Question: کیا 4 شابان کو عید کے دن روزہ رکھ سکتے ہے ؟"
Answer: 4shabaan ko rakh sakte hain balke rajab aur shaaban ke poore mahine ke rozay rakhna takeedi mustahab hain. (Note: Eid ul fitr aur eid ul azha ke din roza rakhna Haram hai lekin is ke alawa baaqi eidon [eid gadeer, eid mubahila, eid naurooz, wagera] pe roza rakhna Haram nahin hai balke takeedi mustahab hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1709,1718). [Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Shaban mai kis kis din roze rakhne chahiye
Answer: Shabaan ke poore mahine ke rozay rakhna takeedi mustahab hain. ya is mahine me jitne rozay rakh sakien chahe wo aik din hi q nah ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1718). [Updated on 25-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Ramzan say eik ya do din pehlay roza rakhna sae hai ?
Answer: Jee han, sahi hai, balke Ramzan se pehlay shabaan ke pooray mahinay ke rozay rakhna bhi mustahab hain.(laikin jab tak ramzan sabit na hojaay ye roze ramzaan ki niyat se nahe rakhe ghe ) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #1717). [Updated on 02-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: nafil roza aur qaza roza mian dono ka sehari aur iftiyar timings kya hai
Answer: 1: Iftaari ka waqt to tamam rozon ka aik hi hai aur wo hai azaan-e-maghrib( maghrib ki namaz ka sharhe waqt ), lekin wajib ghair muayin rozay ki niyat ka waqt azaan-e-zuhur tak baaqi rehta hai lehaza agar wajib ghair muayin rozay ke liye jaisay kaffare ka roza ya maah ramazan ka qaza roza, jaan boojh kar azaan-e-zuhur se pehlay niyat nah kare to haraj nahin hai. balkay agar niyat se pehlay roza nah rakhnay ka iradah rakhta ho ya taraddud mein ho ke roza rakhay ya na rakhay, chunanche aisa kaam jo rozay ko baatil karta hai anjaam nah diya ho aur azaan-e-zuhur se pehlay niyat kare to is ka roza sahi hai lekin zuhur ke baad ki niyat ehtiyat-e-wajib ki bina par kaafi nahin hai. 2: Mustahab (nafil) rozay me agar aisa kaam jo rozay ko baatil karta hai anjaam nah diya ho aur azaan-e-maghrib se pehlay niyat kare to is ka roza sahi hai. lehaza agar azaan-e-maghrib se kuch waqt pehly bhi niyat kar li jaye to kaafi hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #40. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1534). [Updated on 14-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: SALAM! me jab mustahib roza rakhta ho to meri mother mera roza kholwa dete hai,jaise wo kehti hai ke me dawat de rahi ho, tu kia me roza khol sakta ho?or yeh bhi bataye ke dawat me khana hona zarori hai ke sirf pani ya sharbat chale ga? (plz refrence de de to kia hi bat ho gi) KHUDA HAFIZ
Answer:
Question: agar koi mustahib roza kholwai to fazilat kiss me ziyada hai 1...me roza kho lo ya 2...ose mana ker do? or agar khol do to,tu kia agar koi roz roz kholwa de to kia hukum hai? or agar roza khol de tu kia os ka sawab kitna ho ga,os roze se ziyada jo me pora karo ya os kam ya otna hi?
Answer:
Question: mujhe pochna he k shab.e.mehraj main sirf 27 ka roza rakhty hen .. lakin mujhe aj ek sahab nay kaha k 1 roza nai rakh sakhty .. ya to 26 27 ka rakho ya 27 28 ka .. tu ap mujhe thora tafseel say bata den k agar ek roza nai rakh sakhty to q nai rakh sakhty ....
Answer:
Question: mera sawal yeh hai k mene rajab j roozey rakhey hai 16 or shab-E-Miraj ka rakha hai meri cousin ne kaha k rajab mein rozey nahi rakhe jatey hai haram hai mujhe janna hai k kya islam mein hai yeh rozey rakhna yea quran mein yea koi hadess plzz batain mujhe
Answer: