne nahin rakhe ya torhe hain utni miqdaar me rozon ka kaffara dena wajib hai. lekin jitne rozon ke baare me shak hai ya ehtemaal hai ke nahin rakhe ya rorhe hain us miqdaar ke rozon ki qaza ya kaffara wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1630,1681. + Mujtahid se poochay gaye sawalaat, chapter roza, sawal #79,112, pg #48,59). [Updated on 25-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Suba jb ankh khuli to mainy jldi sy Pani pi kr rozy ki niyaat krli phr mainy time dekha to azaan hwy b 5 min guzar gaey thy.. to kya mera roza hojaega?
Answer: Agar aap ka sawal ramzan ke rozay ke hawalay se hai to aap ki zimmay daari ye hai ke aap ne ye roza bhi mukamal karna hai aur ramzan ke bad is ki qaza bhi anjam deni hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1659). [Updated on 18-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: May nay saudia may ramadan ka 25 rozay rakhay or phir may holidays may pakistan chala gaya or wahan per rozay poray kiya lakin mujhay pata chala kay saudia may ik roza kaza ho gaya hay tu kia mujh per bhi roza kaza ho ga kay may pakistan kay hisab say aab roza rakhun ga.kiun kay meray ik roza zayada ho gay hay. Kia roza jis mulk may hun us hi kay mutabik rakhna ho ga yeh phir may jis mulk travel ker raha hun us kay mutabik rakhna ho ga. thanks
Answer:
Question: salam..meraa aaj ka sawal ye hi k...mere har saal k jo periods ki wajhaa se rooze chutt jatee hii un mein se mein 3-4 razon ki qazaa karte ho baqi k 2-3 roze jo almost 10 years se mein qazaa nhi kar payee. meujhe per kya huqam haii...kiya ye rozon ki qaza mein paison ki sooorat mein ada kar sakte hoon ..ya abhi mein un roozon ki qaza karoon.....
Answer:
Question: Asslaam Alaikum اگر شق کی بنیاد پر رمضان کے پورے رکھے ھوئے روزوں میں سے کچھ دھرانا چاھیں تو دھرا سکتے ھیں ؟ Agar Shaq ke Buniyad par Ramdan Kay rakhay hoay rozon main say kuch dhurana chahin tau duhrana theek hay ? Shaq say matlab agar Jhoot Bola Gaya, Gheebat kar dee ho, Zyada ya dair say khana khanay say laitnay k baad Dakarnay say moonh main pani a janay say ? Aik shakhs rozana ramdan kay rozay rakhta hay, kya us k liyay rozay ke niyat karna zaroori hay. Aur twatar kay sath 30 rozay rakhta hay.
Answer:
Question: muje yehi puchna hain k mery abu both bemar ty or uno na 5 rozy ramzan shrif k rozy rhky ty as k bad un ki haalth both krhab ho gi te or uny doctr na mana kardia ta wo hospetil main admit ty 2 months k bad un ki death ho gi hain main un ki beti un ki jga rozy rhkna chati ho kaya main rhk shkti ho plz muje zaror bty
Answer:
Question: Salam, Aaj main qaza roza ki niyat se sehri ki, Mn sehri 0400 se phle kar chuka tha, Azan ki timing 04:12 thi, Jo mujhe confirm nhi thi, Main aik dost se subah ki azan ki timing poachi, uss nain 0430 batai, To mn uss kai hisab se pani pee kar niyat ki. Baad mn azan ki timing ka pata chala keh aaj 04:12 hai. Kia mera roza shi hai ya nhi.
Answer: