Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 143
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: why is there no zakat on rupees notes

Answer: Kionkay Zakat mundarja zail cheezoon kay ilawa kisi aur cheez par zakat wajib nahi hoti.1:Gandum.2:Jao.3:Khajoor.4:Kishmish.5:Sonay kay sikkay.6:Chandi kay sikkay.7:Oont.8:Gaey.9:Bhair bakri.10:Maal-e-Tijarat par Aihtiyat ki bina par..Rupees in cheezoon main say nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-29.

Id: 255
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.o.a molana kia gold jo zewer hotha hai women k pass aus per be zakat hothi hai? ager hai tho kitnay grams per kitni zakat wajib hai .may nay ak book may read kia hai k zewar per zakat nahi hothi.plz reply me soon thx Allah hafiz

Answer: Wo Sikkay Daar Sona aur Chaandi jo aurtain batoor e zaiwer pehenti hain jab tak wo raaij hoon yani sonay aur chaandi kay sikkon kay taur par un kay zariye lain dain hota ho to aihtiyat ki bina par Zakat dena wajib hay.Agar un kay zariye lain dain ka riwaaj baqi na ho to Zakat wajib nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1865

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 256
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.o.a molana shahib kia gold jo zewer ke shap may ho aus per zakat hoti hai? plz reply me allah hafiz

Answer: Wo Sikkay Daar Sona aur Chaandi jo aurtain batoor e zaiwer pehenti hain jab tak wo raaij hoon yani sonay aur chaandi kay sikkon kay taur par un kay zariye lain dain hota ho to aihtiyat ki bina par Zakat dena wajib hay.Agar un kay zariye lain dain ka riwaaj baqi na ho to Zakat wajib nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1865

Id: 451
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamalaikum.mujhe gold par jakat ke bare me malum karna hai.kya sone par jakat ramjan ke mahine se phle ada kar sakte hai.

Answer: w.s. agr insan bara mahine gaye, bhed, bakari, unt, sone or chandi ka malik rahe to un ki zakat ada kare, albatta barhwe mahine ki ibteda me koi aysa tasarruf mal me nahin kar sakta k jis ki wajh se mal khatam ho jaye. sone ke do nisab he (1) bis miskale sharee (2) char miskale sharee (ref: tawzihul masail Imam Khumeni (r.a.) masaala no.1853 & 1893)

Id: 628
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mulana sahab zakat kaisay wajib hoti ha kahtay ha k 7:30 tolay say zayada sonay p zakat wajib hoti ha or agar 8:30 tolay gold ho to 1 tolay p kitni zakat wajib ho gi plz bataa dain.

Answer: bismehi taala, Zakat mundarja zail cheezoon kay ilawa kisi aur cheez par zakat wajib nahi hoti. 1:Gandum. 2:Jao. 3:Khajoor. 4:Kishmish. 5:Sonay kay sikkay. 6:Chandi kay sikkay. 7:Oont. 8:Gaey. 9:Bhair bakri. 10:Maal-e-Tijarat par Aihtiyat ki bina par. Ref:Istiftaat A.Sistani I-29

Id: 1179
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: zakat kin chizo par deni hogi tafsil se bataain

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum.2:Jao.3:Khajoor.4:Kishmish.5:Sonay kay sikkay.6:Chandi kay sikkay. 7:Oont.8:Gaey.9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay. Gandum, Jao, Khajoor or Kishmish per zakaat os waqt wajib hoti hay jab wo apnay nisaab ki had tak pohanch jain or in ka nisaab taqreeban 847 kilogram hay. Sonay or Chandi per zakat os sorat main wajib hoti hay jab wo sikko ki sorat main hoon or on k zarye lain dain ka rawaj ho(yani raa’ijul waqt hoon). Oont k 12 nisaab ahin jin pehla nisaab 5 oont hain.(yani agar 5 say kam oont hoon tu zakat wajib nahi). Gaey k 2 nisaab hain jin main pehla nisaab 30 gaey hain. .(yani agar 30 say kam gaey hoon tu zakat wajib nahi).in per zakat wajib honay ki aik shart ye bhi hay or wo ye keh ye jaanwar sara saal sirif jangli gaas khaatay rahay hoon.layhaza ager sara saal ya is ka khuch hissa maalik ki gaas khaay tu is jaanwar per zakaat daini wajib nahi hogi. Bhairh Bakri k 5 nisaab hain jin main pehla nisaab 40 Bhairh bakri hain. .(yani agar 40 Bhairh bakri say kam hoon tu zakat wajib nahi). (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1820,1829,1864,1872,1874,1876,1877).

Id: 1297
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: as salaam alaikum agar koi sahibe nisab ho zakat nikal ne ke baad us ke pass kuch bhi maal baqee naho to kya use zakat desakte

Answer: 1)Jis hunar mand ya sahib e jaidad ya tajir ki amdani is k saal bar k akhrajat say kam ho wo apnay Akhrajat ki kami puri karnay k liay zakat lay sakta hay aur lazim nahi hay k wo apnay kam k auzaar ya jaidad ya sarmaya apnay akhrajat k masraf may lay aye. 2)Malik jis shakhs ko zakat day zaroori hay k wo shia isna ashri ho. 3)jis shakhs ka faqeer hona sabit ho os ko zakat di ja sakti hay. 4)jo shakhs sharab pita ho ya namaz na parhta ho isi terha jo shakhs khulam khulla ghunah karta ho to ethiat e wajib ye hay k os ko zakat na di jay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1892-1909 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1306
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Mufti Sahib, Zakat kin kin chizo per wajib hain our unka miqdar kia hain?

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raaijul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay Laihaza aap k gold per zakaat wajib nahi hogi. Albattah agar sonay ko khareednay k baad pehlay saal istemaal nah kia gaya ho tu khums wajib hoga.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1310
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ek syed zaada ya syed zaadi jo AALE RASOOL S.A.W. hain woh zakaat dena chahiye ki nahin?

Answer: Zakat apni tamaam sharait k saath wajib hay chahae syed ho ya ghair syed laikin syed , ghair syed se halat e majboor k alawa zakat e wajib(zakaat ya fitra) nahi le sakhta aur ethiat e wajib ki bina per zarori he k aisi majboori ho k khums aur dosray zariay se aamdani k akhrajaat k lie kafi na hoon. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1918) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1375
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya zakat dena farz hy.ager apki incam achi nahi tu,humke pas shadi ka gold hy,mager ab itni achi incam nahi,tu pir bhi hum ko zakat lage ghi.hum ki shadi ko 3 saal ho gaye hain,

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raaijul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay Laihaza aap k gold per zakaat wajib nahi hogi. Albattah agar sonay ko khareednay k baad pehlay saal istemaal nah kia gaya ho tu khums wajib hoga.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820,1865,1735).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!