Question: Assalamualaikum Muj sy Quran Pak utha k Kuch bty Pocho gai Han Jo shak k hawaly sy thi kch suchi thi lkn jhut b thi ...is tra is k kaffara Kesy ada huga ...plzz Mujy bta den...
Answer: Agr Quran e Majeed ki jhoti qasam khai jae to Gunehgar hai lekin kaffara nhi hai.. Parwardigar se sidq e dil se taubah ki jae vo gunaho ko bakshne wala hai.( Tuizi masail ,aqa sistani ,masla no:2632,2633,2637) [Updated on 18-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya Dil mein kahnaye se qasam Hoti hai
Answer: Aisi qasam durust nahin hai Q ke qasam ke alfaz zaban se ada karna zaroori hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634). [Updated on 01-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam.myra sawal ye hai.k agar koe qasam uthay k wo apny mangytar sy bat nhe kary ge.lykin bad main us ko qasam torne par jay.to is ka kia qafara hai?
Answer: Agar koi shaks shih alfaaz k sath qasam khae or jaanbojh kr apni qasam pr amal na kre to vo gunehgar hai aur zarori hai k das faqeero ko pait bhar k khana khilae ya unhe libas de or agar na krskta ho to zarori hai k 3 din musalsal roza rkhe.. Lkn agar koi shaks galati se ya majbori ya ghaflat ki waja se apni qasam pe amal na kre to uss pr kaffara wajib nhi.. (Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2632,2636) [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera question ye ha agr meinny gussay mein jazabati ho kr quran ki ksm khali ha ky mein ya kam nhi kru gi Kia mein apni qasam wapis ly skti hu?
Answer: Agar qasam gusse me jaqzbati ho kr khai gai hai to yh qasam shumar nh hoti or aisi qasam ko pora na krne se kaffara bhi lazim nh ata (Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2634) [Updated on 17-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mara question ya h ky agr mangater quran e pak py hath rakhwy ky tum kbi mujy choro gi ni to or lrki hath rakh ky kh dy ky kbi ni choro gi bad ma asy halat pada ho jy ky mngni toot jy is ka kua hal h???
Answer: NULL
Question: A.O.A ma na apni maa sa un ka samny qasam khai thi ka ma ab wo kaam nhi karon ga but ma out of control hon or ma wo kaam karna chahta hon to is ka kia hal ha? ager wo qasam tut gaye to kia hoga?
Answer: Jab koi shakhs qasam khaye ke falan kam anjam dega ya tark karay ga. maslan qasam khaye ke roza rakhe ga ya tambakoo istemal nahin karay ga, to is Qasam ki chand sharaait hain: 1: Qasam khane wala balig or aaqil ho isi tarah apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye. 2: Jis kam ki qasam khayei jaye zaroori hai ke wo Haram or makrooh na ho. 3: Allah ke namon me se kisi aisa naam ki qasam khayei jaye jo us zaat ke siwa kisi aur ke liye istemal na hota ho. 4: Qasam ke alfaz zaban par laye. 5: Qasam khane wale ke liye us qasam par amal karna bhi mumkin ho. (Note: In sharaait ko madde nazar rakhte hue aap ki qasam durust nahin hai, aap is qasam ki mukhalifat kar sakte hain aur ghunahgar nahin hon gay aur kaffara bhi nahin aaye ga Q ke aap ne Allah ke liye qasam nahin khayei jabke sharaei qasam wo hai jab Allah taala ka maan liya jaye aur doosri baat ye ke is qasam par amal karna mumkin nahin hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634). [Updated on 17-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aik shaks nay apna aap say kaha keh mari job jis shaks ki waja say howi hai mein us ko apni pay hamesh dayni ki mannat manta hoon . Kya yeh mannt hai .kaya is par kaffara dayna paray ga?
Answer: Jo nazar (mannat) sirf Allah ke liye maani jaye to wo sahi hoti hai aur us ke mutabiq amal karna zaroori hota hai lekin jo nazar (mannat) apne liye ya kisi aur ke liye maani jaye wo sahi nahin hoti hai aur par amal karna bhi zaroori nahin hai, aur kaffara bhi lazim nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2603,2604). [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aqar koi msg type kar k apko qasam dain k yai baat kisi ko nahi batani aur ap kisi ko bata dain to iska kaffar hoga?
Answer:
Question: Kya cigarette na pene par Quran pe hath rake kar wada kia ho or wada na poora ho sake to Gunnah hai?
Answer:
Question: Me ne quraan p hath rakh kr qsm khai bhai or baap k samnay k mery pas mobile ni h..or ye b kaha k agr ho to Allah mujhe gharq kry.jb k mob mery pas h
Answer: