Question: Salam Dear Sir, i need to know how to whom i can handover the sadaka -e imam - e-0 zamana? psl advs proces and advs any specail requirements. thanks & ragds Mehdi
Answer: It should be given to the poor people. (Ref: Mafhoom e Email recv from ayatullaha sistani d.b. dated : July 27, 2011) . Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar ghar mai sadaqat ko jama kia jae aur phir aik hi martaba mai faqeer ko day dia jae to kia osay sadqa kaha jae ga?
Answer: 1)Jee haan sadqa jama kar sakhtay hain lakin aap ko chahiey k kisi khaas faqeer ka vakil ban kar os ki janib say apnay paas rakhaen, albatta phir wo sadqa osi faqeer ki milkiat ho ga jis k liay jama kia tha. (Ref : Mujtahid se pochay gaay sawalaat, Ayat Ullah Seestani(d.b), part # 1 , Mafhoom e sawal # 185). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia gair syed k lie jaiz hai k wo apna mustahabb sadqa, kaffara, fidia ya rad e mazalim ki raqm kisi faqeer syed ko dai. Ya is ka hokum fitray wala hokum hai. Aur is mai qanoon kia hai?
Answer: Ghair syed k liay syed ko mustahab sadqa daina jaiz hay laikin ehtiyat e wajib ki bina par ye jaiz nahi hai k bala o musibat door kerne k liay nikaali janay wali choti miqdaar ka sadqa bhi kisi syed ko dia jaey.Haan, wajib zakat maslan fitra dena jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat, Ayat Ullah Seestani(d.b), part # 3, Mafhoom e ques # 104, pg # 52). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sawaal ya hey key non shia koo sadqaa o kharaat dey saqtaa hu iss lia key woo syster in low hey our talaaq yaftaa hey
Answer: Mustahab sadqa non shia ko diya jasakta hai. Laikin jis ko sadqa diya jaay wo dushmane ehle bait aur dushmane deen nah ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1607 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Allama Sahib mra swal hy sadka kis waqt dna chahey or oske neyat kiasy krne chahia or mra dosra swal hy k jhot ka kfara kia hy or kiasy kfara ada krna chahey
Answer: 1-Sadqa kisi bhi waqt nikala jasakta hay, mustahab hay k din k aghaz per nikala jaey Q k ye is din shar ko door kerta hay or Raat k aghaaz main diya jay Q k ye raat k shar ko door kerta hay. Sadqa dainay main qasd e qurbat zarori hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1601, 1603 , Eidition 1417 hij). 2- Jhoot bolna gunah e azeem hay or is ka koe kaffara nahi hay lainkin Allah se schay dil se tauba kerna zarori hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1430 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sadka kis wakat dena chahiy or is ke km sy kam or zeada sy zeada mekdar kia hay or sadka dety wakat kn baton ka kheal rakhna chahiy or is ke neat kiasy ke jati hy
Answer: Insaan ko bala o mushkiloo ke waqt apni hesiyat ke mutabiq sadqe se ilaaj karna chahiay, or zarori hai k mustahab sadqa Allah Taala ki kushnudi ki khatir de, chupa kar de, ager qaribi rishtedaro main koi is ka mustahaq ho to us ko de. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1601 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia kisi gareeb kitabi kafir jaisay Christian aur kafir e zimmi ko sadqa dia ja sakta hai? Kia aisa karnay ka sawab milay ga?
Answer: Mustahab sadqa aisay kafir ko daina jaiz hay jo musalmano k sath halat e jang main nah ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1607 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia syed mustahab sadqa lai sakta hai?
Answer: Syed ka mustahab sadqa lena jaiz hai magar ehtiyat e wajib ye hai k syed ko musibat o bala door kerne k liay kam raqam wale sadqay nah diay jain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1604 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya sadka e imam e zaman (a.s) poor hashimi / saadat ko dya ja sakta hai?
Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1606 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya Sadqa Behen Bhayon Ko Dya Jasakta Hai?
Answer: Ager bhai o behen ayse kafir nah hoon jo musalmano se jang kar rahe hon or nah hi Islaam o Ehl e Bait (a.s) se dushmani karne wale hoon to phir mustahab sadqa de sakte hain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1607 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).