Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16306
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main. Ny kasam Khai ak lrki sy Quran py hath rkha hum dono ny k dubara ni milain gy ab Wapis ly skta hu

Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16334
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr koi name hum quran mei likh k rkhain..lykn kisi wajah say wo apnay name apnay buchay ka na rkhain..too koi gunah too ni hai iska??

Answer: Agar wo name na rakhen to koi gunah nahin hai q ke zaroori nahin ke jo name aap ne quran me rakha hai wohi bache ka name rakhen, Han albata mustahab hai ke bache ka achha name rakha jaye chunke yeh bachhe ka bap par haq hai, aur riwayat me aya hai ke "sab se sachha nam wo he ke jis me Allah talaa ki ubudiyyat shamil ho aur namon me sab se achha ambiya (a.s) ke name hai" aur inhi ke sath aimma(a.s) ke namon ko bhi mulhaq kiya jayega. aur nabi(s.a.w.w) se marawi hai ke aap ne farmaya: jis ke yahan char aulad hon ur usne un me se aik ka name bhi mere name se nahin rakha to usne ne mujh par jafa ki" aur makrooh hai makrooh hai ke aimma(a.s) ke dushmanon ke name se bachhe ka nam rakha jaye. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #387) [Updated on 01-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16370
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum sir mare exam qareeb haan tw plz muja koi wazeefa Bata haan jis sa mare exam ma axha marks aaha aur pass bi ho jahoo aur sath sath muja pharhahi ka wazifa bi Bata haan jis sa mare Dil study ma lgna start ho jaha

Answer: 1: Quraan majeed men Allah Taala farmata hai ke Insan ke liye wohi kuch hai jo uski koshish ka natija hota hai (Suraah Najaam, Ayat#39) lehaza jo apne emtihan dene ke liye koshish ki hogi aap ke result men wohi hoga, is aitebar se to emtihan se aik din pehle wazeefa parhne se koi faida nahin hoga, Han albatta is baat ka faida hosakta hai ke aap ke result men kisi qism ka dhoka na ho, lekin result wohi ayega jo apne likhen ge, Albatta emtihan dene se pehle uski tayari ke waqt wazeefa ke asraat ho sakte hain lehaza aap Saal ke shuru se kitabon ko achi tarah samjain aur yaad karen. Aap imtihaan ki dil laga ke tayaari kijye achi tarah, aur is ke sath sath in wazifon par amal karain INSHALLAH kaamyaab hon ge. 2: Jummay ke din sabz kaghaz par surah aal e imran surah #3 zafran se likhain aur phir jari pani se dho kar pani mehfooz kar lain 7 din tak suraj niklnay se pehlay nihar monh is pani ko thora thora pe lain aur in dino me ghost na khayen. Hafiza tez ho jaye ga. 3: Imtehaan main aasan paper ke liye center(imtehaani markaz) jaanay se pehlay sorah anfaal (surah #8, parah #9) ki ayat #62 ko 7 martabah parh kar jaayen aur is ayat se pehlay aur baad me 3 martabah salawaat parhen. 4: Parhayei main dil lagne ke liye: Surah e Taha ki ayat #25 se 28 ko har roz teen martaba pharain. (Ref: Tajalliyat e quran, pg #31,32. + Naway e saleheen, pg #326). [Updated on 07-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16408
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya mai surah hijr ka print nikalwake taweez banake hath par bandh sakta hu rozi ke liye ya likhna khud hi padega agar likh nhi paye to

Answer: Aap is surah ko photocopy ya print bhi kar saktay hain, Han kuch amal ya wazifay aise bhi hote hain jin me kaha jaa raha hota ke fulan ayat ya surah ko maslan zafran se likh kar hath wagera pe bandhna hai to us amal ya wazifay ko waise hi anjam dena hai jis tarah kaha gaya hai. is ke alawa jis amal ya wazifay me aisa na kaha gaya ho to us me photocopy ya print bhi kiya jaa sakta hai. [Updated on 20-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16463
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: insaan k pass 2 ways hoty hen 1. wo bura amal kr ly ga 2. wo bura amal nahi kry ga meray dost k mutabik, ager wo bura amal karta h tou wo uski kismet men likha h kia ye sahi h?

