Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4209
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aik syed kisi aur mujtahid ki taqleed krta hai kia osi khums dena jaiz hai?

Answer: Khums sai shm e sadaat ka hissa faqeer syed ko dia jae ga. Chahae wo kisi aisay mujtahid ki taqleed krta ho jis ki aap taqleed nhi krtay. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 102, pg # 51)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4671
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam! Kya Ap Ayatullah Sistani k vakil hain? agar haan to please ap ka ijazat nama send kijiye jo mujtahid ki taraf say hota hai.

Answer: Quran o Itrat Academy k principal Hujatul Islam Maulana Ali Raza Mehdavi Ayatullah Sistani k wakeel hain, agar aap ijazat nama daikhna chahtay hain tu aap Quran o Itrat Academy Gurumandir main tashreef laker daikh saktay hain.( http://www.qoitrat.org/about/Default.asp )

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5425
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I need ijazat on behalf of allama sistani for giving sehme sadaat to my needy sadaat relatives.please do the needful or guide me.thankyou

Answer: zaruri hia k khums do hisson men taqseem kiya jaye, uska ek hissa sadaat ka haq hai zaruri hai k kisi faqeer syed ya yateem syed ya ayse syed ko diya jaye jo safar men nachhar hogaya ho, or dusra hissa Imam as ka hai jo zaruri hai k mojuda zamane men jama sharait mujtahid ko diya jaye ya ya ayse kamon pr kharch kiya jaye jis ki wo mujtahid ijazat de, or ehtiyat lazim ki bina per wo mujtahid Aalam(superlative digree of aalim) ho or umumi maslihaton se agah ho, jis yateem syed ko khums diya jaye zaruri hai k wo faqeer bhi ho lekin jo syed safar men nachar hojaye wo chahe apne watan men faqeer na bhi ho use khums diya ja sakta hai, jo syed aadil na ho use khums diya ja sakta hai lekin jo syed asna ashri na ho zaruri hai k use khums na diya jaye, jo shakhs khums ko gunah k kam men istamal kre use khums nahi diya ja sakta balke agr use khums dene se gunah karne men uski madad hoti hai to ehtiyat wajib ye hai k use khums na diya jaye chahe wo use gunah men istamal na bhi kre, isi tarah ehtiyat e wajib ye hai k us syed ko bhi khums na diya jaye jo sharab peeta ho ya namaz na parhta ho ya alaniya gunah krta hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 1804,1805,1807,1808)

Id: 6206
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam alekum.meravsawal hai hamare yaha panjetani imambargah ban raha h.jo ki chande se ban raha hai.kya mai us mai haqqe imam de sakti hu.plz jaldi jawab de.

Answer: Sahm e imam ko mujtahid ki ijazat sai masjid o imam bargah ki tamer par kharch kia ja sakta hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 131,pg # 59) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6474
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam o alaikum mera sawal ye hai k syed ko zakat q nahi ji jasakti or agar kisi syed k ghar khane ko na ho to wo kiya kare zakat lele ya na le tafseel se bataiye ga ...

Answer: Syed kisi doseray syed se mastahaq hone ki bina per zakaat le sakta hai.laikin ghair syed se halat majbori k alawa zakat nahi le sakta aur ehtiyaat wajib ki bina per zarori hay k aisi majbori ho k khums aur doseray zaraye aamdani is k akrajaat k liay kaafi nah ho . Isi terah ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hai k agar mumkin ho to rozana sirif isi din k zarori akhrajaat ki miqdaaar me zakaat lenay per iktifa karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1918 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7072
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alikum....mera ye question ye hai k jahn tk mein smjhti hn syeds cast janab e syeda s.a sy nasal chali hai Hazrt Ali a.s sy nae.... kya ye bt theak hai???? plz thori detail mein bta diye ga ...waiting for ur reply

Answer: Syed se murad wo shakhs hai k jis ka silsila nasab bap k zariye se hazrat hashim (a.s) (Rasool khuda k walid k dada) tak poochta ho, is bina per alawi, aqeeli, abbasi, fatimi ye sab syed hen. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 1261, Eidition 1430 hij). Jo shakhs sirf apne maa ki taraf se syed ho wo sadat k khas ahteram ka mustahiq hai laikin khums ka mustahiq nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Pg # 44, Eidition# 5) Update on dated 05-02-2016 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7474
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam, haq-e-imam jo hai kisi mareez ki jan bahcnay kay liye istamal kia jasakta hai wo bhi cancer ka mareez

Answer: wssalam o alykum, ager ap apne haath se is ko mareez ko dena chahte hai to is main tasarruf se pehle mujtahid (ya is ka wakeel)se ijazat lena zarori hai, or ijazat ke bageer haq e Imaam main tasarruf jaiz nahi hai.(Ref : mujtahid se poche gaae sawalaat , hissa # 1 , question # 110,111.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7827
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, ghair syed ko khums dia ja sakta hai for example khoja shia

Answer: Zarori hay k khums 2 hisso main taqseem kia jay. Oska aik hissa sadaat ka haq hay or zarori hay k kisi faqeer syed ya yateem syed ya aise syed ko diya jay jo safar main nachar hogaya ho or dosra hissa Imam a.s ka hay jo zarori hay k maujoda zamane main jaamiosh sharait mujtahid ko diya jay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1804) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8636
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia alvi sadat(ghair fatimi owlad eali a.s) khumas kay haqdar han? or kia alvi sadat per sadqa haram ha? plz jawabat ayatullah ali sistani sahib k fatwa k mutabiq hona chye?

Answer: Wo afraad jin ka silsila e nasab walid ki taraf se faqat hazrat Ali (a.s)se milta ho aur in me khums k mustahiqeen ki baqi sharait moujood hoon to aise syed ko khums main se sadaat ka hissa diya ja sakta hai . Ghair syed ki wajib zakaat aur fitra syed per haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 1260,1261 , Eidition 1430 hij). Update on dated –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8670
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA, regarding Q.no. 65646, ab jo me khums (Sahme Imam A.S) me dy chuka hon (shaheed pash imam ki bewa aur bacho ko), ab uski toseeq kaisy ho gi, ager toseeq nahi hoti to phr mujy dobara dyna paray ga. Ainda k liye mujy ijazat kaisy milay gi?

Answer: Aap ko khums main se sehm e imam (a.s) dobara mujtahid ya os k wakeel ko ada kerna hoga, or wakeel k zerye mujtahid se ijazat hasil ker lain or agar ijazat nah mile tu har saal shem e imam a.s aap khud kharch nah karain balkeh mujtahid ya os k wakeel ko dia karain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1804). Update on dated 23-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!