Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16445
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya koe shahks azaan ki qasam khaye or sachi qasam khaye ke logon ko yaqeen ajae k usne aesi koe baat nae ki or ye sirf tohmat hai jhuta ilzam hai..Wo Allah ko hazir nazir jan k ye qasam khata hai to kiya ye theek hai?

Answer: Azaan ki qasam baatil hai Q ke qasam Allah ke liye khayei jaati hai lehaza jis qasam Allah ka naam na liya jaye wo qasam durust nahin aur is qasam par amal karna zaroori nahin hai aur amal na karne ki surat me is ka kaffara bhi nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2603,2604). [Updated on 22-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16447
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya koe shahks azaan ki qasam khaye or sachi qasam khaye ke logon ko yaqeen ajae k usne aesi koe baat nae ki or ye sirf tohmat hai jhuta ilzam hai..Wo Allah ko hazir nazir jan k ye qasam khata hai to kiya ye theek hai?

Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 22-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16457
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mein NY Qasam khayi the r uska Kaffara adda krny ky lye 2 rozy rkhy 3sery din mujhe mensis hogy .. mra roza choot gya... Plz mujhe bta dein ky m ab dobra 3 rozy rkhn ge musalsal ya phr bus ju ek rah gya Hy Wohi rkh lon...

Answer: Jis ko qasam torne ke kaffara taur par musalsal teen (3) din rozay rakhna zaroori hon, use us waqt rozay rakhna shuru nahin karna chahiye ke jab use maloom ho ke darmiyan mein koi aisa din aa jaye ga jis mein roza rakhna Haram hai. lekin agar us ne saheeh waqt pe rakhna shuru kiye hon, lekin darmiyan mein achanak uzr aa jaye jaise ke haiz ya nifas to uzr ke bar taraf hone ke baad rozon ko dobara shuru se rakhna lazim nahin hai balke uzr bar taraf hone ke baad baghair faaslay ke baqiya rozay baja laa sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #1120,1121). [Updated on 25-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16476
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya mannat kay rozay ekhtay rkhnay hain...ya alag alag rkhay ja sktay hain?

Answer: Agar koi amal baja lane ki mannat maani jaye to zaroori hai ke woh amal usi tarah baja laya jaye jis tarah mannat maani gayei hai. Lihaza rozay pay dar pay (ikathay) rakhna ya alag alag rakhna ye is baat par munhsir hai ke mannat kis tarah se maani thi, agar rozay pay dar pay rakhne ki mannat maani gayei thi to zaroori hai ke pay dar pay rakhay jayen, aur agar rozay pay dar pay rakhne ki mannat nahin maani gayei thi to alag agal rakhe jaa sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2615,2616). [Updated on 01-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16486
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar qasam puri karna ma dar (late) hojai to us ka bhi kaffara hota ha

Answer: Agar qasam ki tamam sharait ke sath kisi muayyin din ki qasam nahin khayei thi balke aap ke ye qasam khayei thi ke kisi bhi din ko qasam par amal karon ga to is surat me aap jis din bhi apni qasam par amal kar denge to aap gunahgar bhi nahin hon ge aur na hi kaffara wajib hoga. Lekin agar qasam ki tamam sharait ke sath kisi aik muayyin din ki qasam khayei thi to is surat me zaroori tha ke aap usi din ko apni khayei huei qasam par amal karte, to chunke aap ne us muayyin din ko apni qasam par amal nahin kiya is liye aap gunahgar bhi hon ge aur zaroori hai ke aap qasam torne wala kaffara bhi ada karen. yani das (10) faqeeron ko pait bhar kar khaana khilayen ya unhein libaas pehnayen aur agar in amal ko baja na la sakte hon to zaroori hai keh teen(3) din musalsal roze rakhen. Lekin agar qasam ki tamam sharait men se koi aik bhi shart maujood na ho to ye qasam durust nahin hogi aur aap gunahgar bhi nahin hon ge aur na hi kaffara wajib hoga. Qasam ke sahi hone ki chand shartein hain: 1. Qasam khane wala balig or aaqil ho or apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye. lehaza jo qasam jazbaat me khaai jaaye wo durust nahin. 2. Qasam khane wala jis kam ki qasam khaye, zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho. lehaza haram ya makrooh kam ki qasam khana durust nahin. 3. Qasam khane wala Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi aur ke liye istemal na hota ho, lihaza quran ki qasam khana durust nahin. 4. Qasam khane wala Qasam ke alfaaz zaban par laye. lehaza agar qasam ke alfaaz zaban par na laye aur dil hi dil me qasam khaye to ye qasam durust nahin. 5. Us qasam par amal karna mumkin ho. lehaza agar aisi qasam khaye ke jis par amal karna mumkin hi na ho to wo qasam durust nahin. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hijri, maslah #700). + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #2633,2634). [Updated on 05-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16544
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar AP ne Quran par haath rakh kr kasam khayi k ab Mai ye kaam nhi karoon ga or phir bhi wo kaam Kiya tu AP Allah se Jese maafi mange?

