Question: maine kaafi log dekhe hain agar unhe kahen ke namaz parho toh wo kaehte ke ye hamara amal hai aur akeli namaz parhne se insaan musalman nahin hota us ke dusre amal bhi ache hone chahiye ..namaz ki ehmayat kya hai dusre gunahon par parda daale??
Answer: 1- Agar koe shaks islaam k sahi aqaid per yaqeen rakhta ho or oska izhaar kerta ho agarchah ye izhaar marifat o basirat k saath nah bhi ho tab bhi wo musalmaan or momin hay or os par emaan or islam k tamaam ehkaam jari hoongay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah#1) 2- Amar bil maroof(naikiyo ka hokum daina) or nahi anil munkar(bura,eyo se rookna) 5 sharait k saath wajib hay.or ye aik aisa azeem deeni fariza hay k quran e kareem main Allah ne irshad ferya hay k “ tum main se aik garouh(group) aisa ho jo khair ki taraf daawat day or buraa,eyo se mana karay or yehi loog falah pane walay hain.” Or amar bil maroof or nahi anil munkar ki 5 sharait main se aik ye bhi he k khata kaar par amar bil maroof or nahi anil munkar k asar ka ehtemaal ho, is bunyaad par k koe shaks jaanta ho k oska kehna asar nahi karay ga tu fuqaha main mash,hoor he k is sorat main oska koe fariza nahi he, or amar bil maroof or nahi anil munkar os par wajib nahi he laikin ehtiyaat e wajib ye he k karahat or naraazgi ka izhaar khata kaar k is kaam par karay chahay jaanta ho k wo asar nahi lay ga.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2009) 3- Namaz deeni aamal main se behtareen amal he.Agar ye baargah e ilaahi main qabool ho gae tu doosri ibadaat bhi qabool hojain gi or agar ye qabool nah hoe tu doosray aamal bhi qabool nahi hoongay. Huzoor nabi e kareem (s.a.w.w) ka irshad hay k “ jo shaks namaz ko ehmiyat nah day or osay mamooli cheez samjhay wo aakhirat main azaab ka mustahiq hay.( Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, pg# 121 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kesse be namaze ko namaz parhane ki leye kya karna chahiye plllsssss answer
Answer: 1)Amar bil maroof aur nahi anil munkar ka wojoob mukallaf(yani Baligh merd or aurat) per apnay ghar walooo aur rishtay daroon ki nisbat shaded tar he. Is buniyaad per agar koe apnay ghar waloon , rishtay daroon aur deeni ehbaab se namaz aur roza aur khums k silsilay me be’tawajahi daikhay aur wo muharamaat k murtakib hotay hoon maslan gheebat aur jhoot wagirah. Be-ehtiyaati aur be-baaqi ko daikhay to amar bil maroof aur nahi anil munkar k tinoo darjoo ki ria’yat kartay huay agay barhay aur in ko bura’i se rokay aur inko achay kamoo ki daa’wat de. Lakin baap aur maa ki nisbat ehtiyaat e wajib he k narmi se un ki rahnuma’e karay aur kisi bhi waqt un k saamnay sakhti se pesh nah aay. 2)Amar bil maroof wa nahi anil munkar k chand darjay(steps) hain: 1)gunahgaar say dili azhaar e bayzari maslan rukh morh laina or baat nah kerna. 2)Zabaan say waaz o nasihat kerna 3)Amali iqdaam maslan maarna or qaid kerna Or laazim hay keh ibtida pehlay ya dosray darjay say ki jay or pehlay oska intekhab karain jis main aziyat kam or asar ziyada ho.or agar natija hasil nah ho tu bil tadreej sakhti or dushwari ikhtiyaar karain or agar dili or zabani azhaar e nafrat asar andaaz nah ho tu naubat amali darjay tak pohanch jati hay or ehtiyaat e wajib hay k teesray darjay k intekhaab k liay hakim e shara say ijazat lain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2011)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mei ne ek dost ko gunah se bachane k liye us se baat karna choor diya. Kiya ye sahi hai.
