Question: gyar syed insan jo kay shia hai hum us kay illaj kay liay haq-e-sadat ki raqam say madad kar saktay hain?
Answer: ye JAIZ NAHI hay,is say zimmedaari poori nahi hogee. (Ref.Istiftaa)
Question: Asslam O Alaikim. aik kahtoon appnai shor k intaqal k bad appnai bachoo ki taleem o terbiyet kerti hain.or appnai shor k gher waloon k sath hi rehti hain.un ki amadni ka koi zerya nahi tu kiya un ko khumooss ka adah hissa hum kud say ada ker saktay hain.
Answer: Khums kay 2 hissay hotay hain,aik hissa kisi syed faqeer ya yateem syed ko diya jata hay ya aisay syed ko jo safar main na-chaar ho gaya ho,usko diya jasakta hay.jabkay khums ka dosra hissa sehm-e-Imam(as) hay jo zaroori hay kay maujooda zamanay main Jamiush Sharait Mujtahid ko diya jaey ya aisay kaamoon par kharch kiya jaey jis ki mujtahid nay ijazat dee ho,aur Aihtiyaat-e-Lazim ye hay kay wo Marja-e-Alam ho aur umoomi maslihatoon say aagaah ho.jis shakhs kay paas apnay aur apnay aihl-o-ayaal kay liye saal bhar kay akhraajaat na hoon aur uska koi roozgaar bhi na ho jis kay zariye wo apnay aihl-o-ayaal ka saal bhar ka kharcha poora kar sakay wo faqeer hay..Bayan karda masalay ki roshni main aap jis khatoon ko apna khums dena chahtay hain agar wo syeda hain aur faqeer hain to khums ka aadha hissa yani sehm-e-sadat day saktay hain,agar wo faqeer hain laikin ghair syed hain to phir mujtahid ki ijazat kay baghair khums nahi day saktay..Sehm-e-Sadat mujtahid ki ijazat kay baghair khud mustahiq tak pohuncha saktay hain ,agarchay aihtiyaat-e-mustahib hay kay ye bhi mujtahid ya is kay wakeel ko diya jaey.Ref:Istiftaat I-35,Tauzeehul Masail Pg.No.272,294.Masala No.1804,1953.
Question: assalamum alikym kya khums ke raqam zalzala zadgaan ki imdaad main de ja saktey hai jab ke is baat ka moqamal ilm ho key ye momineen ke hatoon se he motaseereen taq pohchi jaye gi.
Answer: zaroori hay kay khums 2 hisson main taqseem kiya jaey,is ka 1 hissa Sadaat ka Haq hay aur zaroori hay kay kisi faqeer syed ya yateem ya aisay syed ko diya jaey jo safar main naChaar ho gaya ho.lihaza aap jin hazraat ki madad ki khatir khums ki raqam day rahay hain agar wo sadaat hain aur faqeer yateem ya safar main naChaar hon to unko khums ka Adha hissa (yani Sehm e Sadaat) dena jaiz hay.jabkay khums ka dosra hissa Imam e Zamana AS ka hay kay jo zaroori hay kay maujooda zamanay main Jamiush sharait mujtahid ko diya jaey ya aisay kaamoo main kharch kiya jaey jis ki Mujtahid Ijazat day lihaza agar aap kay mujtahid nay aap ko Ijazat dee ho kay in zalzala zadgaan ki madad kay liye is raqam ko kharch kar saktay hain to aap kay liye khums ka ye hissa bhi unko dena jaiz hay.Aihtiyat e lazim ye hay kay mujtahid Arjae Aalam ho aur Umoomi maslihatoo say aagaah ho.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.272,Masala No.1804.
Question: Assalam alaikum. kiya main sahm e sadat ki raqam khud kisi mustahaq sayed ko de saktahoon.wazah ho ki main Aytullah Sistani ke kahne ke Mutabiq marhoom Khomaini ki taqleed par baqi hun. wassalam
Answer: Aqwa ki bina par sehm-e-sadat ka maamla Haakim-e-shara kay ikhtiyaar main hay pas zaroori hay ya is tak pohunchaey ya is ki ijazat say kharch karay.Ref:Tehreer-ul-Waseela Imam Khumaini Pg.No.107,Masala No.7.
Question: Is khums allowed for those who collect only for their community not for all momineen
Answer: bismehi taala, khums dene wale k liye zaroori he k mukammal raqam ki raseed hasil kare aur yeh raseed Aytullah Seestani (d.b.) k daftar ki tarf se hona zaroori he (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 2 page 58)(agar marjea ne ijazat di he aur woh aap ko Aytullah Seestani k daftar ki raseed dete hain to aap de sakte hain)
Question: meri bhabhi cancer main mutala hain .chay bachain hain .bhai ki amdani boht mehdood hay. kia hum same sadat un ko day saktay hain?bhabhi saray sharai wajibat ada karti hain
Answer: Jee haan.Khums se sehm e saddat ka hissa mustahaq syed faqeer ko dia ja sakhta he. Laikin ehtiyaat e lazim ki bina per os shakhs ko shem e sadaat daina jaiz nahi hay jis ka naan o nafaqqah(karcha) aap per wajib ho.q keh bahbhi ka naan o nafaqah ap per wajib nahi hay is liay shem e sadaat diya jasakta hay.(ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 102, pg # 51). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia main apni taraf se aek syad family ko sehme sadat de sakta hun
Answer: Sehm e sadaat ka hissa khud aisay mustahaq syed ko jis main tamaam shaar,it maujood hoon daian jaiz hay, agarcha ehtiyaat e mustahab ye hay k hakim e shara ko diya jaay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#1264 )
Question: Assalam-u-Alikum, I would like to know who is authentic representative of Auatullah Sistani in Karachi, Pakistan for Khums collection. Kindly give his contact #. Jazzak Allah Khair. Wasalam, Farhan
Answer: bismehi taala, Muttadid afrad aur ideray khums jama karne ka ijazat nama rakhte hein jin me se aik Quran o itrat academy bhi he. (Aap Quran o itrat Academy mein apna khums juma karwa sakte hein.).
Question: khums for sahm e imam where the right place or person to offer
Answer: Maal e imam (sehm e imam(a.s)) apne mujtahed ya is k vakil ko dia jaay ga. Kisi bhi fard k lie mujtahid ki ijazaat k bageir is hissa me tassaruf(istemaal) karna jaiz nahi. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 1, ques # 110, pg # 60 , 61).
Question: Do I have to pay the khums to the same Mujtahid whom I am following or if my Father is responsible for my monetry matter,and he is in Taqleed of any other Merja, and if he pays my Khums to him, is it possible?
Answer: Khums should be divided into two parts. One part is Sehme Sadaat, it should be given to a Sayyid who is poor, or orphan, or who has become stranded without money during his journey. The second part is Sehme Imam (A.S.), and during the present time it should be given to a Mujtahid, who fulfils all conditions, or be spent for such purposes as allowed by that Mujtahid. As an obligatory precaution, that Mujtahid must be Aalam, and well versed in public affairs.( Ref: http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2293 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)