Question: Asalamualakum mara name Syed Muhammad Ali hai. Ap ka bohet bohet shukria agay bhe ap k jawab se mari bohet rehnomai howi hai.mara ek sawal hai.mara ya sawal ghor se pher ker mujay jawab dain. Ek company hai china ki (Tiens) direct sales markeeting ka kam kerti hai medicine or food supplment or devices ka company ki requirment hain k ap company se 300 points ka saman khareedain to wo ap ko 3*(star) bana dati hai.3* rank hai .3* agar koi cheaz khareeday to company us ko 20% us saman ka dati hai rupay ki surat main.company kehti hai k ap 300 points ka saman use kerain ju k 30000 se 40000 hazar ka banta hai ju k sayhet k hawalay se hai or company ki product bohet Quality ki hain. ap ko faida ho dosron ko batain or logon ko is company k baray main batain. ab main ek 3* agar 3 logon ko is company main le ker ata hon ju k yahan se saman khereedna chahatain hai main un ko apnay card per company main registered kerwa data hon wo 3 log 3*star ho jain gy to mujay un 3 logon k saman ka 20% faida a jay ga. company kehti hai ju ju ap k card per company main registered hon gy ap ko un ka saman khareed per 20% faida ho ga isi terha wo 3 log jab 3* ho jain gain to wo ager kuch khareedain ya koi un k card per registered ho ker khareeday to 20% faida un ko bhe ho ga. jb 3 log 3*star mari team main a gay to mujay company 4* bana dati hai Q k mari waja se wo 3 ya 4 log saman khareedatain hain.ab 4* per mujay 24% faida hota hai. agar main kuch khareedon ya logon ko bataon or wo khareedain maray card per ya mari team main a ker company main registered ho ker. atna to samaj main ata hai ab company kehti hai k ju 3 ya 5 log ap ly ker ay thay wo agay 3 ya 4 log le ker atay hain to to wo 4* hon gain or ager mari team main 3 log 4* hotay hain to mujay 5* bana dia jay ga is per mujay 26% faida ho ga is terha ju ju log main is company main le ker aon ga wo saman khareedain gy to mujay b faida ho ga or un ko b.sawal ya hai ju log main direct le ker ata hon un ka faida mujay hota hai. sath sath mari team main ju ju 3* ya 4* hain wo agay logon ko is system main le ker atay hain to un logon k saman khareednay per company mujay 4% dati hain or maray neachay 3* ko 20% q k wo direct le ker ata hai or main indireck hota hon kya ya indirect faida ju mujay hota hai lena jaiz hai ya ni. is terha mari team main ju ju log ain gy wo agay logon ko lain gy wo or main khud b ya madicine istamal kreain gy or logon ko b le ker dain gy to humaray star b bhartay rehain gy jb koi 8* ho jata hai to company us ko ek car gift kerti hai. or jb koi HD ban jata hai to company us ko apna patnar bana lati hai.company apni product ka 60% khud rekhti hai or 40% persent 3* se 8* main takseem ker dati hai.sawal ya hai k mari team ju main khud banaon ga wo agay log le ker ain gy or wo agay wo ju kuch khareedain gy company k rule k mutabik sb ko faida ho ga un k rank per main un sb ko Guide keron ga or un ko new new product ka bataon ga. kya in sab ka comision khana jaiz hai.company 500 k saman per 50% hum main bant dati hai or 50% khud rekh lati hai. ya sb ghor se pher ker mujay jawab dain kya ju ju log main le ker aon ga or wo or log le ker ain gay un k saman khareednay per humain ju indirect comision ay ga ju b faida ho ga wo lena jaiz hai ya ni.company ki product sayhet k hawalay se hai or kehti hai humara maksad sayhet or rozgar hai. 190 mulkon main registered b hai
Answer:
Question: slam.meri 1 dost hai wo jahan kaam krti hon wahan 1 insan usko bht like krta hai.she is married or apne husband se boht piar krti hai.w whan kaam krne k lie boht majboor hai. wo boht gareeb hain.wo mard usko bht hirasaan krta hai.us larki ko wahan kaam jari rkhna chahiye ya chor dena chahiye.kia meri dost ko us aadmi ko naseehat krni chahiye ya us k haq mn bad dua krni chahiye ap ko IMAM E ZAMANA ajf ka wasta ap issswal ka jawab dn wo bht tense hai kahin khud kushi na kr le
Answer:
