Question: mera sawal hai. kya shadi se pahile biwi se phone per baat kar ya mulakat kar sahi. pls. answer me. khuda hafiz
Answer: Agar darmiyaan me koe aisi baat nah ki jaay jo aik musalman k shaya nay shan nahi hein to koe haraj nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4 ques # 124 pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia facebook use karna jaiz hai? specially jab ke pichle dinon facebook par draw MUHAMMAD(PBUH) competition karwaya gya tha?
Answer: Agar is wajah se fasaad ka khof ho to jaiz nahi he. Agar baat cheet hidayat aur saleh kalam par mushtamil ho jab ke haram mein parnay ka kauf bhi na ho to koi haraj nahi. REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 3, ques no: 139. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: MEIN JUB B KISI LARKI KO GOR SE DEKTA HUN TO CHAND MINUTES K BAD MERE MONEY K KATREY BAH JAATEY HAIN ESE Q HOTA HAI MERE SATH,,,AUR IS KE ILLAAJ BATAIYE...
Answer: Faqha e karam is baat ki tasreeh kartein hein k shak aur lazzat ki niyat se auratoon ko dekhna haram he aur lazzat ki nigah ka matlab ye he k un ki taraf shewat se dekha jey aur shak ki nigah ka matlab ye he k fal e haram me mubtila hone ka khof ho. (ref : jaded faqhi masayl masla # , 458 pg # 253)
Question: salam-0-Alikum mera sawle ya hai k meri shadi kisi aur se ho rehi hai aur main kisi aur ko pasnde karta hun to mujhe kya karna chahiya.....plz jald se jald jawab dein
Answer: Ans :1) Jo lerki had e baloog ko pounch chuki ho aur rasheeda(samaghdar) ho yani apni bhalai burai jaan sakhti ho agar wo shadi karna chahay aur kanwari ho to ethiat e wajib ki bina per ise chahiay k apnay baap(father) ya dada se ijezat lay. 2)Nikah ki shaara’it me say aik shart ye he k, Aurat aur mard shadi per razi hoon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha khoei (r.h.) masla # 2385 , 2379). 3) Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76. 2).
Question: kya 1 un married larki ka khayalon me sex ka sochna gunah ha? or shadi k liye jo hum wazifa karen to us me periods k din ka gap de k perh sakte han? plz answer me through email soon.
Answer: 1) Agar mani niklnay ka sabab nah bane to ethiat e mustahib he k is kaam ko tark kar dia jay(yani ye kaam haram nahi hay magar behter hay k is kaam ko terk kiaya jaay). (ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 199, pg # 82) 2) Haiz ki halat me sajde wali 4 ayaat ki tilawat haram hay. (yaani aap sure muzammil ki tilawat ko haiz ki halt me bhi jari rakh sakate hain albatta yeh khayal karna hoga k haath qurane majeed k alfaz par nah lagain q k haiz ki halat main quran ki ayaat ko chona haram hay) (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 448,467)
Question: kyaa mangetar kay hotay howay hum kisi doost say paak dil say dosti rakh sakty hain ??????
Answer: kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 )
Question: Assalamualaikum, Agar kisi ladke ko koi ladki pasand ajaye usse mohabbat hojaye to us ladke ko kya karna chahiye... Islam me mohabbat ka izhar kis tarha karna jayez hai...
Answer: kisi bhi ghair ekhteri amal per shariat koi hukum nahi lagati laikin yaad rahey k shariat kisi bhi aisay irtebat ya mulaqaat ki ijazat nahi deti jo in’hain haram ki taraf le janey wala ho. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya islam mein mohabbat ki shadi krna jaiz hai?
Answer: kisi bhi ghair ekhteri amal per shariat koi hukum nahi lagati laikin yaad rahey k shariat kisi bhi aisay irtebat ya mulaqaat ki ijazat nahi deti jo in’hain haram ki taraf le janey wala ho. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam alaikum, Hazrath, kya unmarried girl married discussion parh sakti ha ya nhi. meri umer 22 year ha. for example http://www.noorclinic.com/, or http://www.faizaneattar.net/ pa jo question and answer ha wo parna jaiz ha ya nhiii.
Answer: ager shehwat ko ubaarne ka baais bane to in ka perna jaaiz nahi hai.(Ref:sawalaat or jawaabaat,tabaa 1,masala # 85, pg # 60, ALLAH ap ki toofeeq main izafa farmaae).
Question: kya aurat apni sharmga apne shohar ki maujudgi mein kisi mard doctor ko ilaj k liye dika sakti hai jb k city mein lady doctor na ho aur agar aurat ka khatna karna wajib hai to us ki kaunsi khaal katti jaye
Answer: Ager ilaj dikhne ke bageer momkin na ho or ilaj na-hone ki sorat main na-qabil-bardaasht takleef hoti ho to jaiz hai.(Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 361 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).