Question: Kia wo shakhs jis par mah e ramazan mai jan boojh kar roza tornay ka kaffara hai, mustahabb roza rakh sakta hai?
Answer: Jee han, rakh sakta hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # Roza, ques # 122, pg # 62)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jis shakhs par koi qaza roza baqi ho wo koi mustahab roza rakh sakta hay kia?
Answer: Agar qaza roza kisi k zimmay ho to wo mustahab roza nahi rakh sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1544)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Jan bhuj kar roza toodh ne par kiya karna hoga kufaara kiya hoga?
Answer: Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker khanay pinay, jima, istemna ya janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koi mazkoora umoor k alawa kisi aur tariqay se roza batil karay to ehthiyat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565, 1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Please mjy eid e ghadeer k rozy ki fazeelat k bary mai jo ahsadees e masoomeen a.s hain un ki kitabo yani books ka reference chahye
Answer: 18 zilhajjeid ghadeer ka din hai ye din allah aur aale muhammad ki buhad bare eidoo me se hai allah ne har nabi ko is din ka ahteraam karne aur eid manaane ka hokum diya is din rasool ne hazrat ali ko apna kalifa aur janasheen banaya , is din ka roza 60 saal k ghunaya ka kafara hai, mazeed malomaat k lie kitaab mafaati ul jinaan , allama sheikh abbas qumi, eid ghadeer k aamaal ki taraf ruju kare. (ref: mafaati ul jinaan , allama sheikh abbas qumi, pg:263) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mustahab roza agr koi khulwa de sawal e khuda k naam pr to koi waqt hai uska? ya kisi b waqt ho skta hai? n rozedar k lye kya hukum hai
Answer: Jo shaks mustahab roza rakhe os k liay wajib nahi hay k osay ikhtetaam tak pohanchaey balkeh agar os ka momin bhai osay khane ki dawat day tu mustahab hay k o ski dawat ko qobool ker lay. Or din main hi roza khol lay chahay zuhur k baad hi q nah ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #) yeh istihbab us surat men he ke jab dawat qubool karna momin ke suroor ka bais bane or dawat rad karna na rahati ka bais bane. (Ref:<a href='../istifta_roza_kholna.gif'>Istifta Agha sistani D.B</a>) Update on dated 13-23-2021. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: plz tell me eid kay 2 or 3 din ko roza rahk saktay hain
Answer: jee rakha ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal ye hai ke shawwal ke 6 roze shawwal ke konsi date say start kare
Answer: 4 shawal say 9 shawwal tak. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1718). Update on dated 26-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr nafil roza me sehri ka waqt 4.53 hai... Or koi insan anjane me 4.58 tk sehr kare or fr pata chale ki sehr ka waqt to 5 min pehle khtm ho chuka h... To kya uska roza mana jayga? Ya nai??? (anjane me time cross hua )
Answer: Ye roza sahi nahi hoga.(Ref: Mujtahid se pochae gaey sawalaat, sawal#18). [Updated on 25-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya shawal k rozay eid k dosre din se rekhna jaiz hai
Answer: jee rakhay jaa saktay hai faqat pehli shawwal ko roza rakhna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1709). [Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.a can you tell me what is the neyat of eid ghadeer fast?
Answer: Fast of Ghadeer is mustahab. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1718). Update on dated 20-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).