Question: Asalam o alikum. Qibla mera sawal yr hai k me france me uber eats k lie food home delivery krta hu is me aksar alcohol hoti hai kya wo jaiz hai ya haram hai
Answer: Agar aap ko delivery main sharab pohchna hoti hay tu phir jaiz nahi hay.(Ref: Jadeed fiqhi masael, maslah#162, 164, 241 ) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Jadeed fiqhi masael, maslah #37) [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamoalikum!main preshn hun kun k k rozgar nhi ha..koi job nahe mil rahi.. Plz mujy b koi wazeefa bta dain.
Answer: 1: Job milnay k liye sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus saliheen Part #2, albaabus saani-fis sadqa, page #425). 2: Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. yaa razzaaqo urzuq nee. (Ref: naaemul aamaal, pg #315). Riwayat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maeda ayat #114 ki tilawat karay osay wahan sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref: Kitab payam e shifa Pg #232) ayat (rabbana anzil alina . . . . . . khairur razaqeen ).(Ref: Kitab payam e shifa, pg #240,241). 3: Pareshani k liye wazifa: Surah e Ahqaaf 3 bar parhein. Musibat tal jaay gi. Har qism ki perashani k liya surah e Mubarak e Anaam ki ayat #17,18 (in yamsask . . . . . . .al khabir) ko fajr say pehlay likh kar apnay paas rakhain. Inshallaha faida ho ga. (Ref: kitab payam e shifa, pg #217,221). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Job karne ki majburi me Parda chor diya to gunah hota hai kyaa
Answer: Jee han, gunah hoga Q ke parda karna wajib hai, albatta aurat agar mukammal sharaei parda karen or lazzat ka irada ya gunah men parne ka khof nah ho to us ke lie job karna jaiz hai, Lekin agar gunah men parne ka khauf ho jese ke aap ne farmaya hay ke parda chor diya hai to is soorat men wahan job karna hi jaiz nahin hai. (Ref: Nigaah o libaas, sawaal #97, pg #65). [Updated on 17-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.A Mai js job k lye apply krta hu ya to test m fail hojata hu ya phr interview m Halat har roz bigartay ja rahay h ab mjhy kuch smjh nh araha m kia kro Har waqt ab ajeeb khayal atay h mai bht pareshan or baizar hu Thanks
Answer: Surah e Zariyaat(surah #51) aur surah e alam nashrah(surah # 94) k parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref : Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg # 236). [Updated on 13-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ajkal jobs kay liye degree kay sath us field mein experience bhi mangty hen kia experience na honay ki surat mein fake experience certificate banwa kay job hasil krna sahi hai ?
Answer: Fake certificate banana aur is ko original certificate ke taur par paish karna, har soorat mein jaaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, Edition #1443, Maslah #476,478). [Updated on 23-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ajkal jobs kay liye degree kay sath us field mein experience bhi mangty hen kia experience na honay ki surat mein fake experience certificate banwa kay job hasil krna sahi hai ?
Answer: Fake certificate ka banana aur is ko original certificate ke taur par paish karna, har soorat mein jaaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, Edition #1443, Maslah #476,478). [Updated on 23-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya main apnay office k free time main dosri online job office main rehtay hoay kar Sakta ho. Kya office timing main dosra kam Karna jaiz ha
Answer: Office me jo aap ka time hai (misal ke taur par subah 8 se sham 6 tak) agar is time ke darmiyan me office walon ne aap ko ye kaha hua hai ke office time me aap apna koi zaati kaam nahin karen gay (jo ke aam taur aisa hi hota hai) to phir is surat me koi aur apna zaati kaam nahin kar sakte. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, edition #1443, mafhoom e maslah #377,378. [Updated on 14-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: office time me agar kam na ho to quran prhskte ?
Answer: Office me jo aap ka time hai (misal ke taur par subah 8 se sham 6 tak) agar is time ke darmiyan me office walon ne aap ko ye kaha hua hai ke office time me aap apna koi zaati kaam nahin karen gay (jo ke aam taur aisa hi hota hai) to phir is surat me koi aur apna zaati kaam nahin kar sakte. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, edition #1443, mafhoom e maslah #377,378). [Updated on 14-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam, I would like to ask if a shia girl wants to do a bank job what precaution should be followed by that girl while doing the job? I would like to know the detail about this matter (i.e interaction with na mehran, halal/haram and such other issues ) please help and guide
Answer:
Question: AsSalam-O-Alikum... Main ya jana chata hoon kah shariat k mutabiq kiya ek Musalman ek ghair muslim k saath business karsata hy agar karsakta hy too kiya uska kamaya howa paysa halal howa ya haram? Kiya 5 star hotels ki job halal hy ya haram halanky hotel sy aaya howa paysa jis sy humko salary milti hy wo sharab sy or larki bazi ka bhi hota hy... Waiting for you reply please.
Answer: