Question: Aoa, sawal hai k main europe gya hu wahan py mujhy contract marriage krni pari jab k main pakistan main pehly say shadi shuda hu ab jo europe wali larki hai woh sex k liye majboor krti hai aur main kafi bar us k sath sub kuch kr chuka hu...to kiya yeh zina hai kyun k woh non-muslium hai.
Answer:
Question: Asslam u alikum, mai poochna chahta hoon jaisy kay mai nay kuch karachi ke imam bargaho kay pumphlits waghera deakhy hain jis mai baakira(kunwari) larkiyo ko dawat di jati hai ijtemai mutta ke or unka kunwara pan khtn karwaya jata hai? mai ahl e tashi nahe hoon par mai ek ahl e tashi sai shadi kar raha hoon uske taraf sai bhe mujhy koe khaas acha jwb nhe mila, kia aap log waqai esa karty hain? agar karty hain to q? ham sab muslman hain yeh to zina hai? mery kuch dost bhe or mai nay bhe jo research ke hai usky mutabiq yeh sab taqiya kar k chupaya jata hai? mai boht pareshan hoon mere madad karain..Ham sab muslim hain , kia sab shia girls yeh ghadeer or ashoora mai karti hain?
Answer:
Question: Asslam u alikum, muhtaram mai nay mutta sai related sawal pucha tha aap nay mujhy jawab diya MA SHA ALLAH ap apny aqeeday kay lihaz sai durust hain , Huzoor ek pal ko sochain ek larki nay 100 mardo sai muta kiya ho phr woh kisi ke peramnent bv bany to kia insani zameer ijazat day ga? Mutta ka concept ghazwat mai tha jo 6 maheeny sai bhe ziada chalty thy gali muhally kay tarsy hoye larki larko kay liye nahe, second ap nay ashoora ka jawab diya kay ashoora mai imam bargaho mai esa nhe hota mai agree karta hoon q kay woh IMAM HUSSAIN (R.A) ke shahadat hai islam ke tareekh ka siyah baab hai, par karachi kay he ek zaakir ka dawat nama tha mery paas ijtemai muttah kay liye dawat di ja rahe the woh bhe ek he jagah par or woh bhe kunwari larkiyo ko, Ashora mai esa krna to dusrust hai bhe nahe ap mujhy sath sath yeh bhe btayen kay ghadeer mai raat ko hota hai phr esa agar ahsora mai nhe hota to? ghadeer to jashan hota hai na? to hamary area ke girls ghadeer ke raat ko imam bargah jaty hoye q kehti hain khushi sai aaj to woh raat hai Etc. Muhtaram mai koe firqa waariyat nahe khail raha par mera zameer mujhy malamat karta hai or mai boht pareshan hoon q kay mere shadi us sai honi hai jo ek asna e ashri shia girl hai or har haal mai us sai honi hai. Shukria jawab ka intezar karun ga
Answer:
Question: aik mard ne aik larki se mutah kya aur muddat 2 saal rakhi likin kuch wujuhaat ki wajah se 1 month me mard ko muddat bakshni pari, ab is me larki k lie iddat k kya masail hai? aur kya ye ye mard aur larki dubara mutah kar skhte hai? rujuh k kya masail laagu hunge is situation per
Answer:
Question: Mene ik larki se mutah kya. Kuch waqt baad kuch wujuhaat ko wajah se mene use hosh O hawas me 3 martaba kaha "me tumhe muddat bakhshta hun" us din 20 March 2016 taqreeban 5 bje the. Hm ne Hum bistri nhi ki or Hm ne shart rakhi thi k Hm koi physical relation nhi rakhenge or aesa ho kya. Ab Hm chahte ha k Hm phr se mutah Karlen. To kya Hm dubara mutah kr sakhte ha? Larki ko 2 baar haiz nhi hua ha.
Answer:
Question: Agr Larki Parents ki Ijazat k baghair mutah kr chuki ho tou yeh Gunnah hai? Jaise k mene mndrja zail jawabat mein parha k agr larki khud mukhtar ho.. Khud mukhtar honay se kya muraad hai? Aur agr mutah Walid ki ijazat k baghair krliya jaye tou? Agr Walid aese hon k woh bacho ko support nahi karte.. Bachpn se ley kr aj tk un ho ne koi Walid waala farz na nibhaya ho.. Aese walid ki ijazat k baghair mutah kara jaye tou jaiz hai.. Aur agr krliya ho tou na jaiz hai? Please thora explain kr kr k bta deyn
Answer:
Question: ma nay kuch saal pehlay muttah keya tha aik baiwa say, in salo may kahi bar mujh say mutah may wo ghalateya ho gai jo nhi honi cheya the or us ghalateyo ki wajha say mutah toota or phir kr leya. mujhay nhi pata is may zinah hua yah nhi. pr agar is may koi bhe zina k ansar ha to ma us zina k against us ki talafi is dunyah may krna chahta ho. mujhay muafi k ilawa is ki saza bataya. ma ghair shadi shuda ho.
Answer:
Question: Aik larkay ne aik larki se mutah kya aur kuch waqt baad inho ne aik dusre ko muddat khatam hune se pehle baksh di. kuch waqt baad inhen pata chala k jo mutah inho ne kya tha wo ghalat hai q k inho ne larki k walid se ijazat nhe li thi. to is mutah k baray me kya kaha jayega. kya wo mutah huwa tha? kya larki ko iddat puri karni hugi? kya larka larki shaadi kar skhte hai? shart rakhi gye thi k hm bistari nhe karege, hm ne mutah is lie kya tha k batein kare to gunah na mile.
Answer:
Question: 1.mutah ka zayada sy zayada period kitna ha mai ny 5- years parha ha net pay? 2. and mutah mai childrens paida karna lazmi ha ya childrens na be paida karain to theak ha? 3. mutah agar divorced larki sy keya jai to phr us larki ho kis ki ejazat ke zarorat hoti ha?
Answer:
Question: mai ek Hindu ladki hun meri age 28 hai,or ek shia ladke se nikah karna chahti hun, ham mutha par k 3 saal se uske sath reh rahi hun, or puri tarah Islam ko maan chuki or 5 waqt ki namaz parti hun, lekin us ladke k ghar waalo ne jabardasti 3 mahine pahle shadi karva di ,uski mammy ki tbyt kharab ho gai thi,isly mere saamne uski shadi ho gai,or usne mana kiya shadi k liye tb bhi koi nahi mana,jis ladki se uski shadi hui hai usko bhi usne bta diya tha ki usko shadi nahi karna h use, ladke ne kisi ko dhoka nahi diya hai, or ham hamare ghar waalo ko bta nahi skte hai, ager bta dete to WO log hame alag kar dete, jis ladki se shadi hui hai ladke ki WO uske sath nahi rhna chahta hai na usko marzi hai na dil hai,WO shadi k baad bhi mere sath he reh raha hai, or mai mutha par chuki hun or abhi pregnant hun, or nikah karna chahti hun, lekin mere maa baap tyar nahi honge , kya mai nikah kar skti hun. or ladka us ladki se alag hona chahta hai, wah kis tarah ho skta hai ? ab mai bhi dil se syed shia ho chuki hun. mai Allah ko maanti hun, ab mai kya karu, maa baap ka dil dukha nahi skte ham, isle ladke ne shadi kar li.iska koi rasta bataiye plz..
Answer: