Question: I AM MUQALIDA OF AAYAT-UL-ALLAH KHUI MY QUESTION IS AURAT MARD KE KONSE AAZA(BODY)DIKH SAKTI HAI BAGEER KISI LAZAT KE TV ME AUR PICTURE {TASVEER} ME.
Answer: w salaam, We are extremely sorry for the very late reply. This was because of some site functional probelems. We will try our best for the quick responce later, Insha allah. Aurat ka na-mehram key chehray (face), hathoon (hands), sar aur gurden (neck), legs ka lazzat key bagair daikhna jayez hay, agar-che behtar hay keh aisa na kiya jaye. Lazzat key saath in aaza ko daikhna ehtiyaat kee bina par haram hay. Ref: Tawzeeh ul Masail, Masla No. 2442
Question: Salamulikum I just wana ask. The order of Islam in friendship with Na-Mehram (Girls).
Answer: W salam Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia.Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Agha Sistani
Question: Salamulikum I just wana ask. The order of Islam in friendship with Na-Mehram (Girls).
Answer: W salam Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia.Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Agha Sistani
Question: Salaam Alaykum, Kya koi aurat lazat ke qasad ke bagair tv ke drame ya koi aur program dekh sakti hai jab ke aksar aukaat koi aisa scene aa jata hai jis me na-mehram ka shoulder ya girebaan wagaira khula ho ?
Answer: Salam-un-alaikum, Ahtiat-e-Wajib ki bina par aurat ka Na-Mehram key chehrey hathon ,sar aur gardan aur pairon key ilawa baqi badan par lazzat key qasd key baghair bhi nigah dalna haram hai. Ref: Tauzeeh Aqa-e-Khoi Prob no 2442
Question: salaam, TV ke programs me na-mehram ka achanak agar aisa scene aajaye jis me shoulder wagaira khulein ho to lazat ke bagair nazar karne ke bare me kya hukam hai ?
Answer: Salam un alaikum, Agar lazzat ka qasd na ho aur haraam mein mubtala honay ka khauf na ho to koi ishkaal (haraj) nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2443
Question: internet per nangi larkyon ko luzzut ki nazar se dekhna kaisa hai?(i m girl)
Answer: Salam un alaikum, Aisa karna haraam hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2447
Question: Kia internet per barehna larkiyon ki tasaveer ko lazzat ki nazar se dekhna haraam hai?
Answer: Salam-un-Alaikum, Mazkoora soorat mai nazar karna "Haram" hia. Ref: Tauzeeh ul masail Aqai Sistani Prob no 2442
Question: salam;internet per nangi larkiyon ko lazzat ki nigah se dekhna kaisa hai??(i m girl).....thanx
Answer: Salam un alaikum, Aisa karna haraam hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2442
Question: assalamu-e-laikum wahrehmat ullah janab aleem saab ek sawal hai aurat ku ghalat nazar se dekhna gunma hai to kya aurat agar mard admi ko dekhe to gunah hai ya nahi?
Answer: Salam un alaikum Aurat k lie na mehram Mard par Lazzat kay qasd sey nigah dalna Haram hai jabke lazzat kay qasd k bagair un hisso par nazar dale jinhe aam tor par chupana zaroori nahi masalan (sar,dono hath etc)to to aisa karna Jaiz hai magar in hisso kay ilawa baqi jism par nigah dalna Haram hai. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 2392
Question: agar kisi aurat ko dekh kar shehwat bedar hone lage tu yeh haram hain kia?
Answer: bismehi taala, mard k liye na-maheram aurat ka jism dekhna aur isi tarah us k balo ko dekhna khwah lazzat k irade se ho ya is k bagair, haram me mubtela hone ka khouf ho ya na ho haram he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2442)