Question: kya ham aise ghar mein jahan ke bachcha delivery hua hai Quran sharif padh sakte hain.
Answer: There is no problem in that (translation:is kaam main ko maslah nahi,ye kaam bilkul sahi hay)(Ref:email rcvd from eanswrs@najaf.org on13.05.2010).
Question: Salaam, kia ham baghair wuzoo ke quraan pak ko choo ya parh saktay hain, or kia napaki ki halat main quran sun saktay hain?
Answer: W.Salam,jee haan baghair wuzu ke quran paak ki jild or haashiya(margin) ko choo or perh saktay hain, laikin baghair wuzu k quran paak ki tehreer (writing) ko choona haram hay or isi terah allah k naam or makhsoos sifaat(qulities) or ehtiyaat e wajib ki bina per ambiyaa(prophets) or imamo k namo ko baghair wuza k choona bhi haram hay.Mazeed ye k halat e janabat(napaki ki halat) main quran sun saktay hain.(Ayat Ullah Khamnaie(d.b),taleemul ehkaam,pg#58-61).
Question: which verse proves that the holy quran has neither been tampered nor changed unlike other revealed books
Answer: 1) Sorah#15 Al-hijr, ayat#9 main Khuda ka wada or dawa hay k “Hum ne hi is Quran ko nazil kia hay or hum hi is ki hifazat kernay walay hain.”(Ref:anwaarul Quran tarjuma or tafseer Allama zeshan haider jawwadi, pg#557). 2) Sorah#41 Fussilat, ayat#41-42 main Khuda ka wada or dawa hay k “Be shak jin logo ne Quran k aanay k baad is ka inkaar ker diya onka anjaam bura hay or ye aik aali mertaba kitaab hay.jis k qareeb saamnay ya peechay kisi taraf se batil aa bhi nahi sakta hay k ye khuda e hakeem o hameed ki nazil ki hoe kitaab hay.”(Ref:anwaarul Quran tarjuma or tafseer Allama zeshan haider jawwadi, pg#995). Result: in do ayaat k maujoodgi main tehreef ka aqida rakhna faqat gumrahi hay or khuch nahi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Nabi PAk Saww ko momin aurton se kin shariet per bait lanay k kaha gya tha ?
Answer: Khuda Quran paak main hamaray nabee (s.a.w.w) ko momin aurton se jin sharait k saath bai,at lainay ko kaha tha wo ye hain: “ paighamber agar emaan lanay wali aurtain aap(s.a.w.w) k paas is amar per bai,at kernay k liay aain k wo kisi kko khuda ka shareek nahi banain geen or chori nahi karain gi.aulaad ko qatal nahi karain gi or apnay haath paon k saamnay se koe bohtaan(lerka) lay ker nahi aaain gi or kisi naiki main aap ki mukhaalfat nahi karaian gi tu aap(s.a.w.w) on se bai,at ka maamla ker lain or on k haq main istighfaar karain k khuda berha bakshnay wala meherbaan hay.(Ref:para#28, sorha#60 Mumtahinah, ayat #12) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalm alikum Kya Quran sharif hindi mai padhna jayaz hai ya nehi? Inshallah muje ap jaldi se jawab bhej denge.Allah hafiz
Answer: The proper reward is for the Arabic recitation. (Ref: E-mail Rcvd from A.Sistani, dated:15-07-11). Translate: Munasib sawaab Abrabi tilawat k liay hi hay. Note:Aap ko quran ki tilawat arabi main hi kerni hogi.aap ko hindi main quran perh ker samjhnay ka sawaab milay ga.laikin quran ki tilawat ka jo azeem sawaab hay wo sirif arabi qirat ker k hi milay ga.agar aap quran e kareem ki tilawat ka sawaab hasil kerna chahti hain tu arabi qirat ko sikhain. Aap quran perhnay k liay qurani cds say bhi madad lay sakti hain or web sites say bhi seekh sakti hain. Hum aap ko khuch website addess day rahay hain in k zerye qirat e qurani ko sheikh lain. Please see these links and learn quran e kareem. Ref: http://quran.com/ http://www.quranexplorer.com/ http://www.quran.net/ (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aafaq aur aanfas me kiya farak hai
Answer: Afaaq, ufoq ki jama hay or ufoq ka matlab aasman ka kinara jo zameen se laga hoa dikhae daita hay(i.e. Horizons) or anfos, nafs ki jama hay or nafs ka matlab rooh , khoon, badan jism o jaan hay.or ye dono alfaaz quran shareef main sorah#41(sorah Haa Meem Sajda) ki ayat #53 main zikr hoay hain.(Ref: al-munjid pg#1036). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Can we read Qaran in the afternoon at12:00 p.m.
Answer: Yes, you can read Qaran in the afternoon @12:00 p.m. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : May 16, 2011)
Question: kay quran pak ko bagair wazoo kay choo saktay hay
Answer: Jo shakhs baa Wazoo na ho os k lie quran majeed k alfaz ko chona yani os k badan ka koe hissa quran majeed k alfaz se lagana haram he laikin agar quran majeed ka tarjuma kisi aur zaban me ho to koe haraj nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 316) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Quran parhnay se pehlay wuzu krna zaroori hota hai. magar jab hum kisi ki quran khani par tayyar ho kar jate hai to kya tab quran parhnay se pehlay wuzu karna wajib hai?
Answer: 1)Baaz fuqahaa k nazdeeq quran majeed parhnay se pehlay wuzu karna mustahab he laikin ayat ullah sistani d.b. k nazdeeq wuzu ka mustahab hona saabit nahi he. Albattah agar koe shakhs mustahab honay k ethemaal k saath wuzu karay to os ka wuzu sahi he. 2)jo shakhs ba-wazoo na ho os k liay quran majeed k alfaz ko mas karna yani apnay badn ka koi hissa quran majeed k alfaz se lagana haram he.lakin agar quran majeed ka farsi ya urdu ya koi aur zaban me tarjuma kia gya ho to ose mas karnay me koi haraj nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 321, 316) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: quran shareef kis mahine main nazil hui?
Answer: Quran majeed ramzan main shabay qadr main nazil hoa.(Ref: http://www.alhassanain.com/urdu/book/book/holy_prophet_and_ahlul_bayt_library/imam_al_mahdi/quraan_or_akhari_hujjat/017.html ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)