Question: Salammm mera sawal yeh hai k ( Syed ) Naam kab se shuru hoaa ! kindly mujhe batayen Thanks
Answer: Syed wo shak hota hay jis ka shajrah e nasab baap ki janib se rasool e akram (s.a.w.w) k jad e buzrug janaab e hashim tak pohnche. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#1261). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamalaikum! I've a question on Khums sadat part. My sister generally fulfills the criteria and Syed too. To what extent that I can give Khums to her. Wasalam & thanks Mustafa
Answer: Sehm e imam mujtahid ya us k wakeel ko dia jaaye ga lekin sehm e saadaat k mustahiq ki kuch sharaait hai agar wo sharaait mukammal ho to khums mai sai faqat sehm e saadaat us k mustahiq ko diya jaa sakta hai. Sehm e saadaat k mustahiq ki mandarja zail sharait hai: 1) zaroori hai khums lene wala syed ho. 2) shia isna ashari yaane 12 imaami shia ho. 3) faqeer ho. 4) khums ko haram kaamo mai kharch na karay. 5) Ehtiyaat e wajib ki bina par us ka khums daina gunah mai masad shumaar na hota ho. 6) Ehtiyaat e wajib ki bina par sharaab khor or be-namazi nah ho. 7) Ehtiyaat e wajib ki bina par khulam khulla gunah nah karta ho. 8) Ehtiyaat e wajib ki bina par jis ko khums dia jaa raha ho wo khums dene waale ka wajib un nafqa nah ho (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2442). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam kya seham e imam hum yateemo ya bemaaro ko dy sakty hain Jo apk irdgird rehty hon. Aur unki imdaad krny waly b koi na hon
Answer: Zarori hay keh sehm e imam a.s maujoda zamane main jaamus shraet mujtahid ko diya jaey ya aise kamo main jis ki wo mujtahid ijazat day kharach kia jaey or ehtiyaat e lazim ye hay keh wo marja aalam ho or omomi maslihato se agaah ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#1804). [Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Keya sadat ke khums ko non sadat ko diya jasakta hai
Answer: Zarori hay k khums 2 hisso main taqseem kia jay. Oska aik hissa sadaat ka haq hay or zarori hay k kisi faqeer syed ya yateem syed ya aise syed ko diya jay jo safar main nachar hogaya ho or dosra hissa Imam a.s ka hay jo zarori hay k maujoda zamane main jaamiosh sharait mujtahid ko diya jay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1804) [Updated on 16-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Keya sadat ke khums ko non sadat ko diya jasakta hai , keya ese Masjid/Imambade key tameer me bhi serf kiya ja sakta hai?
Answer: Zarori hay k khums 2 hisso main taqseem kia jay. Oska aik hissa sadaat ka haq hay or zarori hay k kisi faqeer syed ya yateem syed ya aise syed ko diya jay jo safar main nachar hogaya ho or dosra hissa Imam a.s ka hay jo zarori hay k maujoda zamane main jaamiosh sharait mujtahid ko diya jay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1804) [Updated on 16-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera ye sawal hai ky bht sy sadad baghair shajra ky hain to kya shajra hona lazmi hai ya nh aur boht sy sadat esey hn jo pehly kissi aur caste ya zat sy taluk rakhty thy magar ab khud ko syed keh rahy hn to kesey pta chaly ga ky kon syed hai kon nahin ??
Answer: Jo shaks bhi janab e hashim se mansoob hone ka dawa kare tu os k dawe ko qobool nahi kia jaey ga magar ye keh bayyinah(yani 2 adil mard ki gawahi)ho. Haan, agar kaseer tadaad main loog is k syed honay ki gawahi dain ya is shaks k asli sher main syed hona mashhoor ho ya kisi uqlae bunyaad ki wajah se os ki baat per itminaan ho tu os ko syed tasleem kia jaey ga.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#1262,eidition 1439 ). Note: Syed k soboot k liay likha hoa shajra zarori nahi hay. Q keh jaali shajra bhi tu banaya jaa sakta hay.asal miyaar oper bayan kia gaya hay. [Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Agha sb Sehm e sadaat k liye mujtahid k wakeel ki ijazat zrori hy ya ni ? Isi trah Sehm e imam k liye b mujtahid k wakeel ki ijazat zarori hy k ni?
Answer: sehm e sadaat, sadaat ka huq hai or zaroori hai k kisi aise syed ko diya jaaye jis mai sharait moujood ho or sehm e imam mujtahi ya us k wakeel ko diya jaaye ya un ki ijaazat sai kharch kia jaaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1804). [Updated on 19-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Khums namaz na parhnay walon ko dya jasakta hai
Answer: Sehm e imam mujtahid ya us k wakeel ko dia jaaye ga lekin sehm e saadaat k mustahiq ki kuch sharaait hai agar wo sharaait mukammal ho to khums mai sai faqat sehm e saadaat us k mustahiq ko diya jaa sakta hai. Sehm e saadaat k mustahiq ki mandarja zail sharait hai: 1) zaroori hai khums lene wala syed ho. 2) shia isna ashari yaane 12 imaami shia ho. 3) faqeer ho. 4) khums ko haram kaamo mai kharch na karay. 5) Ehtiyaat e wajib ki bina par us ka khums daina gunah mai masad shumaar na hota ho. 6) Ehtiyaat e wajib ki bina par sharaab khor or be-namazi nah ho. 7) Ehtiyaat e wajib ki bina par khulam khulla gunah nah karta ho. 8) Ehtiyaat e wajib ki bina par jis ko khums dia jaa raha ho wo khums dene waale ka wajib un nafqa nah ho (Ref:Tauzeehul masail Ayatullah Sistani edition, 41 maslah #2442). [Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia men apni khala ko baghair bataey 'sehm e sadaat' day sakti hun, un ki madad karnay ki khatir
Answer: sehm e sadaat jis syed ko dena chahain tu agar us syed mai ye sharaait hon to usko sehm e sadaat diya jae. 1-ye yaqeen ya itminaan ho k wo shia isna asheri yani 12 imamo ki imamat ko maanne wala shia ho 2-zarori hai k wo syed faqeer ho.or Faqeer wo shakhs hai jis ke paas apne or apne ghar walo ke liay saal bhar k Akrajaat nah hoon or na hi koe esa hunar ya sarmaaya ho jis ke zarye ye in k or apne akhrajaat chala sakta ho.laikin jis shaks ke paas koi hunar ya jaaidaad ya sarmaaya ho jis se wo apne saal bhar ke akhrajaat pure karsakta ho wo faqeer nahe hai 3-wo khums ko gunah mai istemal nahin karay ga aur ehtiyaat ki bina par us syed ko bhi nahin day saktay jis ko khums dainay ki wajah say gunnah kernay mai madad milay 4-wo sharabi nah ho(ehtiyate wajib ki bina par) 5-Benamazi na ho(ehtiyate wajib ki bina par) 6-Khullam khulla gunnah na karta ho(ehtiyate wajib ki bina par) Syed ko uskay hissay ka khums daitay waqt batna zarori nahin hai k ye khums hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1804,1805,1807,1808,1809,1889. and Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #1, sawaal #126, pg #57). [Updated on 29-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya sehm e imam hospital ki tameer ya yateem khanay main dai saktay hain?
Answer: Is ke liye mujtahid e alam ki ijazat zaroori hai warna aisi cheezon me sehm e imam kharch nahin kar sakte. (Re: https://www.sistani.org/persian/qa/01084/ ). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]