Question: Dead body k kitny gusal wajib hain?
Answer: Mayyat ko Tarteeb se teen ghusl dena wajib hain, pehla aisay pani se jis mein bairy k pattay milay huay hoon, dosra aisay pani se jis mein kafoor mila hua ho aur teesra khalis pani se.( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 539 ). [Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar shak ho Kay muyyat Kay gusal Ka Pani kaproon ko lag Gaya hay to dho Kar wapis kapray phan Lana Chahiye kiya
Answer: Shak ki surat may kaprhoon ko paak karnay ki zarorat nahi hay or is kapray kay sath digar ibadat bhi sahi hain.(Ref: Toziulmasahil Ayatullah e Sistani db edi 2019 masla number # 115) [Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar shak ho Kay muyyat Kay gusal Ka Pani kaproon ko lag Gaya hay to dho Kar wapis kapray phan Lana Chahiye kiya
Answer: Jab shak ho to kaprhay paak rahtay hain...(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 2019,Mafhoom e Maslah #115). [Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia kisi ny mayt ko ms kia ho or njis ho gaiya ha kia us insan k sath ms hony sy bhi ghusl wajib ho jata ha jis pr ghusl e ms e mayt wajib ho ?
Answer: aise surat me us shaks per jis ne direct maiyat ko mas na kia ho or wo kise aise zinda insaan ke sath mas hoa hay jis ne khud ,direct maiyat ko mas kia hay, ghusal masse maiyat wajib nahe hota. .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no511, 512,513.) [Updated on 19-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr mayat ko guzal dainy k baad mayat k bait sy motion liquid form mai baihr nikal jye or kafan ko lg jye tu kya kafan napak ho gya hai ?
Answer: Jeen han, kafan ko najis shumar kiya jaye ga. Agar mayyit ka kafan us ki apni nijasat ya kisi dosri nijasat se najis ho jaye aur agar aisa karne se kafan zaaie na hota ho to jitna hissa najis ho use dhona ya katna zaroori hai chahe mayyit ko qabar men hi kiyon na utara jachuka ho. Aur agar is ka dhona ya katna mumkin na ho lekin badal dena mumkin ho to zaroori hai ke badal den. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #571). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera 8th month tha mera bacha paida hune se pehly fot gya tha sub kehty the k wo Muslim nai tha osko qabarstan k bahir dafnna chahy tha
Answer: Saaqit shuda bacha(jo k musalman ya musalman k hokum main hay) agar 4 qamri mahine ya is se zaaid ho,tu zarori hay k mukallaf afraad ki manind ghusl e mayyit diya jaey,kafan pehnaya jaey,hunoot kia jaey or dafan kia jaey, balkeh agar 4 mahine ka bhi nah ho laikin os k badan ki banawat mukammal ho chuki ho,tu ehtiyaat e wajib ki bina per,zarori hay k os ko mukallaf afraad ki manind ghusl e mayyit diya jaey,kafan pehnaya jaey,hunoot kia jaey or dafan kia jaey .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Mafhoom e Maslah #679). [Updated on 14-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hej ki halat me mayyat ko gusl diya ja skta hai ya nahi ?
Answer: Jee han, Mayyit ko ghusl diya ja sakta hai Albatta murda insan ko mas(touch) karne se gusl e mase mayyit bhi wajib hota hai aur wo bhi aisa murda insan ke jis ka badan thanda ho chuka ho aur jese gusl mayyit bhi na diya gaya ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448,511). [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ghusal e mayyat kay baad koi napak aurat Jo haiz say ho, mayyat ka matha choom saktee hai? Aik napak ahaks ka aik Pak mayyat ko choomnay say kia mayyat Pak rahay gi?
Answer: Jee han, mayyit ka maatha choom sakti hai aur mayyit bhi pak hi rahe gi. Q ke haiz ki halat me aurat ka poora jism najis nahin hota balke wo maqam najis hota hai jahan haiz ka khoon laga ho lekin us maqam ke alawa aurat ka baaqi jism pak rehta hai aur jab pak hisse se kisi ko choowa jaye to wo najis nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), editon #42, maslah #354,355,448). [Updated on 19-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is ghusal mase mayat obligatory if you touch a cadaver for the sake of medical study and if you get periods while in so you can do ghusal at the end of periods or no?
Answer: 1: Murda insan ko mas(touch) karne se gusl e mase mayyit wajib hota hai aur wo bhi aisa murda insan ke jis ka badan thanda ho chuka ho aur jise ghusl mayyit nah diya gaya ho. 2: Aap chahen to abhi masse mayyit ka ghusal kar len ya phir aap haiz ke ghusl ke sath bhi kar sakti hain Q ke Jis kisi par chand ghusl wajib hon wo in sab ki niyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zaahir ye hai ke agar in main se kisi aik makhsoos ghusl ki niyat karay to wo baaqi ghuslon ke liye kaafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387,511). [Updated on 04-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kiya namaz e janaza parna zarori hy ye mohalley main koi bhi par ley tu sub ki taraf sey ho jata hy
Answer: Mayyit ke hawale se ghusl, kafan, dafan aur namaz e janaza ye sab wajib kifaayei hain aur is se muraad ye hai ke in kamon ko agar kuch log anjam de den to baaqi logon se saaqit ho jate hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, pg #494. + link; https://ur.wikishia.net/view/%D9%88%D8%A7%D8%AC%D8%A8_%DA%A9%D9%81%D8%A7%D8%A6%DB%8C ). [Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]