Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6413
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya namaz ki halat main quran e pak utha k parh skty hain ?

Answer: Jee haan, daikh ker perh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Urwatul wusqa,part#2, maslah #1521 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6610
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam walekum... mera swaal ye hai ke 4 rikat farz namaz ke akhiri do rikat me kewal surah fateh padhna hota hai. agar koi surah fateh ke saath aur koi dusra surah bhi lga de to kya namaz ho jayegi.

Answer: wssalam o alykum, namazi ko iktiyaar hai ke wo namaaz ki 3rd or 4th rakat main al-hamd phare ya tasbehaat e al-arbaaah or tasbihaat ka pharna al-hamd ke pharne se behtar hai. or sura e fateha ke sath koi or sura ya dua pharne main koi harj nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 992 , 1122 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6788
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz ki 4th rakat me kya prha ja i...

Answer: Surah Al-Hamd ya Tsbehaat e Arba-aa (bina bar ehtiyaat e wajib). (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 994 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7185
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum, sir mera question ye hai ki kon konsi namazain buland awaaz sai parhni chahiye, aur awaaz kitni buland honi chahiye ...yani awaaz kahan tak sunayiii deni chahiye....plz is question ka jawab zarur dain....

Answer: Mard kay liye ehtiyat ki bina par wajib hai k Fajr,Maghrib aur Isha ki Namaz main Al-Hamd aur Sura Buland awaz say parhay aur mard aur aurat dono par ehtiyat ki bina par wajib hai k namaz e zohor aur asr mai al-hamd aur surah aahista parhay aur is ka Mayaar URF hay (yani society k aam loog) aur isi tarah aahista parhnay ka mayaar bhi URF hay,ye Wajibaat-e-Ghair-e-Rukni main say hay aur agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to uski Namaz Batil hay,haan agar bhool jaey ya masala na janta ho to is soorat main Namaz sahi hay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition, maslah #979)(Ref: Urwatul Wusqa A.Sistani Part-2 Masala No.22-26)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7192
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mujhe janna hai ki har namaz may pehle sana padhte hai fir alhamd padhte hai fir uske baad konsi surah padte hai ???? please let me know as soos as possible aur har waqt ki nazam ka bataiyega please.

Answer: Zaruri hai k insan rozana ki wajib namazon ki pehli or dusri rakat men pehle Surah Al_Hamd or phir kisi ek surah(kisi bhi quran ki surah) ki tilawat kre or Ehtiyat_e_wajib ye hai k ek sure ki tilawet kare.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2369).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7998
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can we read the same sura 2 time in namaj

Answer: Yes it is lawfull & valid but it is Makrooh except Surah Ikhlaas , If any one read Surah Ikhlaas is every two first rakat so it is not Makrooh.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 965 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 9266
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz onchi awaz ma parhni chahiye????

Answer: Mard kay liye ehtiyat ki bina par wajib hai k Fajr,Maghrib aur Isha ki Namaz main Al-Hamd aur Sura Buland awaz say parhay aur mard aur aurat dono par ehtiyat ki bina par wajib hai k namaz e zohor aur asr mai al-hamd aur surah aahista parhay aur is ka Mayaar URF hay (yani society k aam loog) aur isi tarah aahista parhnay ka mayaar bhi URF hay,ye Wajibaat-e-Ghair-e-Rukni main say hay aur agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to uski Namaz Batil hay,haan agar bhool jaey ya masala na janta ho to is soorat main Namaz sahi hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,mafhoome maslah #979)+(Ref: Urwatul Wusqa A.Sistani Part-2 Masala No.22-26). Update on dated 09-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9500
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: My question is that k farz namaz mai ayat khol jae. 2sri dafa ayat start ki phr bhol gya. 3rd time ak choti ayat tlawat kr k namaz complete krty waqt akhir mai sajda sahv kr dia.am I right or wrong?

Answer: Namaz ki qaza karni hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1250 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9528
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya 2nd rakat main allhamdo sharif se pehle kuch pdhna chahiye

Answer: 2 rakat main alhamd se pehlay kisi cheez ka perhna zarori nahi hay sorah e alhamd ka perhna kaafi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #965). Update on dated 29-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9623
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: In salawat is it necessary to recite Allahuma Salli Alla Muhammad\"din\"" Wa\'Allay Muhammad

Answer: or can it also be \""Allahum a Salli Alla Muhammad\""diw\"" Wa\'Allay Muhammad. I have heard both variants.But Muhammad\""din\"" seems to be the more commonly used version. But Muhammad\""diw\"" fits better on my tongue."

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!