Question: Kya srf shia jannat mei jayein ge?
Answer:
Question: Zina k baray m Quran pak m kiya kaha hai or is ki saza kiya h
Answer: 1: Zina ke baray me surah israa, ayat #32 me kaha gaya hai ke 'Aur zina ke qareeb bhi nah jao, yaqeenan yeh barri be hayaei hai aur buhat bura rasta hai'. Note: zina un tamam iqdaar ko darham barham kar deta hai jin par khandan ki tashkeel ka daar o madaar hai. zina ke nateejay mein peda honay walay bachay ka nah koi zimma daar hota hai aur nah hi aurat ki izzat o aabaroo ka koi maqam baqi rehta hai. 2: Zina ki saza ke baray me surah noor, ayat #2 me kaha gaya hai ke 'Zinakar aurat aur zinakar mard mein se har aik ko 100 korray maro aur deen e khuda ke muamlay mein tumhe un par taras nahin aana chahiye agar tum Allah aur roz e akhirat par imaan rakhtay ho aur un ki saza ke waqt momneen ki aik jamaat maujood rahay'. Note: zina yeh hai ke insaan aisi aurat se baghair izdiwaj ke hambistari kere jo is par haraam ho. zina ka saabit hona iqraar aur gawahi ke zareya mumkin hai. iqraar agar chaar martaba kya jaye to is par had jari hogi. is se kamtar iqraar par had jari nahi hogi. gawah ke liye zaroori hai ke chaar mard ya teen mard aur do aurtain ya do mard aur chaar aurtain is terhan gawahi den ke unhon ne bchshm khud mulzim ko aik hi jagah aur aik hi waqt mein zina karte hue dekha hai. zaani par had jari karne ke silsilay mein mujrim ke sath hamdardi ka muzahira karna qanoon par pukhta yaqeen ke manafi hai aur jis terhan mujrim ne sareaam jurm ka irtikaab kya hai, chunancha chaar afraad ko mushahiday ka mauqa mila, isi terhan is ko saza bhi sir aam deeni chahiye. In do aayaat ki mazeef tafseer janne ke liye zel me diye gaye hawalon ki janib ruju kiya jaye. (Ref: Al-kausar fi Tafseer e quran, jild #4, pg #512 se 514. + jild #5, pg #422 se 430). [Updated on 22-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslaam u Alaikum Mera swaal yeh hai k Quran ki kis surah ki kis ayat me yeh zikar hai k "اور بیشک تمہیں تمہارے جیسا ہی ہمسفر مِلے گا" Plz thora jldi
Answer: Para #18 (qad aflaha), Surah noor (surah #24), ayat #26. (Ref: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=24&ano=26 ). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran pak ka bohla howa para kesa yad kara
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 10-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran ka tarjuma kis ne kia or Kitne arse Mai khatm kia nam kia hai unka
Answer: Aap ka sawal wazeh nahin hai ? Aap kis zaban me tarjime ka poochna chah rahi hain ? [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nabi pak per pehli surat mukmal konsi nazil hoi
Answer: Mukammal surah to nazil nahin hua albatta sab se pehlay surah e alaq ki pehli 5 ayaat ghaar e hiraa main Hamaray Nabi(s.a.w.w) par nazil huein. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%BA%D8%A7%D8%B1_%D8%AD%D8%B1%D8%A7 ). [Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Surah Fatiha kab nazil hui
Answer: Surah al-hamd (fatiha) do martaba naazil hua hai, aik baar beasat(بعثت) ke ibtidayei dino mein makkay mein aur aik baar qibla tabdeel honay ke baad madinay mein, aur isi bina par is ko "masani (مثانی)" bhi kaha jata hai. lekin chunkay pehli martaba makkay mein naazil hua hai, lehaza is ko maki surton ke zumray mein qarar diya gaya hai. yeh surah mushaf ki tarteeb aur jama quran ki tarteeb ke lehaaz se pehla surah aur nuzool ke lehaaz se panchawan surah hai. neez ye pehla woh surah hai jo poora surah aik sath aik hi dafaa mein Paighambar e Akram(s.a.w.w) par naazil hua hai. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D9%81%D8%A7%D8%AA%D8%AD%DB%81#%D9%85%D8%B9%D8%B1%D9%81%DB%8C ). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Hm Quran ko speaker p laga kar apne kaam Sath kar sakhte ha ya attentively sunna zaruri ha?
Answer: Tilawat e quran, tawajjuh ke sath sunna zaroori nahin hai. lekin tilawat e quran ke aadaab me se hai ke Tawajjuh ke sath suni jaye. (Ref: Tafseer e al-kausar, Shaikh Muhsin najafi, part #3, pg #347). [Updated on 02-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nuzul K atebar say Qur'an ka Phela surah Kon Sa hy
Answer: Hazrat Imaam Zain ul Abideen(a.s) se marvi riwayat ke mutabiq, Nuzool ke hisab se sab se pehla surah, surah alaq hai. (Ref: Tafseer e Anwaar e najaf, jild #1, topic #Ibtidaye Nuzool e Quran, pg #136). [Updated on 08-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mjhee jldi se jldi reply kariye plzz...kya me ramzan me starting se Qur'an start kr skti hu apna pehla Quran chorkr beech me wo bhi is irade se ki isko ramzan baad me pura krungi ??
Answer: Quran ki tilawat karna khaas taur par namaz ke mustahab hai ab chahe ramzan baad me poora karne ka irada ho ya nah ho, dono soorton starting se Quran start kar sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #1109. + link, http://quran.al-shia.org/urd/maqalat/06.htm ). [Updated on 14-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]