Question: Kya aurton ka ghar se bahar jaa kar kaam karna jaaiz hai....aur kya gair muslim ka jhutaa khaana yaa unhke haath se khaana khaana theek hai yaa gunaah hai....
Answer: 1-Agar sharee parde ka khayal rakha jaey aur lazzat ka irada ya gunah mai mubtila hone ka khoaf nah ho to khawateen ka kaam kernay main koi haraj nahi hai.(Ref : Kitab Nigah aur libaas, Sawal # 97, Mafhoom e Pg # 65). 2-Kafir Agar Ahle kitab (Yahoodi, Eesae or Majoosi) hain to wo paak hain or us k hath ka khana khane men koe masla nahi lekin agar Ahle kitab k alawa koi or kafir hai to musalman ko jab tak is baat ka yaqeen ya itminan nah ho jaey k us kafir ne us khane men apna geela hath lagaya hai ya koi aysi cheez us khane men shamil ki hai jiska khana haram hai, tab tak us khane ko aap k liay jaiz hai , Albatta jese hi aap ko elm ho jaey k kaifr ne apna geela hath lagaya hay ya khane men kisi haram cheez ko milaya hai to is surat men musalman k liay wo khana khana jaiz nahi hai. (Ref : Ayat ul Allah Sistani (db) Book : Jadeed Fiqhi Masaail, Mafhoom e Masla # 151, Pg # 126). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar insan aisi naukri kar raha ho Jis mein wo Namaz na ada kr skay 5 waqt ki wo jayz hai
Answer: Jaiz nahi hay. (Ref : Aqai Sistani (db), Jadeed faqhi masail , masala # 64 , pg # 75 , eidition #5). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam ..! mja yeah pochna hai k mn itly hn kam k kea pak sa aya hon lkn idr itly mn job k halat bt mushkil hn lkn mn dsra molak mn ja k kam kro to mra pasa jayaz hon ga k nae
Answer: wssalam o alykum, ager musalmaan qanoni tareqe se aik mulk se doosre mulk jaraha hai or wahan qanoni tareqe se job kar raha hai to ye pese us ke liye jaiz hain. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # , Pg #322 , Eidition# 5).Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Beauty parlour main kam kar na ya beauty parlour ka bussnis karna jaiz hy
Answer: Jee haan jaiz hai.(Mafhoom e Masla, Ref : http://www.sistani.org/urdu/qa/01874/1). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A.O.A KYA AHLEBAIT (a.s) ke dushman ke yahan job karna jayez hai. maslan saudi jaise mulk me jo ke ahlebait (a.s) ka khula dushman hai.
Answer: Wssalam o alykum, ager job main kiya jane wala kaam Shariyat e Muqaddasa k nazdeek jaiz hai to job kar sakte hain.(Ref : Aqa Sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 243 , pg # 165). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kaya dosar ka baita ban kr dosry mulk mai ja kr aus country ke nationality lain jaiz hai ?(mai aqa sistani ke taqleed krta hu)
Answer: Nahi, ye kaam jaaiz nahi hai q k ye jhoot hai or mafaad haasil karne k liay aap un ko ghalat maaloomaat faraham nahi kar saktay. (Ref:Jadeed fiqhi masail ayatollah seestani maslah no 238). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: business ya naukri tarjeeh kisai di jai
Answer: Mazhab main tijarat ko ziayada tarjeeh haasil hai or rasool e khuda ki hadees bhi hai jis ka mafhoom ye hai k Allah ne rizq k 10 hissay rakhay hai jis mai sai 9 tijarat k or aik mulazimat ka hai.(Ref: wasaesh shia, jild#12,1st baab). [Updated on 23-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I m living in london i want start a beauty parlour is it ok to do this business
Answer: Yes it is ok to do this business.(Mafhoom e Masla, Ref : http://www.sistani.org/urdu/qa/01874/1). [Updated on 15-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wo company jo network marketing ki ho aur pyramid scheme na ho, kia us se aanay wali aamdani jaaiz hai?
Answer: Ayatullah sistani is slsilay main khamoosh hay or is slilay main fal alam mujtahid ki janib ruju karain. (Ref: Tauzihul masael jaame, jild,3, maslah#649)[Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya aurat sohar ki izazat se job kar sakti h
Answer: Agar Aurat mukammal sharae parda kare or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65) Aurat par pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399). [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]