Answer: Quran par haath rakh kar qasam khayei jaye to ye durust nahin Q ke qasam Allah ke liye khayei jaati hai lehaza jis qasam Allah ka naam na liya jaye wo qasam durust nahin aur is qasam par amal karna zaroori nahin hai aur amal na karne ki surat me is ka kaffara bhi nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2603,2604). [Updated on 01-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16604
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mene mannat mangi thi kisi k liye ki jb tk mera us shakhs se rishta nhi hoga me jb tk Monday Thursday ka roza rkhungi... Lekin ab mera dil nhi h or usse baat bhi nhi hoti itni to kya me roze chhod skti hu plzz bta dein

Answer: Jo nazar (mannat) sirf Allah ke liye maani jaye wo sahi hoti hai aur us ke mutabiq amal karna zaroori hota hai lekin jo nazar (mannat) kisi aur ke liye maani jaye wo sahi nahin hoti hai aur par amal karna bhi zaroori nahin hai. lihaza aap ke liye rozay rakhna lazim nahin hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2603,2604). [Updated on 23-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16645
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Koi zalim insan agr zbrdsti Quran pr hath rkhwa kr kahe mujhy vote krna or bad m hm ksi or ko vote krain ye kesa hay? Rehnumaee frmaayain

Answer: 1: Agar kisi se zabardasti qasam uthwaayi jaye to ye qasam durust nahin hai Q ke qasam apne irade aur ikhtiyar se khaayi jati hai. aur dusri baat ye ke Quran par hath rakh kar qasam khana bhi sahi nahin hai. aur qasam ke sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai Allah ke naam ki qasam khayei jaye lihaza Quran ki qasam sharaei qasam nahin hai. aur ghunah aur kaffara bhi nahin hoga. 2: Koi insaan kisi dusre inssan ko kisi bhi kaam ke silsile me majboor nahin kar sakta lihaza insaan ki marzi hai ke wo jis ko chahe vote kare. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2634). [Updated on 03-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16673
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shohar biwi k Sath sex na krne ki kasam kha le tou Islam ic bare main Kiya kehta hai ?

Answer: Agar shohar ne mazaq me ya shaheed gusse (jis me insan ane aape me nahin rehta aur apne hosh o hawas kho bethta hai) ki haalat me aisa kaha hai ya is me Allah ka naam waazeh taur par nahin liya to in tamam surton me nikah par koi asar nahin hoga. or humbistari karna haram nahi hoga. (Ref: Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #650,651,652). [Updated on 05-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16779
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Talaq ki kasam kaise tode

Answer: Yeh qasam hi durust nahin hai Q Islaam me Talaq dene ko makrooh (na-pasandeedah) shumaar kiya gaya hai aur qasam ki sharaait me se aik shart ye hai jis kaam qasam khayei jaye zaroori hai wo Haram ya Makrooh nah ho. lihaza makrooh amal ki qasam khana durust nahin aur aap par koi sharaei zimmedari nahin hai yani is qasam par amal karna wajib nahin hai aur nah hi aap par koi kaffara aaye ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2634. + link; http://shiastudies.com/ur/1157/%D8%B7%D9%84%D8%A7%D9%82-%D8%AF%D8%B1-%D8%A7%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85/ ). [Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!