Question: Kya nikah ma Haq mehar ka zikar kiye bagair nikah ho sakta ha?
Answer: Jee han, ho sakta hai. Q ke Agar daa’emi nikah mein mehar mo’yyan na kiya jaey to nikah sahi hai aur agar mard Aurat k sath jima kare to ose chahiay keh osi jaisii auraton k mehar ke mutabiq biwi ko mehar de.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2383). [Updated on 10-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalmu Alaikum, Shaadi per larki ko gold dya jata hay, aur wo gold aus ki ho jati hay, kya thalaq k baad gold wapis karna hota hain, jabke sasural walo ne larki ka jahaiz b le liya ho?
Answer: 1: Shadi me jo sona diya gaya tha agar wo haq meher ke taur par tha to us ki do soorten bane gi. 1. Agar shadi ke baad shohar ne biwi se jima (Intercourse) kiya ho to wapis nahin karna ( yani is surat me pura mehar biwi ka hoga or shohar us se mehar waapse nahe le sakta ). 2. Agar shohar ne biwe se jima (Intercourse) nahin kiya to is mehar me se ( biwi ne shohar ko) aadha mehar wapis karna hoga. 3: Aur agar shadi ke waqt jo sona diya gaya tha agar wo tuhfe ( gifts) ke taur par tha ya biwi ki milkiyat me qaraar diya gaya tha to wo us ki maalik hojaate hay or biwe ko use waapis karna zaroori nahin hai. larki ko tuhfe ( gifts) dene wale agar larki ke khone rishtedaar hain ya tuhfe ( gifts) khatam hochuka ho ya us tuhfe ( gifts) me koi aisa tasarruf kardia ho ke phela wala tuhfe ( gifts) hone zaat usper sidq na aaye tu in tamaam surato me tuhfe ( gifts) dene walo ne jis ko tuhfe ( gifts) dia hay us se wo tuhfe ( gifts) waapse nahe le sakte albatta agar tuhfe ( gifts) dene wale ,jise tuhfe ( gifts) dia gaya ho us ke khoni rishte daar na ho or asal tuhfe ( gifts) moujood ho tu tuhfe ( gifts) dene wale ,jise tuhfe ( gifts) dia gaya ho us se tuhfe ( gifts) waapse le sakte hay or jise tufa (gift) dea gaya hay wo mana bhe nahe karsakta lekin agar tuhfe ( gifts) ke taur par ya biwi ki milkiyat me qaraar nahin diya gaya tha ( balke aiwse he waqte tour per use istemaal ke lie diya tha ) to shohar ( ya wo insaan jis ne wo cheez dehay ) wapis le sakta hai. Jabkeh biwe ko ju jehaiz dia jaata hay wo Jahaiz aik tuhfa ( gift) hay jo baap apni beti ko deta hai or jis per par faqat baiti ka huq hota hai, lihaaza shohar ya us ke ghar walon ya kise or ka larki ke jehaiz per koi haq nahin or shohar ya us ke ghar walon par laazim hoga ke larki ko jahaiz wapis karen. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, page #361, and part #3, page #77. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #2, mafhoom e sawal #150). [Updated on 15-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o Alikum Mera ye sawal hai k shohar ki taraf sai diye Gaye zewar kya shohar wapis le Sakta hai ??? Kya in zewar pr bivi Ka koi haq nhi ? Kya wo zewar bivi alag Hony ki Surat main apny pass Rakh sakti hai?
Answer: 1: Agar biwi talaq ke zariye shohar se alag ho rahi ho to is surat me jo zewar shadi me diya jata hai agar wo haq meher ke taur par tha to us ki do surten bane gi. 1. Agar shadi ke baad shohar ne biwi se jima (Intercourse) kiya ho to wapis nahin le sakta ( yani is surat me pura mehar biwi ka hoga or shohar us se mehar waapis nahin le sakta ). 2. Agar shohar ne biwi se jima (Intercourse) nahin kiya to is surat me is mehar me se aadha meher ( biwi , apne shohar ko ) wapis karegi. 2: Shadi ke waqt jo zewar diya jata hay agar wo tuhfe (gifts) ke taur par tha ya biwi ki milkiyat me qaraar diya gaya tha to biwi us ki maalik ho jaate hay or biwi ke lie zaroori nahin hai ke wo zewar waapis kare. larki ko tuhfe (gifts) dene wale agar larki ke khooni rishtedaar hain ya tuhfa (gift) khatam ho chuka ho ya us tuhfe (gifts) me koi aisa tasarruf (changing) kar diya ho ke pehle wala tuhfa (gifts) hone ki zaat usper sidq na aaye tu in tamaam suraton me tuhfe (gifts) dene walo ne jis ko tuhfe (gifts) diya hay us se wo tuhfe (gifts) waapse nahin le sakte albatta agar tuhfa (gifts) dene wale ne, jise tuhfa (gifts) diya gaya ho us ka khooni rishte daar na ho or asal tuhfa (gifts) moujood ho tu tuhfa (gifts) dene wale ne, jise tuhfa (gifts) diya gaya ho us se tuhfa (gifts) waapse le sakte hay or jise tuhfa (gift) diya gaya hay wo mana bhe nahin kar sakta. lekin agar tuhfe (gifts) ke taur par ya biwi ki milkiyat me qaraar nahin diya gaya tha ( balke aise hi waqti taur par biwi istemaal ke liye diya tha) to shohar (ya wo insaan jis ne wo cheez di hay ) wapis le sakta hai. Jabkeh biwe ko ju jehaiz diya jaata hay wo Jahaiz aik tuhfa (gift) hay jo baap ya rishtedaar apni larki ko dete hain or jis per par faqat baiti ka haq hota hai, lihaaza shohar ya us ke ghar walon ya kisi or ka larki ke jehaiz per koi haq nahin or shohar ya us ke ghar walon par laazim hoga ke larki ko jahaiz wapis karen. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, pg #361, and Part #3, pg #77. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #2, mafhoom e sawal #150). [Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا لڑکی مہر میں قرآن پاک کی کوئی سورت رکھوا سکتی ہے؟ یعنی کہ لڑکا قرآن پاک کی کوئی سورت زبانی یاد کرے اور پھر اسی کو حق مہر کے طور پر لڑکی کو دے؟ کیا یہ جائز ہے؟
