Question: kia maa apna bete ko ghusal de sakte hain
Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke mard apni mehram aurat ko sirf usi soorat me ghusl day jab ghusl denay ke liye koi aurat na mil sake. Yahi hukum aurat ke liye mehram mard ko ghusl denay ke baare me hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #550) [Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mayat ko gusal deney key bad hath laga saktey hain? Or aisa karney sey kia gusal wajib hota hai?
Answer: Agar mayyit ko ( sharhe ahtebaar se sahe )3 mukammal ghusl de diye gaye hon, to use hath laga sakte hain aur ghusl wajib nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #511). [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar sam ko mayyt ho jaye to gussal kb kre
Answer:
Question: salam mujhy ye sawal krna hai k kiya islam main ye hai k agar koi aurat nikah main ho aur marjae to kia us ka shohar us k liye na meharam hojata hai aur marny k baad us k ,, us ka shohar us k janazy ko dekh bhi nae skta us ki surat bhi ni dekh skta ? main sunni hun plz mujhy jawab digigiyega .....
Answer:
Question: Assalam-O-Alaikum, main aik janazay main gaya tha or us marnay walay k azizo akarab say milla tha mujhay purra yaqeen tha k inhoon nay mayyat ko tach kiya howa hy lakin main nay mayyat ko tach nahi kiya tha lakin ye loog mujh say millay thay us k bad main wapis ghar aa gaya bohat thakka howa tha neend aa gai lakin sotay howay mera Ehtalam ho gaya ab meharbani farma ker mujhay ye batain k main in dono ghusloon ko aik sath kaisay ker sakta hn main nay fil wakat ghusl e janabat ker liya hy
Answer:
Question: Mene apni saas ko ghusal dene walo k sath help ki thi jaise naal khol k dena aur deegar help.. muje apne hath pay napaki ka shaq tha me waise ho bohat shaq karti ho Mene bazahir ghusal anjaam nhi diya but muje shaq hai k me ne koi najasat ki waja to nhi bani
Answer: