Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3178
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya larka aur Larki donon razi hon aur wo ALLAH ko gawah mantay huway aik dosray kay k nikah main dil say qabool karain to kya nikah ho jata hah ya nae ?

Answer: Is terah se nikah nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6113
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alaikum , Mera sawal hain k kia ek baligh lardki or larka khud apna Nikaah para saktain hain ?Agar han to us kay kia ehkamat hain?

Answer: Agar aurat aur mard khud daimi nikah ka seegha padhe to maher moyyan karnay k bad pahele aurat khe : "zawwjtoka nafsi als sidaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is k lamhe bhar bad mard kahe : "qabiltuz tazweeja" yaani me ne izdawaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarah agar faqat "qabilto" kahe tab bhi nikah sahih he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2328). Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10018
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia shia larky ki shadi sunni larki k sath ho sakti hai??

Answer: Was Salam. Jee is main koe haraj nahi hay, nikah ho sakta hai albatta lazim hay k shia wala nikah har sorat main perha jaey Q k shumaar jo hoga wo faqat shia wala hi hoga.Q k sunni nikah main wo sharaet nahi hoti jo aik shia nikah k liay zaroori hain.(Ref:Tauzaaeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2335). Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 29-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10165
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KYA LADKI AGAR 2 LOGO K SAMNE KISI LADKE KO SOHAR TASLIM KARE TO NIKAH HOJATA HAI ?

Answer: Jee nahi is tareekay say nikah nahi hota nikah ki kuch sharaet hain jin k mutabiq amal kia jaey tu nikah ho jata hai un sharaet k liay ruju karein. (Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2335). [Updated on 01-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11516
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A. A mera sawal yeh ha ky agr larki ka name sahi bola jaye or larki ky waled ka nam galt bol ho jaye molvie sy... Jab ky larky ka name or larkye ky bap dono ka nam sahi bolye molvi to kia nikah jaiz ha???

Answer: Nikah k sahi hone k liay larki or larke k walid ka naam zarori nahi hay. bas ye zarori hay k ye irada ho keh is larki ka os larke se nikah kia jaa raha hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2335). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11574
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Allah ko gawah bna kar nikkah karna apas mei jaiz hai? Ta k zina say bacha ja skay aur logo ko na btaya jay? Sirf Allah lo raazi karny ki neeyat say kia gaya ho

Answer: Jee nahi، is tareeqay sai nikah durust nahi hoga. Nikah ki agar sharait poori hon tou nikah durust ho jaayega jese nikah k seeghay parhay jaaye, or agar larki kunwari ho tu larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat ho wagaira.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12299
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Myra swal ye hay k agr lrka lrki aik dousry ko dil sy qaboul kr lyn 3 bar qaboul hy bhi keh lyn.. to kia wo aik dousry ko shohar or bevi ka haq day skty hain?

Answer: G nahin, Is tarah se nikah nahi hota.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2328-2335,2341,2342). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12475
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikah kin padwa sakta Madarse se koi b ya sirf quazi?

Answer: Nikah parhane k liye qaazi ka hona zaroori nahi hai aap madressa k kisi taalib e ilm sai bhi parhwa sakte hai bashart ye k wo aaqil ho, sahi arabic mai seeghay adaa kar sakta ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 26-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12528
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr lrki ky walid or dada intqal kr gy ho to phir kya lrka lrki ko tanhai my AllH ko guwah bna ky ussy apny nikkah my ly lyto kya nikkah ho jai ga?? Plz apky jwab ki bhtt zrourt h plz

Answer: agar larki k wali (baap ya dada) moujood na ho or nikah tamaam sharait k saath kia jaaye tou nikah durust hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341,2335). [Updated on 07-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12581
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr sunni lrka shia lrki se shadi k baad shia hone k lia tayar ho tau kia us se nikkah krna jaiz hai?

Answer: jee nikah kia jaa sakta hai..(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) [Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!