Question: roze me mani zabardasti nikalne se kya roza makrooh ho sakta hai
Answer: Ramzaan k roze ko jaan boujh kar tourne ka kaffara k tour per zarori hai k 2 mahene roze rakhe ya har roze k badle 60 faqeero me se har aik faqeer ko 750 gm gandum waghaira diya jaay .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition:2015, maslah #1632,1633), (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat roza, ques # 112,113, pg # 59). Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Menses ke doraan jo rozay chot jatey hai kiya unki qaza zaroori hai
Answer: Jee haan, on rozo ki qaza zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #1913). Update on dated 17-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar roze se pehle mani nikalne k baad ghusal na kiya jaye or roza bagher ghusal k rakh liya jaye to kya ye darust hai??
Answer: Ramzan main azaan subh tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kardeta hai , zarori hai k azan subh se phely ghusl karey. or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zarori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey. Is k alawa is per roze ka kaffara bhi wajib hoga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masael 36th edition, maslah # 1591,1630). Update on dated 13-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Slm... Agar insan ko mlm na ho ka uska qaza rozy Hai or wo mustahab rozy rakna chahta ho to Kia us rozy ki niyat mafizima kr shakta Hai.. Agar qaza roza ho to qaza MA Shumar ho or agar qaza na ho to mustahab MA.......???
Answer: Agar ramzaan ka qaza rozay kisi k zimay hon to wo mustahab roza nahi rak sakta hai aur mustahab rozay ki niyat karna jaiz nahi bal k zaroori hai k wo qaza ka irada karay aur agar wo qaza roza rakh lai to osay mustahab rozay ka sawab bhi milay ga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # roza, sawaal # 90, pg # 53) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1544) [Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri ami ki tabiyat kharab rehti hai to kya unki jaga main unke qaza rozay rakh skti hun?
Answer: Jee nahi jab tak wo hayaat hai tou un k qaza rozay koe bhi nahi rakh sakti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1514). [Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Periods mein jo rozay reh jahe tou kiya shawaal k rozay rakhny sy wo puray ho jaty han?
Answer: Jo rozay periods ki wajah sai nahi rakhay gaye un ki qaza laazmi hai or jab tak kisi shaks k zimmay ramzan k qaza rozay ho wo mustahab roza nahi rakh sakta lehaza agar shawwal mai roza rakhna chahay tou ramzan k qaza rozay ki niyyat karni hogi or saath mai ye bhi iraada karein k agar qaza rozay na hote tou mai ye mustahab rozay bhi anjaam deti tou inshallah parwardigaar usay mustahab rozay ka sawab bhi ata karay ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1544,1673). [Updated on 17-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Janab mey umar bar roza nahi rakka aur ab rakna chahta hu please guide me kaise rakhu aur kya niyat karu.
Answer: Aap ko jitne rozo ki tadaad k bare main yaqeen ho keh aap ne nahi rakkhe utni miqdaar main rozey rakhna wajib hain or jaan boojh kar roze nah rakhne ki wajah se kaffare bhi daina hongay.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4435/ + https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4438/) [Updated on 29-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: If someone has opened their qaza roza after zawaal what qaza and/or kaffara he/she has to pay...
Answer: 1: Jis shakhs nai ramzan ka qaza roza rakha ho wo is rozay ko zohar sai pehlay tor sakta hai Albatta agar qaza ka waqt tang ho to behtar hai k roza na toray. lekin zuhar ke bad ramzan ke qaza roze ko jan boojh kar torna jaiz nahin hai, aur kaffara bhi dena hoga. 2: Jo shakhs ramzan ke rozay ki qaza kare agar wo zuhar ke bad jan boojh kar koi aisa kam kare jo rozay ko batil karta ho to zaroori hai ke 10 faqeeron ko fardan fardan aik mud khana (masalan 750 gram wheat ya rice )de aur agar khana na de sakta ho to 3 rozay rakhay.(Ref: Tauzeeh ul masail Jamea, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #2041)+(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1658). [Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ہمبستری کے ذریعے قضاء روزہ توڑنے کا کفارہ کیا ہے آقای سیستانی
Answer: Agar apna mah ramadaan ka qaza roza tha to agar azaan e zuhar se pehle jaan bhoojh kar hambistri ke zariye baatil kiya hai to koi kaffara nahin hai. Lekin agar azaan e zuhar ke baad jaan boojh kar hambistri ke zariye baatil kiya hai to kaffara wajib hai. Aur kaffara ye hai ke 10 faqeeron ko pait bhar ka khana khilayen ya un mein se har aik ko aik mud taam (750 giram) den aur agar aisa nahin kar sakte to 3 din roza rakhen. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #153,155). [Updated on 07-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qasar roza Zohar time khol skty h.
Answer: Jis shaks ne ramzaan ka qaza roza rakha ho wo is roze ko phele toore sakta hay laikin agar qaza ka waqt tang ho tu behter hay ke roza na toore . 1: Wo safar jis me jana aur aana 44 kilo meter aur wahan 10 din rehne ka irada bhi nah ho isi tarah wo apna watan bhi nah ho to wahan namaz qasr (yani chaar rakati namaz ko do rakat) kar ke parna zaroori hai aur roza bhi nahin rakh saktien. 2: Jis din safar karna ho, agar safar zuhur ke baad shuru karen to ehtiyaat ki bina par us din ke roze ko poora karna hoga (yani zuhur ke baad roza nahin khol saktein) aur agar safar zuhur se pehle shuru karen to phir ehtiyat e wajib ki bina par safar main us din ka roza nahin rakh saktien (yani zuhur se pehle roza khol sakti hain). Lekin har soorat mein Hadd-e-tarrakhus (jis ka maana baad me bataya jaye ga) tak puhnchne se pehle aisa koi kaam nahin karna chahiye jo roze ko baatil karta ho warna kaffara waajib hoga. (yani Hadd-e-tarrakhus se pehle roza nahin khol saktein, lekin agar Hadd-e-tarrakhus se pehle roza iftaar kiya jaye to kaffara waajib hoga). Note: Had tarrakhas woh jagah hai jahaan se ahl-e-sheher hatta keh woh afraad jo sheher ke muzaafaat mein sheher ke baaher rehte hain musaafir ko na dekh sakein aur us ki alaamat yeh hai keh woh ahl-e-sheher ko na dekh sake. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #,1670,1305,1685,1692). [Updated on 06-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]