Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5259
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi aurat haiz ki halat mai fout ho jae to os ko ghusl e miyyat dena sai pehlay ghusl e haiz dena dena ho ga?

Answer: Jo aurat haiz ki halat mai fout ho jae to osay ghusl e haiz dena zaroori nahi hai bal k sirf ghusl e miyyat is k lie kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 555)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5422
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ager koi shaks kai mayyatto ko mass karla to wo aik qusal kara ga ya kai

Answer: G han tmam mayitton ko mass krne ki waja se faqt ek gusl kaafi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 387, Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6473
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jis murday ka tanmambadan thanda na hwa ho isay maas krnay sai gusal kiya hota hai?

Answer: Jis murday ka tamaam badan thanda nah ho osay mask erne se ghusl wajib nahi hota chahay os k badan ka jo hissa mas kia ho wo thanda ho chukka ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #512 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7715
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bivi key faot hone k baad kiya shohar uss ka chehra dekh sakta hy ?

Answer: Shohar apni bivi ka or bivi apne shohar ka us ki maut k baad chehra deekh saktain hai, or dono aik dosre ko ghusl bhi de sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 548 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7864
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mera sawal hai k agar koi halate janabat me mar jaye tu kia hoga???

Answer: Wssalam o alykum, uski mayat ko fqt ek gusal e mayat dena wajib or kaafi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 531 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7984
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia biwi kay mar jany k baad sohar uska chera dekh sakta hai?? aur agr han to refrence aur agr nahi tb bhi refrence?

Answer: Shohar apni bivi ka or bivi apne shohar ka us ki maut ke baad chehra deekh saktain hai, or dono aik dosre ko ghusl bhi de sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 548 , ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 9073
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o Alykum - Please advise - 6 months k bachay ki delvery sai phelay he death ho jati hai - iss surat mai kya uss ko Khnoot daina hoga ghusal k baad aur kya uss ki Talqeen hogi - kis umer k bachi sai yeh ahkamat karnay hotay hain

Answer: Saaqit shuda bacha(jo k musalman ya musalman k hokum main hay) agar 4 qamri mahine ya is se zaaid ho,tu zarori hay k mukallaf afraad ki manind ghusl e mayyit diya jaey,kafan pehnaya jaey,hunoot kia jaey or dafan kia jaey, balkeh agar 4 mahine ka bhi nah ho laikin os k badan ki banawat mukammal ho chuki ho,tu ehtiyaat e wajib ki bina per,zarori hay k os ko mukallaf afraad ki manind ghusl e mayyit diya jaey,kafan pehnaya jaey,hunoot kia jaey or dafan kia jaey .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Mafhoom e Maslah #679). Update on dated 29-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9190
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KIYA MARNE K BAAD INSAN NA PAK HU JATA HY,R USAY HATH LGANE WALA HR INSAN NA PAK HU JATA HY.JB TK MURDE KU GHUSAL DE KER PAK NH KIYA JATA.

Answer: Jee haan, agar murda thanda ho jaey our us ko ghusl nah diya gaya hu to us ko hath lagany se gusal wajib ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #511). Update on dated 17-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9642
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mayyat ko gusal daine wale ka pak hona zaroori h

Answer: Ghusl daine wale k paak honay ki shart nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 544 and 545) Update on dated 04-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10813
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mayat ko hath lagana sa hath napak hojata hai?

Answer: Agar mayyit ko 3 ghusl dene se pehle gilahat k sath choa jaey tu hath najis ho jaey ga or ghusl e mas e mayyit bhi wajib ho jaey ga. Laikin agar 3 ghusl dene k baad choa jaey tu hath najis nahi hoga or ghusl e mas e mayyit bhi wajib nahi hoga . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1565). Update on dated 23-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!