Answer: Surah e Room me ayat #41, me irshad e baari taala hai ke: Logon ne jo aamaal kiye hain un ki bana par Bar o behar mein fasaad phoot para hai. Surah e dahar me ayat #3, me irshad e baari taala hai ke: Hum insaan ki raah (raast) ki janib rehnumayi karte hain taakay dekhen woh konsi raah ikhtiyar karta hai, aaya woh humahari rehnumayi qubool karta hai aur shukar ada karta hai ya rugardani ikhtiyar kar ke na shukar guzaar ban jata hai. Surah e fuselat me ayat #17, me irshad e baari taala hai ke: Hum ne millat samood ki rehnumayi ki lekin is ne hidayat ko chore kar ghumrahi ko pasand kiya. Surah e Najm me ayat #39, me irshad e baari taala hai ke: Insaan ke liye khud is ki saei aur koshish ke siwa aur kuch nahin hai. mandarja baala ayaat aur aisi hi doosri ayaat se maloom hota hai ke jo shakhs bhi islam ko aik jabri aeen o qanoon ke taur par paish karta hai woh dar asal ghalat fehmi ka shikaar hai. aur us ne qaza o qadar ke maane nahin samjhay hain ya phir woh islam ke mukhalifeen ki tarah is tareeqay se na jaaiz faida uthana chahta hai aur apne is ilzaam ke zariye musalmanoon ko aik aisi qoum ke taur par mutaarif karana chahta hai jo taraqqi karne ki salahiyat nahin rakhti aur pasmandagi mein pari rehna chahti hai. Ikhtiyar par aqeday ka faida. Jo shakhs is baat par imaan rakhta hai ke: usay apni qismat par koi ikhtiyar nahin hai aur is ki hesiyat mehez aik tinke ki si hai jo tez huwa ke jhonkon ke sath idhar udhar urta rehta hai is ke aqeday mein aur aik aisay shakhs ke aqeday mein bunyadi ikhtilaaf hai, jo khud ko apni qismat ka aap bananay wala aur bigaarnay wala samjhta hai aur yeh yaqeen rakhta hai ke usay azad peda kiya gaya hai. pehla aqeedah rakhnay wala shakhs apni koshishon aur mehnaton ki qadr o qeemat ka qaail nahin hota aur rastay mein paish aanay wali har cheez ke muqablay mein sir tasleem kham karne ke siwa is se koi dusri raah sujhaei nahin deti. aisa shakhs hamesha apni nafsaani khuwahisahat aur apni shahwaton ke hathon girftar rehta hai aur zindagi mein koi kamyabi haasil nahin kar sakta. woh apni nafsaani khuwahisahat aur dar paish mushkilaat ka muqaabla karne ki himmat nahin rakhta aur apne is aqeday ke sath zindah rehtay hoye roz baroz apni bad bakhti mein izafah karta chala jata hai. Albata dusra shakhs jo yeh aqeedah rakhta hai ke woh khud apni zindagi ka aik rasta bana sakta hai aur raah mein paish aanay wali har rukawat ke maqabil aik muasir kirdaar ada kar sakta hai. aisa shakhs tamam umoor ke anjaam panay ko apne iraday aur ikhtiyar se wabasta samjhta hai. jab bhi woh chahta hai unhein anjaam deta hai, agar nahin chahta to un kamon ke anjaam dainay se khud ko baz rakhta hai. bilaa shak o shuba aik aisa shakhs apni zindagi mein ziyada tar kamyabiyon se behra mand hota hai Q kw woh kisi bhi kaam ki anjaam dahi ke liye apni koshish aur jadd o jehd par yaqeen rakhta hai. aur woh hadsaat aur apni nafsaani khuwahisahat ke maqabil sar tasleem kham nahin karta. mazeed yeh ke woh Roohani aur baatini nizamon se istifada karte hue naikiyan kar ke aur ghunahon se parhez kar ke duaon aur munajat ke zariya apni kamyabiyon mein izafah karta rehta hai. (Ref: https://www.balaghulquran.com/ ). [Updated on 27-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16470
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: quran pak main asi kon c qom ka zikr aya hai jo bal ki ibadat krti thi?

