Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 461
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA, I want to do MUTTA with my colleague office girl who is shia. We both are agree on this. I just want to ask that is there any restriction in our shria to do this actShall we do this again. Please reply. Wasalam.

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 464
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya aik hi larki se bar bar muta kia ja sakta hai.

Answer: Jee haan , jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2396). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 468
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: What is the difference between Mutta and Zina, how one can discriminate between the two?

Answer: Muta Quran or hadees ki roshni men nikah ki qism hai, Or is k zariye mard or aurat ek dusre per halal hojate hen, Or Zina aik haram kaam hay or gunah e kabira hay. Jo faraq nikah or zina main hay wohi faraq muta or zina main hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # Brfore the masla # 2328, First paragraph or Nikah k Ahkam). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 494
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar larki divorcee ho,uska aik beta hai par rehti hai apne maa baap ke ghar par..usske maa baap usska n usske bete ka kharcha chala rahe hai..toh kya woh bigair ijazat mutaa kar sakti hai?

Answer: Jee haan is aurat ko Muta kerne k liay kisi se ijazat lena zaruri nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-42). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 513
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, kia husband biwi ki ijazat ke baghair ghair mulk me ahle kitab orat se mutah kar sakta he?biwi ki ijazat zarori nahi?

Answer: Jee nahi Musalman biwi k hote hue mard ehle kitab aurat se muta nahi ker sakta Hatta k agar musalman biwi ijazat bhi dede tab bhi ehtiyat e wajib ki bina per ehl e kitab aurat se muta nahi kiya ja sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 554
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Non virgin larki kya father ki permission k bagair muta kar sakti hai?

Answer: Jee nahi Jaiz nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 557
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can we do muttah for 1 hour?

Answer: Yes, You Can do mutta for 1 hour. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah # after masla # 2372 in the paragraph of Nikah k Ahkam). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 576
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: plz tell me what is the basic meaning of mutta?

Answer: Is lafz ki asal matlab “Faaida uthana”.(Rasool Akram(s.a.w.w) k zamane men ye lafz Us nikah k liye Bola jata tha jo kuch Muddat k liay kiya jata tha).( Ref : Lughat-e-Arab, Book : Almunjid, Pg # 945). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 584
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir can any shia girl perform mutha with sunni boy

Answer: Jab tak Sunni larka ya larki Nikah e Muta k Sharee hone ka aqeeda na rakhen tab tak kisi sunni larke ya larki k liye Nikah e muta waqe nahi hoga.(yani sahi nahi hoga).(Ref:Mafhoom e Email.Rcvd from A.Sistani.org, dated:27.03.11). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 602
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mera sawal ye hai k faqat Sexual Desire k liye Mutah kia jasakta hai???

Answer: Jee haan.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!