Question: Mery husband engineer un k office ka time 7 am to 5 pm hain lakin wo morning office jake login kary ghar ate hain or breakfast kary ghar main soty hain or 5 pm ko office jake logout karty. Hain muhje yea pata karma hain k in ki salary halal yea haram office time pea office pea na hona or ghar main rehna galat hain hain
Answer:
Question: Insan jb job pai jata hai to different log miltay hai different mind status kay kuch log parday ka khayal nhe rakhty agar hm apnay parday ka mukalmal khayal rakahin aur gloves bhe pehn Kar jaen to kiya job karana kasay kay galti sai hath lag Jana namehram ko is khof sai agar gloves pehnay to Job pai jana jaiz hoga Agar gloves na pehnay ho aur galti sai hath lg jae bki parday ka mukalmal khyal rakha ho to kiya wahan job karana jaiz hai Is ka bhe btain kay agar job ka agreement asa ho Kay thori training Kay bd ghr sai kam karrna ho to kiya is tarhan Kay mamlay ko nazr mein rakhty huway jana jaiz hojae ga agar insan mutmaen ho Kay yeh job safe hai Agar koi na mehram cousin shari parday ka khayal na rkhta ho aur smjhata ho k cousin mehram hotay hain halqaay samjhanay par itraf bhe kartay ho Kay na mehram hotay hain to kiya hmaray shari parda k khayal rakhanay ka bwajood agar koi galti hojae kasay kuch chez satay waqt hath touch hojaen to kiya hm bhe gunnah mein barabar kay sharikh hogay Hath Kay parday kay hawalay sai rehnumai farma dain har jagha to gloves pehnay ka khayal nhe rakha jaskta agar sambhal Kay chalain aur the bhe galti hojae to kiya gunnah milta hai
Answer:
Question: AoA sir, mere chacho gambling krte hain means haram kamatay hain, me un k haram khanay pilnay se kfi dur hun, mgr wo force krte hain k dawat h meri trf meri trf se khao pio agr is sorat mai unka haram kha liya tu kia hoga, kia me is gunnah mai shamil hun ga k un k kehne pe unki haram kamayi se kuch kkha ln, mere parents b khty hain agly ka dil rkhne k liye kha lena chahiye, kindly guide kr de is baray mai
Answer:
Question: Salamun Alaikum, Agar ham ek company k purchasing manager sy deal krain k apki company hamay agar 10,000 me cheez bechy to me apko us me commission doon ga lekin wo purchasing manager company ko na batay is surat me manager k leye to commission jaiz nhi hai, lekin kia mery leye wo 10,000 ki purchasing kamay (earning) halal ho gi ya nhi?
Answer:
Question: Assalamualaikum Actually mjhe 1 ques puchna tha... Ky ladke ka esi jgh job karna jayez hai jhn ladkiyn chote chote kapde pehnti ho or sharam aam ho... Jse Events wgra jo hte h whn ldkyon k lie chote kapde pehnna aam b normal smjha jata hai ese kapde ke hmri ankhn nichi aa jaen or sharab pani ki trh pee jti h ap plzz mjhe iska ans zrur dijiaga k y job jayez h ya nii iska ans mri lyf k lie bhtt important h....
Answer:
Question: I am working on a private job but for seeking the job I have placed in fake information, the requirement for the job was graduation I have submitted a fake graduation degree. Although I am working with honesty and am praised by management, they also like my work, but now I am depressed and this thing is leaving a burden on my heart, Should I leave this job or inform to Organization's management about my actual qualification? Please guide me, I am a follower of Ayat Ullah Sistani
Answer:
Question: Aasalam walekum, mera yeah sawal hai apse k mai jaha kaam karti hu waha formal pant and formal full shirt pehnti hu or iss darmiyan mujko kuch khali samaye milta hai toh mai kya uss waqt internat mai quran sharif padh skti hu or kya yeah baqshyes mai qabool hoga.
Answer:
Question: Salam Sir mujhe ye pochna tha Mai ek company mai job krta hn Accountant hun meri company account mai saving ki har month amount ati mai usy record krta hn ur company k main account mai wo amount jama krwa dyta hun . Tu kia ye job mere lye haram hy majburi mai job krha hn ur dusri job milna bhi mushkil hy tu kia kia jye please guide kren
Answer: