Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1938
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If we have 30 gms of gold and 40gms of silver .....how we will pay zakat.khuda hafiz

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Sonay aur chandi per zakaat os surat me wajib hoti he jab wo dhalay huay sakoon ki surat me hoon aur in k zariay lain dain ka rivaj ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1864) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2263
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Paper money is against gold reseves of the country.Then why not Zakat on it.

Answer: Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raa’Ie’jul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay Laihaza aap k gold per zakaat wajib nahi hogi. Albattah agar sonay ko khareednay k baad pehlay saal istemaal nah kia gaya ho tu khums wajib hoga.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820,1865,1735). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3907
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar humare pas 15 tole sona hai toh uspe kitni zakat nikalti hai.

Answer: Sonay aur chandi per zakaat os surat me wajib hoti he jab wo dhalay huay sakoon ki surat me hoon aur in k zariay lain dain ka rivaj ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1864) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4090
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SALAAM WO LOG JIN K APNAY JEWELLERS HAIN AUR BANAY HUAY ZAIWRAAT KI KHAREED-O-FIROKHT KERTAY HAIN....UN K LIAY ZAKAAT KA KIA HUKAM HAY????????

Answer: Sonay par zakaat os surat mai wajib ho gi jab sona moamlay k lie raij sikka hona jo badshah ya is ki terh kisi markaz ki taraf sai mohar shuda ho agar chah wo kisi khas zamanay ya jigah si hi taluq q na rakhta ho. Islam ka sikka ho ya kufr ka, is par kuch likha hua ho ya na ho agar chah baad mai os ki likhai kisi wajha sai mit jae to bhi koi faraq nhi parta hai. Lakin agar pehlay sai mohar shuda aur likha hua na ho to os par zakaat wajib nhi ho gi magar ye k wo raij ho to ehtiyat ye hai k is par zakat wajib ho gi aur agar mohar shuda sonay ko zinat k lie zewar k tour par istemal kia jae to phir is par zakat wajib nhi ho gi. chahae is tareeqay sai is ki qimat ziada ho jae ya kam ho jae chahae is surat mai is ka lain dain mumkin ho ya na ho. (Ref : Ayat Ullah Imam Khomeni(r.h), Tehreer ul Waseela Part # 2, Maslah # sonay ki zakat ki shrt, Chapter : Zakat). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4786
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA...kia zakat k paise kisi imam bargha ki tameer k liye diye ja sakte hen??

Answer: Zakat ka malik Zakat ko ehtiyat e lazim ki bina par imam ya naib e imam(mujtahid) ki ijazat k bagair fi sabil allah yani wo kaam jin ka faida tamam muslmano ko hota ho maslan masjid ya imam bargah tamer karana wagira mai istemal nahi kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1889)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6249
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mry friend k pas 70 toly sona h, us pe kitny zakat wajib hai

Answer: Sonay aur chandi per zakaat os surat me wajib hoti he jab wo dhalay huay sakoon ki surat me hoon aur in k zariay lain dain ka riwaj ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1864) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6379
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1lakh rs. Pe zakat ho gi ya nhi plz reply

Answer: Paiso par zakat wajib nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1820)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6380
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye hai k zakat ki kya ahmiyat hai ?

Answer: Zakat deen e islam ka aik ahm rukn hai aur namaz aur rozay ki terah musalmanoo par farz hai. Farq sirf itna hai k namaz aur roza jismani ibadat hai aur zakat mali ibadat hai. Is ki ahmiat ka andaza is baat sai lagaya ja sakta hai k quran majeed mai is ki adaigi ki takeed taqreeban 82 maqamat par ki hai aur 32 jigha to is ka zikr namaz jaisi afzal tareen ibadat k sath kia hai. (Ref: Ayatullah Khoi(r.h),Tauzeehul masail, pg # 279) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6527
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA.SIR ager banday per 12/13 lack qarz ho.aur us k pass 12/13 tolay gold be ho.to aya us per zakat farz hai ya nahi.

Answer: Sonay aur chandi per zakaat os surat me wajib hoti he jab wo dhalay huay sikkoon ki surat me hoon aur in k zariay lain dain ka rivaj ho. Laikin agar lain dain ka rewaaj khatam ho chukka ho to zakaat ada karna wajib nahe hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1864) Agar khums aur zakaat kise k zime wajib ho aur wo maqrooz bhi ho aur in sab ki adaigi nah kar sakta ho to agar wo maal jis per khums ya zakaat wajib ho chuki ho khatam naho ghaya ho to zarori hai k khums aur zakaat de aur agar wo maal khatam hogaya ho to zakaat , khums aur qarza ada kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1949 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6621
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kishmish ki zakaat hoti hay ? ya kishmish ka fittra nikala jata hay ?

Answer: Kishmish par zakat wajib hai laikin os waqt wajib hoti hai jab wo takreeban 847 kilo ho. Albetta is k mazeed ahkam hain. Is k alawa fitra bhi zakat ki aik qism hai jo eid ul fitr ki rat ko niklta hai jis mai 3 kilo un ghiza mai sai jo alaqay mai istemal hoti hon maslan ghundum, kishmish , chawal wagira mustahiq shakhs ko dia jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1829, 1952)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!