Question: Kya mustahab roza bina khaye piye yani aath pehra rakha ja sakta hai??
Answer: Jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Urwatul wusqa, part#2, maslah #2558). Update on dated 06-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar sohar hukum day Kay roza khol lo you Kiya hukum hai chaye wo wajib ki niyat say rakha ho
Answer: Agar aurat k mustahab roza rakhne se shohar k haq lazat e jima ki haq talafi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram hai yehi hukum wajib e ghair moaiyan maslan ghair moaiyan nazar k roze ka hai aur is surat me ehtiyaat e wajib ki bina per roza batil hogha aur nazar bhi puri nahi maani jaey gi yehi hukum ehtiyaat e wajib ki bina per os waqt hai jab shohar aurat ko mustahab ya ghair moaiyan nazar ka roza rakhne se mana karde chahaey is se shohar ki haq talfi nah bhi hoti ho (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41st edition maslah#1710) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam-Alaikum!!...3 Rajab ko roza rakh sakte hain jabki ye din imame naqi ki shahadat hain aur is din ko laylatul ragaeb kaha gya hain ..,?
Answer: Rajab aur shaban k pure mahine me jab bhi roze rakhe jaye musthab he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1757) [Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam sir kia bagar niyat k mustahab roza rakh sakta hai?
Answer: Jee nahin mustahab roze me bhi niyat karna zaroori hai. han agar aap ne magrib se kuch waqt pehly bhi niyat kar li to kafi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla # 1534 ). Insan ke liay rozay ki niyyat dil se guzarna ya masalan yeh kehna ke "me kal roza rakhonga" zaroori nahi balkeh is ka irada karna kafi hai keh woh bargah e ilahi me apni zillat ke izhar ke liay azan subah se maghrib tak koi aisa kaam nahi karega jis se roza batil ho aur yeh yaqeen hasil karne ke liay is tamam waqt men woh rozay se raha hai zaroori hai keh kuch der azan e subah se pehle aur kuch der maghrib ke baad bhi aise kaam karne se parhaiz kare jin se roza batil ho jata hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla # 1531 ). [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shawwal ky 6 rozy kya rakhny chahy
Answer: Jee rakhay jaa saktay hai faqat pehli shawwal ko roza rakhna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1709). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia hajat k rozay safar k month m rkh sakty hain? Or chehlum m roza rkhna makro to nh?
Answer: G han rakh saktay hain, aur chehlum (yani 20 safar) ka roza makrooh nahin hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1717,2615 ). [Updated on 27-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 27 rajab ko roza rakhna chahiye
Answer: Rajab aur shaban ke puray mahinay main rozay rakhna mustahab hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #1718) aur 27 Rajab ka roza to un 4 dino main sai hai jin main roza rakhnay ki khas shan hai jaisa k is din ka roza 70,hazar saal k rozon ka sawab rakhta hai. (Ref: Mafatih ul jinan, pg #305) [Updated on 15-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia bivi apny shohar KY karobar mein taraqi KY lie nafli roza rkh skti hai?
Answer: Jee han, rakh sakti hai. Albatta Agar aurat ke mustahab (nafli) roza rakhne se shohar ke haq-e-lazzat ki haq talfi hoti ho tu aurat ka rozah rakhna haram hai. yehi hokum wajib gair muayyin mas’alan gair muayyin nazar ke rozey ka hai aur us surat main ehtiyat wajib ki bina par roza batil hoga aur nazar bhi poori nahin mani jaye gi. Yehi hokum ehtiyat-e-wajib ki bina par us waqat hai jab shohar, aurat ko mustahb ya gair muayyin nazar ka roza rakhne se manah kar dey, chahey us se shohar ki haq talfi nah bhi hoti ho aur ehtiyat-e-mustahab yeh hai keh us ki ijazat ke bagair mustahb (nafli) roza nah rakhe. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1709). [Updated on 15-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 4 mustahib rozay 17,25,27,18 most fazilat walay hn inki riwayat kis imam a.s se milti hy
Answer: Jawaab dedia hay . [Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 4 mustahib rozay 17,25,27,18 most fazilat walay hn inki riwayat kis imam a.s se milti hy
Answer: Hazrat imam ali naqi (a.s) se sawaal kia gaya tha ke saal ke wo koonse din hain ke jis me (mustahab ) roza rakha jata hai,(yani ye wo din hain jin me roza rakhna khososiat ka hamil hai) (1) 17rabiulawwal ,hazrat rasool allah ki wiladat ka din ,(2)27rajib ,jis din rasool allah mabhoos banabuwat hoe ,(3)25zeqaad,jis me kaaba ke neche se zameen bechaae ghae ,(4)18zilhaj jo gadeer ka din hay .or ye wo 4 din hain ke aytullah sistani sahab ki tauzeeh ul masail,urdu ,pg no 260, masla no : 1717,me bhe in 4 dino me roza rakhna taqeed ke sath mustahab ( ajro sawaab ka bais) qaraar dia hay (ref:wasailushia,urdu, jild no: 7,pg no 258,hadees no :3) [Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]