Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nigah Daalne Ke Ahkam ( 83 Questions)


Id: 3394
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASALA,UA,ALIKUM MERA SAWAL AGR BIWI APNY HUSBAND SE DOOR HO AUR VIDEO PE APNE WIFE KI BREST, AUR VERGINA KO DAIKHNA GUNAHH HAI

Answer: Mian biwi aik doosray ka pora badan dekh saktay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2400) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3487
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mjhe yea pochna tha . . .aj har jagha co-education system hai t0u kisi bhi larki say hath milana , baat krna chahey woh studies say hi realted kiun na ho , larkiy0un say dosti krna , ya love krna jaiz hai ?

Answer: 1) Co education mai agar gunnah aaloud nigahoo ka tabadla nah ho aur haram may mubtila honay ka khoof nah ho to koe haraj nahi laikin is k bawajood ye masla is laiq hay k islami mumalik k zimaydaar afraad larkoo aur larkioon k liae alag alag taleemi idaray bananay k lye mansooba bandi karain. (Ref : nigah aur libaas ques # 92 pg # 63) 2) Na-mehram aurat k sath hath milana haram hai, chahaay lazzat k iraday k sath ho ya is k bagair. (Ref : nigah aur libaas ques # 110 pg # 70) 3) Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3524
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya hum sharmgaah dekh sakte hai?

Answer: 1-Kisi bhi insaan k liay jaiz nahi hay k wo kisi dosray mehram ya namehram ki sharamgaah ki janib nighah karay hatta k merd ka merd ki sharamgaah ki janib nighah kerna jaiz nahi hay isi terah aurat ka aurat ki sharamgaah ki janib nighah kerna jaiz nahi hay. kafir or mumayyaz bachay ki sharamgaah ki janib nigah kerna ehtiyaat e lazim ki bina per haram hay.jab k ghair e mumayyaz bachah or bachi ki sharamgaah per nigha daalna baghair e lazzat or haram main mubtila hone k khoof k baghair jaiz hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaajus saliheen,part#3 maslah # 12,25) 2-Shohar or bivi k liay jaiz hay k wo aik dosray k tamaam jism ko daikh saktay hain,or isi terah aik dosray k jism k tamaam hisso(parts) ko jism k kisi bhi hissay(part) say choo(touch) saktay hain.ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat k, jaiz hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen,maslah #11). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3551
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aik Aurat ka kisi na Mehram say Rabta woh bhi family say chup ky jaiz ha???

Answer: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3552
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya insan kisi na mehram larki ko apni behan bana skta ha??

Answer: Jee nahi. Moonh boli behen Na-mehram aurat k hukum main hi rehti hay.or inka apas main baat cheez kerna or milna agar haram main mubtila hone k khoof k saath ho tu inka apas main milna or baat kerna jaiz nahi hoga. (Ref: E-mail Rcvd from A.sistani(d.b) dated: Mon, Jul 4, 2011)

Id: 3562
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir salam main ek larki se piyar karta houn mujh ko maloom nh wo piyar karti hai ya nh ap mujh ko aisi dua batain wo mujh se piyar Karene lage plz

Answer: Kisi namehram say mohabbat krna jaiz nahi hay q k ghunah may parhnay ka khof mojood hay. Ref : Website ayatollah sistani d.b. ques no 10 topic internet, http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1739&page=1&perpage=10)

Id: 3570
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slam plz tell me tv daikhna ksa amal ha?

Answer: TV drama dekhna lazzat k baghair jaiz hay laikin agar TV dramay main kaam karnay wali na-mehram khawateen k jism k wo hissay jo aam taur se chupay hotay hain,dikhai dain ,ya dekhnay wala shehwat k saath dekhay ya is k Haram main perhnay ka khouf ho to phir inhain dekhna Jaiz nahi hay.(Ref: Istiftaat A.Sistani I-30.). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)

Id: 3619
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri mangni hui hui hai aur mai ye pochna chahti ho k kia mangetar say call par ya msg par bat krna thek hai ya nahi....??

Answer: If there is no such a fear that you might fall into a sin, there would be no problem.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=616687&id=1257). Translation: Agar haram main mubtila hone ka koe khoof nah ho, tu phir koe haraj nahi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3644
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is upper lip hair removal allowed in islam

Answer: Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein. Cheray k baal saaf kerne or abroon ko sedha kerne se chehray ko zahir kerna mana nahi hojata hay,is shart k saath k haram kaam main mutbila nah ho or cheray ko zahirr kerne ka maqsad bhi ye nah ho k os par na-mehram merd ki nazar perhay.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masa,il, maslah#524). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3659
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aga sistani ke masle me aurat ko pura face cover karne ki jaroorat nahi hai to kya aurat color contact lence pahen sakti hai ? kya eyebrow ya eye shade karwa sakti hai ? agar na maheram attract ho to is surat me kya masla hai plz ans

Answer: 1-Aurat na-mehram merd k saamnay chehra or kalaiyo tak haath kholay rakh sakti hay. Laikin agar haram main mubtila hone ka khoof ho ya kisi merd ko(haath or chehra) dikhana haram main mubtila kerne k iraday se ho tu in dono soorto main in ko chupana wajib hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2399) . 2-Cheray k baal saaf kerne or abroon ko sedha kerne se chehray ko zahir kerna mana nahi hojata hay,is shart k saath k haram kaam main mutibla nah ho or cheray ko zahir kerne ka maqsad bhi ye nah ho k os par na-mehram merd ki nazar perhay.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masa,il, maslah#524). 3-Color lens agar zeenat main shumaar hota ho tu os ko na-mehram k saamne zahir kerna jaiz nahi hoga(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),jadeed fiqhi masa,il, maslah #532).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!