Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 23
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: what is mutta ?

Answer: Muta Quran or hadees ki roshni men nikah ki ek qism hai, Or is k zariye mard or orat ek dusre per halal hojate hen, Muta ek aysa nikah hai jis men izdiwaj (shadi) ki muddat moayyan ho, misaal k taur per orat k sath ek ghante ya ek din ya ek mahine ya ek saal ya is se ziyada wqt k liye nikah kiya jaey.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # Brfore the masla # 2328, First paragraph or Nikah k Ahkam). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 60
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam aga sahab please mujhay MUTTA kay baray main sharait batadain , lerkay or lerki donon kay father ki ijazat zurori hay wagaira wagaira

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 179
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya syed larki ghair syed larkay se shadi karsakti hai ??????

Answer: Jaiz hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 221, Eidition 1417 hij). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 193
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia syed virgin girl muta ker sakthi hai ak non syed boy say plz reply me on my mailing address i will be very thankful to u Allah hafiz

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 194
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, my question is "Is it allowed to do a muttah with such a female who is already married & still in nikah of her husband.. what are the types of females with whom muttah is haram?" Thanks

Answer: It is not allowed to do a muttah with such a female who is married and still in nikah of her husband. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 213
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia shadi ki raat photo session ker ne lia aik din ka muta kia ja sakta hai nikah honay se pehlay?

Answer: 1)Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) 2) Nikah e daimi se pehle agar muta ki muddat baqi ho tu shohar muta ki muddat baksh ker hi nikah daimi ker sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2396). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 219
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.o.a janab kia ak girl jis kay father aur grand father zinda na hoo apni merzi say mutha ker sakthi hai? thanks allah hafiz

Answer: Jaiz hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-2374). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 225
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.o.a janab mera sawal hai kay kia syed shia lerki(virgin) ak non syed boy say mutha ker sakthi hai?ager aus ko zina ka der ho tho

Answer: 1-Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) 2- Syeda shia aurat ka nikah daimi (ya nikah e muta) ghair syed shia merd k saath hosakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 244
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA muje muta kerna hai is ki kya condition hai aur muta k lyah kis say contact keray

Answer: Nikah e Muttah ki sharayet me hain ke. 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha. 2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar khud apne liye parh raha ho to baligh bhi hona zurari hai, 3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad ker rahe hen) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335) 4. Nikah Mutta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaey. 5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #2379). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 279
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam u alaikum, i m 39 yr old married and have female friend of 40 yr she is divorced and she become my friend can i do muta with her

Answer: yes, you can.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-42). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!