Answer: Surah saafaat, ayat #152, me irshad e parwardigar hai: Kya tum bal (بعل) ko pukarte ho aur sab se behtar khalq karne walay ko chore dete ho. Bal (بعل) ke manay bulandi ke hain. isi se us darakht ko bal (بعل) kehte hain jo buland ho gaya ho aur apni jaroon ke zariye pani jazb karta ho. baab zakat mein hai: اذا کانت سیحاً او بعلآ العشر (hadees) isi se sardar aur maalik ko bhi bal (بعل) kehte hain. isi liye shohar ko bhi bal (بعل) kehte hain. qadeem but paraston ne apne aik khaas but ko bal (بعل) ka naam diya tha. khususan Lebanon(لبنان), shaam (شام) aur palestine (فلسطین) ke ilaqon mein bal (بعل) parasti aam thi. mumkin hai Lebanon ka qadeem sheher balbakk (بعلبکّ) isi but se mansoob ho. bal (بعل) but ko aur bakk ijtima ki jagh, yani sheher ko kehte hain. chunancha makkay ko quran mein bakka bhi kaha gaya hai. (Ref: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=37&ano=125 ). [Updated on 03-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16509
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: fajr ki namaz kay bad tilawat quran e pak ka kiya hukam hay?

Answer: Mustahabb hai ke namaz ke baad insan kuch dair ke liye taqebaat yani zikr, dua aur quran majeed parhay. Ye zaroori nahin hai ke taqebaat arabi zaban me hon (kisi aur zaban {urdu/hindi} me bhi parh sakte hain) lakin behtar hai ke insan wo duaain parhay jo duaon ki kitabon me bataei gaei hain aur tasbeeh e fatimah zahra(s.a) parhay jis ki bohat ziyada takeed aayei hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1109). [Updated on 18-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16545
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran ko tarteeb e tofiki dyne ki zarort kyu pash ayi

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Quran ki tarteeb ke bare me or is ke hazrat Rasool Allah ke zamane me Jama hone ke bare me jaane ke lie niche die gahe link per click Kare. https://www.makarem.ir/main.aspx?reader=1&pid=62027&lid=4&mid=60072&catid=6478 [Updated on 05-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16556
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: rasool e pak k dor men quran pak kis kis chez py likha gya?

Answer: 1: Hazrat Rasool e Khuda(s.a.w.w) ne Hazrat Ali(a.s) se farmaya: Quran kareem hareer(Resham ) ke kapron, kaghaz aur in jaisi dusri cheezon par mutafarraq hai lehaza is ko aik jagah jama kar lo. is ke baad mazeed farmatay hain ke ”وَانطلقَ عَلیَّ (ع)فَجمعہُ فِی ثوبٍ اٴصفرٍ ثُمَّ خَتَم علَیْہِ“ Hazrat Ali(a.s) is nashist se utthay aur quran ko aik zard rang ke kapray par jama kiya aur is par muhur lagai. 2: Sulaim bin qais hilali ne apni kitaab mein Salman farsi(r.a) se naqal kya hai, jab Hazrat Ali(a.s) ne ashaab ki be wafaai aur ghaddari ki haalat dekhi to aap ne apne qayamgah mein gosha nasheeni kar kay Quran ki jama aawri aur tadween shuru ki jabkay is se pehlay quran mutadid suhuf aur khaalon par likha gaya tha. (Note: in do riwayaton ke mutabiq Rasool e Khuda(s.a.w.w) ke daur men Quran hareer ke kapron, kagaz, khalon aur in jaisi dusri cheezon par likha gaya tha). (Ref: link; https://www.makarem.ir/main.aspx?reader=1&pid=62027&lid=4&mid=60072&catid=6478 . + link; http://quran.al-shia.org/urd/maqalat/891225/05.htm ). [Updated on 29-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16597
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sunnat ku zaroorat ku? kiya kitaab Allah ka qanoon namukamal hai

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!