Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2632
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam o alikum kia koi aurat apny husband ko btaey bgyr khyrat kr skti ha ya kisi ko umrah krwa skti ha(apni job k pysun sy)jb k iss baat ka andysha ho k oss ka husband osy iss ki ijazt nai dy ga plz reply JAZAK ALLAH

Answer: agr wo pese orat ki milkiyat hen to wo us ko istamaal kar sakti hai, han agr uske shohar ki milkiyat hen to us ki ijazat ke bager istamal nahi kar sakti. (Ref: syed sistani, mujtahid se poche gae sawalaat, jild # 4, masala # 147, ALLAH ap ki toofeeq main izafa farmaae)

Id: 3243
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya bada bhai apne behan ki shaadi na kare aur apne biwi ke saath ummrah krne jaye toh kya ummrah hoega.

Answer: Jee haan . ye umrah durust shumaar hoga agar umray ki dosri shara,it ka bhi khiyaal rakha gaya ho.( Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=846466&id=55&pid=2945 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3253
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: umra kitna din bad kia ja sakta hai. aur har bar baal katnay zarury hain

Answer: Saal k her mahinay main umra e mufrada kerna mustahab hay.or 2 umro k dermiyaan 30 din ka waqfa zarori nahi hay.Laihaza aik umra mahinay k akhir main or dosra mahinay k awwal main kerna jaiz hay. Aik mahinay main 2 umray kerna chahay apni taraf se ya kisi or ki taraf se jaiz nahi hay.taa,hum dosra umra rija(hope) ki niyat se anjam dainay main koe haraj nahi hay.isi terah agar aik umra apnay liay or dosra umra kisi or ki taraf se ya dono umray 2 mukhtalif afraad ki taraf se hoon tu phir aik mahinay main 2 umray kerne main koe haraj nahi hay.umra e mufrada or umra e tamat,tu k dermiyaan 30 din faasla hone ki shert main ishkaal hay.(Ref:A.Sistani(d.b),manasik e haj, maslah# 137, +http://www.sistani.org/index.php?p=846466&id=55&pid=2949 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4023
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam o alaikom..mera sawal hai k kia main apni aunty jo k recently Allah ko pyari ho gai hai unn k ley umrah kr sakta hu???

Answer: Gee haan, ker sakty hain. (Ref : Manasik e hajj , Ayatullah Sistani d.b. masla #137 )

Id: 4302
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam meraQ ya k nhi mera abhi delivery howA ha tu ab mera Sava mnth start howA.ha kya ma is halat ma umer kar sakti ho plsz jaldi jawab do

Answer: Umra mufrada ka saal k har mahine me karna mustahab hai.(lehaza app ummra karsakte hai).(Ref : Aqai Sistani, Manasik_e_Hajj, Pg : 46, Masla : 137, Edition#1996).(Khuda apki tofeeqat men izafa farmaye)

Id: 5021
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia agar aurat ki umer 40 saal se ziada ho to kia wo bagair muhram ki umera pa ja sakti ha? plz muje jawab jaldi de meherbani ho gi

Answer: 1)Mustahab hajj mia aurat k lie sohar ki ijazat shrt hai.(Ref : Manasik e hajj masla # 134) 2)Wajibat ka khayl rakhtay huay aurat na mehram k sath hajj par ja sakti hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal #119 ,pg # 63)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5699
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager ap makah men hain to aik umrah k bad dosry umrah men kitny din ka waqfa hona chahiye

Answer: Umrah mufradah ka saal k har mahinay mai baja lana mustahab hai 2 umrah k darmian 30 din ka fasla hona motebar nahi hai pas jaiz hai k aik umrah mahinay k aakhir mai baja laye aur doosray ko doosray mahinay ,ai . 2 umrah ko aik mahinay mai baja lana jaiz nahi hai. (Ref : Manasik e hajj Ayatullah Sistani masla # 137)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8630
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar umrah krty waqat or ihraam ma naak se blood nikalna shoro hojaye tho kia dum wajib hoga, agar han tho kia dum hoga

Answer: Agar jaan bojh kar nahi nikala to koi kaffara nahi hai, warna ager Umra e Mufrada hai to 1 bakri Makkah Mukarrama main zibah karain or ager Umra e Tamattu ya Hajj hai to is ko Mina main zibha karain. (Ref : manasik e hajj , topic # Mina main Qurbani , pg # 99 ,Mafhoom e maslah# 103). Update on dated 01-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8669
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: umrah k liye jaty waqat nail katne chahiye k nahi

Answer: Umre ka ehram pehenne se pehle mustahab hay k nakun bhi katay jain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Mafhoom e Maslah #454 k baad). Update on dated 23-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8738
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia hum zinda banday ka umrah kar saktay ha plz mujhay apni wife ki dadi ka ur apnay father in law ka umrah karna ha

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e haj, Mafhoom e Maslah #129). Update on dated 24-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!