Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6633
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: zakat kin kin cheezo per adda krni lazim hai? Aur ager wo proper jo istemal mei naa ho un per zakat adda kerna lazmi hai ya nahi ager hai to kitni adda krni ho gi? Shukriya

Answer: Zakat 10 cheezon per wajib hai. 1) Gehoon 2) Jao 3) Khajoor 4) Kishmish 5) sona 6) Chandi 7) Onth 8) Gaaye 9) Bherr or Bakri 10) Ehtiayat-e-lazim ki bina per Maal-e-Tijarat. Zakat in 10 chizon per us waqt wajib hoti hai jab ye cheezon kisi khas miqdaar tak puhnch jaen (us khas miqdaar ko nisaab kehte hen) or in 10 hi cheezon k nisaab mukhtalif hen. Or us waqt wajib hoti hai jab wo maal insaan ki apni mikiyat ho or wo insan khud kisi ka ghulam na ho blke azad ho or wo cheezen 11 month tak us k paas parhi hui hon bagher istamal k. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33st edition, maslah #1820-1821)

Id: 6827
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalmao alaikum Please mujhe bataye ki one Lac me Zakat dena Wajib h Agar Wajib h to Zakat ka paisa kise de Jarurat mandon ko ya masjid wagerah me

Answer: 10 cheezo par zakat wajib hai(jb wo apnay nisaab ya muqara quantity tak pohansh jaein) 1-wheat 2-jow 3-kishmish 4-khajoor 5-gold 6-silver 7-camel 8-cow 9-sheep\goat 10-ehtiyate wajib ki bina par maal-e-tijarat. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1820) Note: fiqhe jafferiyah(shia mazhab) main raqam(Currency) per zakat wajib nahi hoti.

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6964
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal hy k zakaat kin cheezoo per wajib hy

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay ke mojoda raij sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820,1865 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7645
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar hum apni family me kisi ko zakat de dein,tou ussay batana zaroori hai k this is zakat....coz agar ussay bura lagay tou aisay acha nahi lagta.aur wo needy b hai,orphan hai wo n no source of income she has.she is unmarried living wd her mother?

Answer: Wo Shaks jis k paas apnay aur apnay ehl-o-ayaal k liay saal bhar k akhrajaat nah hoon wo faqeer hai aur faqeer ko zakaat di ja sakti hai aur Agar faqeer zakaat lenay me khiffat(Sharam) mehsoos karta ho to mustahab hai kay isay maal to zakaat ki niyyat say diya jaye magar uska zakaat hona is par zahir na kiya jaye. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla #1889,1899)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7736
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KIA ZAKAT KA PAISA JO EK SARKARI MULAZIM KO 60 SALL K BAD MILTA HA USPE ZAKAT BANTI HA?

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raaIejul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay Wo sikke daar sona aur chaandi jinhe aurate batur zewar pehenti ho jab tak wo raij hoon yani sone aur chandi k sikko k tour per in k zariye lain dain hota ho ehteyaat e lazim ki bina per in per zakaat wajib hai laikin agar in k zariye lain dain ka rewaj baqi na ho to in per zakat wajib nahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1820,1865 ,1865 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7896
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA.....mera sawal ye hai k larki ko jo zevar shadi pe milta hai us ki zakat larki pe farz hai ya husband pe larki k ps agr itne paise na ho tu husband zakat den skty hain ya biwi pe hi farz hai ?? Plzzz rpl me fast thank u

Answer: Zewer par zakaat nahi hoti zakaat kuch cheezo par wajib hai 1) Sona(gold) 2) chandi 3) khajoor 4) Ont(camel) 5) kishmish 6) Gaye(cow) 7) Bhair bakri 8) Jou 9) Ehtiat-e-Lazim ki bina par Maal-e-Tijarat. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masail#1820)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8663
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: gaari par zakar hoti hai kya ?

Answer: Nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1820). Update on dated 17-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8983
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam sir mera suwal ye hy k kitne tole sikedar sona ho to zakat wajib hy? or kia hm sone k badle uski price de sakte hai?

Answer: Sone or chandi per zakaat os waqt wajib hoti hay jab wo dhalay hoay sikko ki sorat main hoon or on k zerye lain dain ka riwaaj ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #1864). Update on dated 22-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9303
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is there any zakat on plot

Answer: No. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1820). Update on dated 30-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9850
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya hm zakat kisi madarsa bnany k lye dyskty h

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bin ape aisa kerna jaiz nahi hay. Ref: (Ahkam e khums o fitra, pg#184, ayatollah sistani d.b). Update on dated 04-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!