Question: Sr Meri govt job thi phly m n ksi majbori ki waja sa khud rezine Kiya tha ab m chahti Hun phr sa govt job ho jay plz help m
Answer: 1. Job milnay k liay sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata he.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa, page no.425). 2. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. yaa razzaaqo urzuqnee .(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 3. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Kya islam me network marketing jaiz hai?
Answer: Ayatullah sistani d.b is tarah k maamle ki ijazat nahi dete. (His Eminence, Grand Ayatollah Sistani (d.b) does not allow or rectify such transactions. (https://www.sistani.org/english/qa/search/37428/). [Updated on 16-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Kya islam me network marketing jaiz hai?
Answer: Ayatullah sistani k mutabiq is ki ijazat nahi hay. (His Eminence, Grand Ayatollah Sistani (d.b) does not allow or rectify such transactions). (Ref: https://www.sistani.org/english/qa/search/37428/) [Updated on 14-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ma aj nurse hn or پاکستان ma amomi طور py nurses ka jo hijab hota ہے اس میں sharee pardy ka khayal ni رکھا جا سکتا mtlb ye k us میں sy بال nzr aaty ہیں kya mery liay aesi jga py job krna ٹھیک ہے??
Answer: Aurat par pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399). Agar Aurat mukammal sharae parda kare or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai, warna jaiz nahin. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65) [Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia islam me larkio ka shopping mall me kam karna jaiz ha ya kisi aise jagha jaha na mehrim mard or larkia ati ho
Answer: Agar Aurat mukammal sharae parda kare or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai, warna jaiz nahin. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65) Aurat par pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399). [Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ky islam me ldkiyo k job krna sahi hai
Answer: Agar Aurat mukammal sharae parda kare or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai, warna jaiz nahin. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65) Aurat par pardah karna wajib hai. Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupaey lekin na-mehram mard k samnay chehra aur kalaiyo tak hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila karnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah #2399). [Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o Alikum Ma chtii hon MERI passand ki jagah nikah ho jya jldii sy jadl koi wazifa bta dyn or larky ko job krny or karoob krny ma rukawat arhii ha isky bary ma bhe bta dyn koi wazifa
Answer: 1: Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay (box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) 2: Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”یا رزاق ارزقنی.(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 3: Riwayat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maeda ayat# 114 ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ) (Ref : Kitab payam e shifa Pg pg # 240-41). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AsSalam walekum Bhai Meri ek madad KR dijiye aise koi doa btayiye jisse Meri Amma ki job salamat rhen hmesha Bahut meharbani hogi
Answer: (Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein). Ans: Talab e hajat k lie 686 martaba (Bismil,laah,hir Rahmaanir Raheem) parhein aur isi terha 676 martaba dorood(Allaa,humma sal,li ala muhammed wa aali muhammed) parh kar dua ki jay to INSHALLAH dua or khahish pori hogi. (Ref: Naeem ul aamaal page #314) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualikum My question is, Can a muslim girl go for UPSC exams(civil services job) like IAS, IPS,IRS etc.
Answer: Agar sharee parde ka khayal rakha jaey aur lazzat ka irada ya gunah mai mubtila hone ka khoaf nah ho to khawateen ka kaam kernay main koi haraj nahi hai.(Ref : Kitab Nigah aur libaas, Sawal # 97, Mafhoom e Pg # 65).[Updated on 11-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Govenment job kiya halaal ha ?
Answer: Agar asal kaam halal ho or muslimeen or momineen ki maslihat k liay ho tu phir job karne main koe haraj nahi hay. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#2, Maslah#39, eidition 1439). [Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]