Question: Agr ham Allah se kia hua waada na nibha saken aur torden aur uska 60 rozon wala kaffara bh ada na karsaken magr toba o astgfar kren tow kia isse gunah maaf hoga?
Answer: 1: Agar aap ne Allah se wada karte waqt (niyat aur dil se nahin) balke zaban se is tarah ka jumla kaha tha ke “Men Allah se Ahad karta hon” to is ahad par amal karna zaroori hai aur amal na karne ki surat men aap gunahgar hoge or kaffara dena zaroori hoga. Lekin agar aap ne zaban is tarah ka jumla ada nahin kiya to aap par shareeat ki janib se koi hukum nahin. 2: Pehli surat me apne waaday par amal nah karne ka kaffara ye hai ke 60 faqeeron ko pait bhar kar khana khilaya jaye ya 2 mahine musalsal roze rakhe jayen ya aik ghulam aazad kiya jaye. Lekin agar insaan kaffare me in teeno cheezon me se kisi aik ko bhi anjam dene ki qudrat na rakhta ho to zaroori hai 18 roze rakhe jayen aur ehtiyat e mustahab (yani behtar) hai ke aik baad aik bager faasle ke rakhe jayen, aur agar 18 roze bhi nah rakh sakta ho to zaroori hai istighfaar kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2631,2632. + Tauzeeh ul Masail Jaame, Part #2, Edition #1443, Maslah #1126). [Updated on 05-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kisi ko marhoom walid ki qasam dena par wo insan qasam tod de to iska koi kaffara hai?
Answer: Qasam ke sahi hone ke liye ye shart ye hai ke qasam apne iraday aur ikhtiyar se apne liye khayei jaye lekin jo qasam kisi dusre ko di jaye wo sharaei qasam nahin kehlaye gi aur koi ghunah aur kaffara nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634). [Updated on 10-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Mera sawal ye ha ka ma ne jazbat ma a ke gusse ma Quran p hath rkh k y qasam khai thi ka ma aik bande SE kbhi bt nai kru gi lekin ab mujhe se us bande SE bt keya bagar guzara nai ho rha tu Kya ma usse bt kr skti hua ab?
Answer: 1: Qasam ki chand shartein hain, aur qasam khaate waqt un pabandi karna zaroori hai warna qasam durust nahin hogi, aur jab durust nah ho to sharaei taur par koi zimme daari bhi nahin aaye gi. 2: Qasam ki sharaait: 1. Qasam khane wala baalig or aaqil ho or apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye. lehaza jo qasam jazbaat aur ghusse me khaai jaaye wo durust nahin. 2. Qasam khane wala jis kam ki qasam khayei jaye zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho. lehaza haram ya makrooh kam ki qasam khana durust nahin. 3. Qasam khane wala qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or ke liye istemal na hota ho. 4. Qasam khane wala qasam ke alfaaz zaban par laye. lehaza agar qasam ke alfaaz zaban par na laye aur dil hi dil me qasam khaye to ye qasam durust nahin. 5. Us qasam par amal karna mumkin ho. lehaza agar aisi qasam khaye k jis par amal karna mumkin hi na ho to wo qasam durust nahin. 3: Albatta aap aik sharaei masaleh ki mutawajjeh kiya jata hai ke Na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho. Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimmedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66). [Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa, Sir ma ny Quran pr hath rak kr apni mother sy qasam khai ky ma cigrete nhi peonga pr ma majbor hun apni addat say koi asaan sa tarika bta dain qasam wapas lainy ka
Answer: Jab koi shakhs qasam khaye ke falan kam anjam dega ya tark karay ga. maslan qasam khaye ke roza rakhe ga ya tambakoo istemal nahin karay ga, Is Qasam ki chand sharaait hain: 1: Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye. 2: jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho. 3: Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho. 4: qasam ke alfaz zaban par laye. 5: Us qasam par amal karna bhi mumkin ho. (Note: In sharaait (khaas taur par shart 3 aur 5) ko madde nazar rakhte hue aap ki qasam durust nahin hai, aap is qasam ki mukhalifat kar sakte hain aur ghunahgar nahin hon gay aur kaffara bhi nahin aaye ga Q ke aap ne quran pe hath rakh ke qasam khayei hai jabke sharaei qasam wo hai jab Allah taala ka maan liya jaye aur doosri baat ye ke is qasam par amal karna mumkin nahin hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634). [Updated on 14-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi admi alam PE hath Rakh k Kisi kaam ko na karny ki qasam khaye k nahi karonga or Kuch Saalon k baad dobara kar lay tu Kiya hukum hai
Answer: Jab koi shakhs qasam khaye ke falan kam anjam dega ya falan kam tark karay ga to is qasam ki chand sharaait hain: 1: Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye. 2: jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho. 3: Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho. 4: qasam ke alfaz zaban par laye. 5: Us qasam par amal karna bhi mumkin ho. (Note: In sharaait (khaas taur par shart 3) ko madde nazar rakhte hue aap ki qasam durust nahin hai, aap is qasam ki mukhalifat kar sakte hain aur ghunahgar nahin hon gay aur kaffara bhi nahin aaye ga Q ke aap ne Allah ke naam ki qasam nahin khaayei balke alam pe hath rakh ke qasam khayei hai jabke sharaei qasam wo hai jab Allah taala ka maan liya jaye). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634). [Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr Bv apko Quran Jholi mn rakh kr wasta day k is Quran e Pak ka wast Dosri shadi ni kro gay To isk liay kia hukam hy...? Ya ye kahay k Fulan ko chor do or us say Shadi ni kro gay..
Answer: Shohar agar ko is tarah ka waasta diya jaye to shohar par is pe amal karna zaroori nahin hai. Han, agar shohar Quran ke ehteraan ki khaatir biwi ke is tarah kehne par amal kare to kar sakta hai ye aik alag baat hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634). [Updated on 15-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Allah say Wada torny ka kaffara Lkn hamy ye yard nhi ky Wada kerty hua Kia alfaz Kahy thy is pr Kia kaffara Ho ga
Answer: Sharaei wada(ahad) ye hai ke jab koi shakhs Allah se ahad kare ke jab uski koi muayyen sharaei hajat poori ho jayegi to wo fulan kam karega. Albatta ahad men seegha parhna zaroori hai. aur isi tarah is par amal na karne ki soorat men kaffara bhi dena zaroori hoga aur is ka kaffara ka ye hai ke 60 faqeeron ko pet bhar kar khana khilaye ya phir 2 mahine musalsal roze rakhe jayen. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2630,2631,2632). [Updated on 01-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wada Krny ki sharite Jin ki bina pay Wada kiya jay
Answer: Sharaei ahad (jo Allah se kiya jata hai) ki chand sharait hain. 1. Jo shakhs Allah se ahad kare, zaroori hai ke ahad ke alfaaz zaban se ada kare maslan is tarah se ke allah se ahad kare ke jab uski koi muayyan sharaei hajat pooiri ho jaye gi to wo fulan kam karega. faqat dil me niyat kar lene se wo kaam karna wajib nahin hota. 2: Ahad karne wale ke liye zaroori hai ke Baalig, aur Aaqil ho aur apne ikhtiyar aur irade se ahad kare. 3: Ahad me ye zaroori nahin hai keh jis kaam ka ahad kiya jaye woh sharaei taur par acha ho balke is qadr kaafi hai ke shareat me is kaam se na roka gaya ho aur uqala ke nazdeek ba maqsad qarara paaye, lekin aap ne Allah se jo ahad kiya hai wo kaam to sharaei taur par acha bhi nahin hai aur nah hi uqala ke nazdeek ba maqsad hai. 4: Jab koi shakhs Allah se ahad kare aur jaan bhooj kar us ki mukhalifat kare to phir kaffara dena wajib hoga. Allah se kiya hua ahad torne ka kaffara ye hai ke 2 mahine musalsal roze rakhe jayen ya phir 60 faqeeron ko pet bhar kar khana khilaye jaye. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hij, maslah #741,742,744,745). [Updated on 01-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koe mujhy Quran Pak ky Saamne lejaky kahy k tumhen ek kaam nae krna hy( wo Ger Mard sy baat krti hy men rokna chah raha hon). Aur wo mujhy Eshara krty huwy kehti quran ki traf kiya mujhy es kasim ko nibhhany ki zaroorat hy? Please Reply
Answer: Agar kisi se zabardasti qasam uthwaayi jaye to ye qasam durust nahin hai Q ke qasam apne irade aur ikhtiyar se khaayi jati hai. aur dusri baat ye ke Quran ki qasam khana bhi sahi nahin hai. aur qasam ke sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai Allah ke naam ki qasam khayei jaye lehaza Quran ki qasam sharaei qasam nahin hai. aur us ko nibhana zaroori nahin hai aur ghunah aur kaffara bhi nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2634). [Updated on 26-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar koi insaan allah ka wada kry or us wja sa kisi or ko takleef ho tu kia wo wada tor skte hain?
Answer: Iss sawal ki chand qismein hoskti hai: 1. Agr Allah se Ehad / Wada kia hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffara den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi, Yaani yh wada shumar hi nhi hota to torne me koi Harj nhi 2. Agr Allah se Ehad krte hue unhi Alfaaz se Ehad kia hai or uss kaam se kisi ko azziyat horhi ho tb bhi Ehad shumar nhi hota 3. Agr ap ne kisi or shaks se wada kia hai k masln yh kaam zaroor kruga to uss se baat ki ja skti hai lekin berhaal har sorat me kisi Momin ko izziyat phnchana Jaiz nhi hai (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). [Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]