Question: Assalamulaikum shariat mai haq maher kitna dena chayay or khula wali lrki kai sath shahdi krtay wqt kitna haq maher dena chayay
Answer: W Salam, Mahr ki kam az kam miqdaar moayyan(fix) nahi hay, layhaza jitni miqdaar ( jis ki market value ho) per shohar or bivi raazi ho jain durust hogi. Isi tarah meher ki ziyada se ziyada miqdaar moayyan(fix) nahi hay, laikin mustahab hay keh meher sunnat se ziyada nah ho, or meher e suunat 500 dirham chandi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #287) (Note: utna hi heq mahr diya jai jina aam tor diya jata hai.) [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamalikum Agar aik shohar apni biwi ko haq mehar nai dai pa rha to kia jab tak wo haq mehar nahi daita wo qurbani kar sakta hai ya nahi ?
Answer: Agar bivi apna haq meher apnay shohar ko maaf ker day tu phir shohar per wajib nahi hay k wo apni bivi ko huq meher ki raqam ada karay.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#318 ). qurbani kar sakta hay.(Ref: mafhoo https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 07-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ladki mahr ke paise kitne din me kharch karna chahiye? Yesa koi limit hey kya ki mahr ke paise itne din me kharch karna bolke?
Answer: Merher aurat ka huq hay jub chahai khurch kar sakti hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #286). [Updated on 12-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam . Ye bataye k janab fatima zehra a.s ka shari haq kitna hai ajj ki tareek mey jo nikka may likha jata hai in terms of chandi .
Answer: W Salam, Mahr ki kam az kam miqdaar moayyan nahi hay, layhaza jitni miqdaar per shohar or bivi raazi ho jain durust hogi. Isi tarah meher ki ziyada se ziyada miqdaar moayyan nahi hay, laikin mustahab hay keh meher sunnat se ziyada nah ho, or meher e suunat 500 dirham chandi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #287) (Note: utna hi heq mahr diya jai jina aam tor diya jata hai.) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar bivi khud apni marzi se maher ka kuch hissa chod de to kya sohar use le sakta hai?
Answer: G han le sakta hai.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#318 ). [Updated on 30-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslamoalaikum! Janab mera 1 sawal ye he k agr haq mahr ada krne se pehle shohr ki maut waquya hojaye to haq mehr kon ada krega? or dusra ye k haq mahr bv ne zabardasti 10 lakh rupay likhwa dia tha or shohr k pas itne paise na hon to kia hukam he?
Answer: Agar shohar baghair huq mehr diay mar jaey tu sab se pehle shohar ki meras se huq mehr ki raqam nikali ajey gi, Huq mehr ki raqam per shohar or bivi dona ka razi hona zarori hay. (Ref: Minhajus saliheen, jild#3, maslah#286-329) [Updated on 28-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr bv ny sb haq mehar maaf kia hoa hu.. shohar ka dia har eik chezz even zewar b shohar k hi pas hu tu bb kia bv ko khula lyny k liue alaida raqam dyni hongi.?
Answer: 1: Agar bivi apna haq meher apnay shohar ko maaf ker day tu phir shohar per wajib nahi hay k wo apni bivi ko huq meher ki raqam ada karay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#3, maslah#318 ). 2: Talaq e khula me aurat ko raqam Is liye ada karni hoti hai ke agar shohar talaq dene par raazi nah ho tu os ko raqam day kar khula per raazi kia jasakta hai, Q keh Talaq ka haq shohar k paas hota hay. Haan agar shohar talaq apni marzi de raha hai to baghair raqam wusool kiye talaq de sakta hai.(Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah seestani edition#41, maslah #2492) [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam agga sahab. Kya biwi nikah mai hoty huy apny shohar se apna haq talab kr sakti hy?
Answer: Jee, huq mahr aurat ka huq hay wo apne huq ka mutaalbah kar sakti hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#306, eidition 1439). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Talaq k bad mard ko haq mehr b biwi ko wapis dena hota ha jitna nikkah k waqt mard biwi ko deta ha agr nikkah k waqt biwi ko shohar ny 5000 haq mehr diya ha to talaq k bad 5000 e phir dy ha
Answer: Agar nikah k baad mukammal haq mehr ada kar dia tha tu talaq k baad dobara mehr daina wajib nahi hay. (Ref: minhajus saliheen, ayatullah sistani, maslah#286) [Updated on 18-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qibla Mera nikah hoa tha aur ab rukhsati say pehlay divorce ho rahe hai to Kya mujhay haq mehar pora daina hoga barai meharbani rehnumai ker diye
Answer: Agar hambistri say pehly talaq ho jaey to is halat men mahr ka nisf (half) biwi ko dena hota hay agar pehly hi poora mahr day chuky hen to bivi ko chahiay k nisf (half) mahr wapis day. (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Seestani (d.b), part #03, Maslah #309). [Updated on 27-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]