Question: agar nikah nama mein haq meher mansion na ho mgr nikah may bola jay to islam kya kehta hy haq mehar k baray mai husband or wife k ly?
Answer: Agar daa’emi nikah mein mehar mo’yyan na kiya jaey to nikah sahi hai aur agar mard, Aurat k sathh jama kare to ose chahiay keh osi jaisii auraton k mehar ke mutabiq de. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2383). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya aurat apna Haq mehar khud tay Kr Sakti hy?
Answer: Meher aurat ka huq hay or os ko is meher ki miqdaar taey kerne ka huq hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #286). Update on dated 17-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya Orat Haq mehar maaf Kar Day Dil Se , Tub Bhi Haq Mehar ki Raqam Uski Hatheli Pay Rakhna Zarori hay ya nahi???
Answer: Agar bivi apna haq meher apnay shohar ko maaf ker day tu phir shohar per wajib nahi hay k wo apni bivi ko huq meher ki raqam ada karay.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#318 ). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: keya Quran ya Masalay ko bator haq mehar rakhwana jaiz hy ?
Answer: Har wo cheez jis ka malik banna jaiz hay wo haq e mahar ban sakti hay. (Ref: Minhajus saliheen, jld#3, masla#286). Update on dated 05-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: If some one pay the meher after nikah but he didn't take his wife with him and after some time his wife ask divorce before doing haqe zojeet what about the haq meher she has to keep it or return back.
Answer: Agar hambistri say pehly talaq ho jaey to is halat men mahr ka nisf (half ) biwi ko dena hota hay agar pehly hi poora mahr day chuky hen to bivi ko chahiay k nisf mahr wapas day.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #309 ). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 27-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agha sahab haq mehar do hty ha ak jo foran ada kiya jata ha or dosra in case of husband death or divorce ? Dono ki rakam kia honi chaiya agr koi 5 tola gold chota or bda dono rkhy tu kia hesiat ha is ki islam ma?
Answer: w,salm Mahr ki kam az kam miqdaar moayyan(fix) nahi hay, layhaza jitni miqdaar per shohar or bivi raazi ho jain durust hogi. Isi tarah meher ki ziyada se ziyada miqdaar moayyan(fix) nahi hay, laikin mustahab hay keh meher sunnat se ziyada nah ho, or meher e suunat 500 dirham chandi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #287). [Updated on 11-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslaam Alaykum Janab. Mera naam Mohammed Afzal hai Mera swal ye h :-kya Nikah k baad or Haq mehar ada krne se pehle bivi ko dekhna or bivi se baat krna jaiz h?
Answer: Haq meher ki adaegi se pehle bivi ko daikhna or os se baat karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #70). Update on dated 16-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Me apny shohar ko huq mehar maf krna chahti hon. Or kr bhi dia hai. Lakin wo is chez py razi nahi. Wo mjhy huq mehar dena chahty hain or me allah ki raza k liy huq mehar maf kr chuki hon. Ab me kia kron?
Answer: Aap k liay shohar ko maaf kiarna jaiz hay or aap Aap tohfay ki niyat se os ko qobool kar sakti hain. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#318). Update on dated 20-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr shadi ma larki ko gold diya jaye aur jo k haq mehar ma b likha ho tu shadi k badh wapis le liya jaye tu us pe kya hukam ha plz reply
Answer: agar bivi apna haq meher apnay shohar ko maaf ker day tu phir shohar per wajib nahi hay k wo apni bivi ko huq meher ki raqam ada karay (ref ayatullah sistani d b minhajus saliheen part # 3 maslah # 318) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamulaikum , agr ek larki ka nikah howa ho magr ruksati na hoe ho na hi meyan biwi wala rishta qayam kia ho .. esi surat na agr talaq hojae tou kia haq maher dena hoga shohar ko?
Answer: Agar jima (hambistari) nah ki ho to aadha meher dena hoga pura mahr(Dowry) dena wajib nahi hai. Ref : minhaaj ul saleheen , part # 3 , masala # 313 ). [Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]