Answer: Mahr me Quran ya Quran ke kisi sureh ke taaleem rakhwana Jaiz hi, Albatta jis tarah ka mamala aap ne pesh kiya hai is tarah se rakhwana durust nahin, balke is tarah se kiya jaa sakta hai ke maslan larki, larke ko kahe ke aap mujhe Quran ya koi Surah ki taaleem do gay to ye durust hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #4, Edition #1443, Maslah #218). [Updated on 12-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr nikka k waqt huqemeher na leka jae tu kia huqmeher k le dobara nikka ker skte ha k dia jae kuin k nikka m huq meher wajib faraz hs
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Agar daaemi nikah mein meher muayyin nah kiya jaye to nikah sahi hai aur dobara nikah parhne ki zaroorat nahin hai lekin mard agar biwi se jima kare to use chahiye keh us jaisi auraton ke meher ke mutabiq biwi ko mehar ada kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42,Mafhoom e Maslah #2383). [Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam . mera mehr mery ghr walo or mery honay waly shohar k darmiyan 20,000 tay paya hai jis sy mein raza mand nai hu . aisi sorat mein kiya jaiz hai?
Answer: Meher ke silsile me larke aur larki ka razamand hona zaroori hai, lihaza agar dono ke ghar walay meher tay karen aur larka ya larki dono us pe razi nah hon ya larka aur larki me se koi aik us pe raazi nah ho to ye sahi nahin hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, edition #1443 hij, Maslah #287,288). [Updated on 08-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum khula ki sharait bta dain or ye bhi bta dain k agar khula m aurat apna haq mehr maaf krdeti hai tou husband is k elawa or koi mutalba bhi krskta hai jese jahaiz na dena zaiwar wagera rkh lena etc ...
Answer: 1: Jee han, meher ke alawa bhi kisi aur cheez ka mutalba kar sakta hai. 2: Talaq khula me do tarah ki sharaait hoti hai: aik khaas sharaait aur dusri aam sharaait. Khaas sharaait: 1-Aurat apne shohar ki taraf maail nah ho aur shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho ke use wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day. 2-Aurat apna meher ya koi aur maal use bakhsh day taake shohar use talaq day day. 3-Talaq khula ka makhsoos seegha parha jaye. Aam sharaait. 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas se paak ho aur is paaki ke dauran mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai aur talaq nahin kehlaaye gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon aur wajib kaamon par amal karte hon aur haram kaamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaye. 5-Zaroori hai ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majboor kiya jaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Edition #1443, Maslah #549. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2376,2462 to 2472,2487). [Updated on 13-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya talaq ho sakti hai agar haq meher na diya jaye shohor ki taraf se
Answer: Agar koi mard, aurat ka meher nikaah mein muyyin kar de aur us ka iraada yeh ho keh woh meher nahin dega to (us se nikaah nahin tootata balkeh) sahi hai. lekin zaroori hai keh meher adaa kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2410). [Updated on 23-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr kisi ne shaddi ki time adha haq nahar ada kia ho or us ke divorce hojae to wo haq nahar kiss waqt ke raqam ke hisab se dega
Answer: Agar nikah aur talaq ke darmiyan shohar ne hambistari ki ho to talaq ki surat me baaqi aadha meher bhi dena wajib hoga aur wohi ada karna zaroori hai jo nikah ke waqt tay paya tha. Lekin agar hambistri se pehly talaq ho jaye to is halat me nikah ke waqt wo jo adha meher biwi ko diya tha wohi kaafi hai ab mazeed adha meher dena zaroori nahin hain. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443, maslah #309). [Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr aurat haq mehr pr razi na ho lekin sign kr day mgr dil se rzi na ho to uske liye kya hukm ha
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, haq meher ke silsile me mard aur aurat ka razamand hona zaroori hai, lihaza agar mard meher tay kare lekin aurat us pe razi nah ho to ye sahi nahin hai. Isi tarah nikah ki sharait me se hai ke nikah ka seegha (nikah ke bol ada karna) parhna zaroori hai, sirf mard or aurat ka razamand hona or isi tarah nikah nama likhna (sign karna) ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahin hai. Isi tarah mard aur aurat me koi aik bhi dil se razi nah ho to nikah sahi nahin hoga. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hij, maslah #287,288. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2328,2335). [Updated on 10-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]