Answer: Jee han Amr bil maroof aur nahi anil munkar krna wajib hai aur is k darjay hain jis mai sai pehla derja gunahgar sai qalbi izhar e bezari hai maslan bat na krna, doosray darjay mai zaban sai nasihat krna, aur teesray drjay mai amli aqdam maslan marna aur qaid krna hai. Lazim hai k amr bil maroof aur nahi anil munkar pehlay ya doosray drjay sai kia jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2010)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: plz answer me kia beta apni ma ko namaz parhna ka kah sakta he ya nai plz answer me plzzzzzzzzzzzzzzzzz
Answer: Amr bil maroof aur nahi anil munkar ka karna apnay ghar walo par doosron ki nisbat ziada shadeed hai laikin maa aur baap ki nisbat ehtiyat e wajib hai k narmi sai in ki rehnumai karay aur kisi bhi waqt in k samnay sakhti sai pesh na aye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2011)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar behen kisi ghair mard k sath mobile pe chat karte waqt pakri jaye . tu uske sath kaisa salook kiya jaye.. islam k mutabiq.. Agar uski ghalti hu... aj kal yeh common issue hai.. plz jald sa jald jawab dejiye.. m waiting
Answer: Amar bil maroof aur nahi anil munkar ka wojoob mukallaf(yani Baligh merd or aurat) per apnay ghar walooo aur rishtay daroon ki nisbat shadeed tar hai. Is buniyaad per agar koi apnay ghar waloon , rishtay daroon aur deeni ehbaab se namaz aur roza aur khums k silsilay me be’tawajahi daikhay aur wo muharamaat k murtakib hotay hoon maslan gheebat aur jhoot wagirah. Be’ehtiyaati aur be’ baaqi ko daikhay to amar bil maroof aur nahi anil munkar k tinoo darjoo ki ria’yat kartay huay agay barhay aur in ko bura’i se rokay aur inko achay kamoo ki daa’wat dain. Aur Amar bil maroof wa nahi anil munkar k chand darjay(steps) hain: 1)Gunahgaar say dili azhaar e bayzari maslan rukh morh laina or baat nah kerna. 2)Zabaan say waaz o nasihat kerna 3)Amali iqdaam maslan maarna or qaid kerna Or laazim hay keh abtida pehlay ya dosray darjay say ki jay or pehlay oska intekhab karain jis main aziyat kam or asar ziyada ho.or agar natija hasil nah ho tu bil tadreej sakhti or dushwari ikhtiyaar karain or agar dili or zabani azhaar e nafrat asar andaaz nah ho tu naubat amali darjay tak pohanch jati hay or ehtiyaat e wajib hay k teesray darjay k intekhaab k liay hakim e shara say ijazat lain. (ref: Ayatullah Sistani (d.b.), Tauzee hul masail, maslah # 2008-11). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam Agha, I want to know what is the ruling in Islam for scolding Parents for not doing such things which may lead to thier health problem.
Answer: Baap aur maa ki nisbat ehtiyate wajib hai k mulaimat aur narmi say unki rehnumai ki jaey aur kis bhi waqt un k samnay sakhti sy pesh na aein.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33th edition,maslah #2011). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)
Question: how do i prevent my Girl friend from other false peoples??? they want to do something wrong with her
Answer: Aap ko un ko nahi anil munkar karna (buraaiyoon se rokna chahiye) chahiye ager nahi anil munkar ki sharaait puri hon to, (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2008 to 2011). aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak phounch jay, ye jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: AOA mera eik sawal hain eik madarasa k peshe imam k zimadari kia hain kia wo polatation k faisle bhi kar sakty hain ya nahe? zara detail samjaye shukriya
Answer: Peshe imam ki zimedaariyoon main se ik amar bi al maroof o nahi an al mukar hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2008 to 2011 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: SALAM MERA SAWAL YE HAI K MARI WIFE NAMAZ NH PARTI HAI TO KIYA US K SAT RAHNA THEEK HAI ISLAM MAI BAI NAMAZI K LIYE KIYA HUKUM HAI ? MAIE TAQLEED AAYT-UL-ALLAH SEESTANI KI KARTA HO PLZ MARI YE MUSHKIL KO HALL KARE. MUHTAJ E DUA MOHAMMAD RAZA
Answer: Amar bil maroof k silsile me kise aurat per zabarsaste nahe karsakte.(sistani.org, urdu ,amal bil maroof , sawal 2) albatta Agar kise k naike baat ( maslan namaz , roza wagaira ) qabool karne ka ahtemal ( chance ) ho to amar bil maroof karna wajib hai.aur agar baat qabool karne ka ahtemal no ho to ehteyat wajib ye hai k karahat aur naraazghi k izhar ghunaghaar k is fail nashaista per kare chai janta ho k wo is ka asar nahe le gha. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2009 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Nikah ke saat aath saal baad gharwaloo se alag rehna jaiz hai jab sirf jagdeh ho jawab ki talab zarori hai
Answer: jab bhi waaldain ki taraf sai koi hokum ya rooktook mohabbat ki wajah sai ho aur is ki mukhaalifat sai inhain aziyat hoti ho to aulad k lie un ki mukhaalifat karna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1387 eidition 31) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)