Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17094
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran kin oukat me nahi parhdna chahey

Answer: Quran ki tilawat karna mustahab hai. lekin jis waqt insan janabat ki haalat main ho to us ke liye quran ki 7 se ziyada aisi aayaat ki tilawat karna jis me sajda wajib na ho makrooh hai aur jin aayat me wajib sajda ho to un ki tilaawat karna haraam hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355). [Updated on 14-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17121
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya hum Quran Pak baghair kesi ko sunain khatam kar sakhty Hain???

Answer: Jee han, baghair kesi ko sunain khatam kar sakti hain. (Ref: http://quran.al-shia.org/urd/maqalat/06.htm ). [Updated on 27-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17125
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran ma namaz nu zikra ketli vaar aavi che

Answer: Quran main lafz e As-salaah (namaz) ka zikr 67 baar aaya hai. (Ref: Qurani maloomaat per mushtamil 1540 sawalaat ke jawaab, pg #82). [Updated on 26-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17132
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran majeed ki us sure ka naam bata dijiye jisme masayl meraas ka tafseel se zikr kiya gaya h

Answer: Surah Al-Nisa (surah #4). (Ref: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=4 ). [Updated on 27-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17137
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sab sa pahla quran ki tarjuma kis na ki or un ka zubana

Answer: Quran sab se pehla ka tarjuma salman farsi ne kiya. ye surah al-fatiha ka tarjuma farsi zaban main tha. (Ref: https://en.wikipedia.org/wiki/Quran_translations). [Updated on 07-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17161
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wo koonsa surah hai jos ke nuzoolke baad rasoole Khuda me tabligh ka aghaz kia

Answer: 1: Surah alaq (iqra) ki shuru waali 5 aayaton ke naazil hone ke baad Rasool Akram(s.a.w.w) ne makhfi taur talbeegh ka aghaaz farmaya. 2: Surah shuara(شعراء) ki ayat #214 ke naazil hone ke baad Rasool Akram(s.a.w.w) ne apne azeez-o-aqaarib ko dawat-e-haq di. 3: Surah hajarat ki ayat #94 naazil hone ke baad Rasool Akram(s.a.w.w) ne ailaniya taur par tableegh ka aghaaz farmaya. (Ref: https://makarem.ir/compilation/Reader.aspx?pid=72675&lid=2&mid=70440&catid=0 ). [Updated on 30-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17171
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alykum ji main Quran Sharif ka hafiz dubara yaad karna chahta houn

Answer: 1: Agar aap ki is se muraad ye hai ke aap ne pehle hifz kiya tha aur ab bhool gaye hain to wapis hifz karna wajib nahin, Han agar hifz karna chahte hain (yani ke aap ka dil chaah raha hai hifz karen) to is aap kud mukhtaar hain chahen dobrar yaad karen ya nahin. 2: Mautabar riwayat ke mutabiq surah e taha ki ayat #25 se 28 tak ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qalaqama karti hai aur haafize ko qawi se qawi tar banati hai. (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat part #3, ques #197, pg #83. + Naway e Saliheen, pg #326. + link, https://hawzah.net/fa/Magazine/View/2689/6591/76865/%D8%A2%D8%AF%D8%A7%D8%A8-%D8%AA%D9%84%D8%A7%D9%88%D8%AA-%D9%82%D8%B1%D8%A2%D9%86 ). [Updated on 16-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17224
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A Mera sawal ye hai k Jo hum 27 ramzan ko quran Pak Pura parh k apny marny walon ko hadiya Yani sawab k tor py hadiya krty Hain agr wo adha parh k Pura bta DIA jae or bad mein bhe Parha na jae to uska kyà gunah shumar ho ga or kyà kafar ho ga,?;

Answer: Tilawat-e-Quran ka sawab to utna hi milay ga ya maslan marhomeen tak puhnche ga jitna quran parha hoga, lekin agar kisi shakhs ko aisa bataya hai ke aap quran mukammal parha jabke aap mukammal nahin parha to ye jhoot hoga aur jhoot bolna Haram aur ghunah e kabira hai, jis ki wajh se aap ghunahgar hon gay aur tauba karni hogi lekin kaffara nahin. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30. + Part #2, maslah #29,38). [Updated on 19-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17237
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya quran ko jaib mn rakh kr baitul khala jaa sakhte hn

Answer: Agar itemnaan ho wahan nahin gire ga to Quran ko jaib(pocket) me rakh kar baitul khala jaa sakhte hain. (Ref: Mafhoom e email rcvd from ayatollah sistani d.b, dated: 17-04-15). [Updated on 23-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17298
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran e masjid mein kis Surat ko wajiba kehte hain

Answer: Surah Fatiha (Al-hamd). (Ref: https://www.facebook.com/TVOnePK/posts/4213745618650703:0 ). [Updated on 03-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!